Saturday, November 30, 2013

ho gaye jawan bache borhi ho rahi ha MAAN

ho gaye jawan bache borhi ho rahi ha MAAN
be-chiragh aankhon mein khawb bo rahi hai MAAN

roti apne hisse ki de k apne bachon ko
sabar ki rida orhe bhooki so rahi hai MAAN

saans ki mareeza hai phir bhi thande pani se
kitni sakht sardi mein kapre dho rahi hai MAAN

ghair ki shikayat per phir kisi shararat per
maar kar mujhe khud hi ro rahi hai MAAN

nazar se door reh kar bhi kisi ki soch mein rehna

nazar se door reh kar bhi kisi ki soch mein rehna
kisi k paas rehne ka bahot acha tareeqa hai

Mohsin khushi ki bheek main

Mohsin khushi ki bheek main kis kis se mangta?
acha hoa k gham se hi tabiat behal gai

uthao haath apne aur haroof-e-ilteja dhondo

uthao haath apne aur haroof-e-ilteja dhondo
mareen-e-la-dawa k vaste koi dawa dhondo

bhula kar ranj sare aur mita kar nafraten dil se
jafa k shehr se niklo koi dasht-e-wafa dhondo

nahi ek shakhs bhi mukhlis agar tum se jahan bhar mein
to phir tum zaat mein apni kahin koi khata dhondo

zameen-o-aasman mein aur na duniya mein bani adam
agar dil hai KHUDA ka ghar to phir uss mein KHUDA dhondo

khush mizaji bhi mashhor thi hamari

khush mizaji bhi mashhor thi hamari sadgi bhi kamal hai
ham shararti bhi inteha k they, ab sanjeedgi bhi be-misal hai

nigah-e-yaar ki lazzat sharab kia jane

hazaar jaam-e-lutf, hazaar maykhane
nigah-e-yaar ki lazzat sharab kia jane

hawa k ishq mein griftar ho gia

hawa k ishq mein griftar ho gia
wo diya jo mere mazaar ka wahid kafeel tha

sau baar kaha ham ne, touba hai mohabbat se

sau baar kaha ham ne, touba hai mohabbat se
her baar sada ai tum dil se nahi kehte

shahon ki tarah they na ameeron ki tarah they

shahon ki tarah they na ameeron ki tarah they
ham shehr-e-mohabbat k faqeeron ki tarah they

dariyaon mein hote they jazeeron ki tarah ham
sehraon mein pani k zakheeron ki tarah they

afsos k samajha na hamen ehl-e-nazar ne
ham waqt ki zanbeel mein heeron ki tarah they

hairat hai k wo log bhi ab chor chale hain
jo meri hatheli pe lakeeron ki tarah they

sochi na buri soch kabhi un k liye bhi
pewasta mere dil mein jo teeron ki tarah they

ye kia roz ek sa gham, ek si umeed

ye kia roz ek sa gham, ek si umeed
iss ranj be-khumar ki ab inteha bhi ho

ek din apne dar pe di dastak

ek din apne dar pe di dastak
aur phir keh dia nahi hon main

aisa nahi k nafs ka shaitan mar gia

aisa nahi k nafs ka shaitan mar gia
shaitan to hai zinda, haan insan mar gia

sajdon mein sar jhukane ki fursat nahi rahi
momin ki rooh mein basa musalman mar gia

masjid to pakki ban gai aur shandar bhi
kachi hain RAB se chahaten aur eman mar gia

batil ko jhoot kehne ki taqat nahi rahi
ho haq sar buland ye arman mar gia

aye insan! hairat hai teri qismat pe
kis trah peda hoa tha khush numa aur weeran mar gia

ye acha ha k koi rang nahi hota aansu ka

ye acha ha k koi rang nahi hota aansu ka
warna raaton ko bheege takiye bahot se raaz khol dete

Suna hai mohabbat ki talash mein nikle ho tum

Suna hai mohabbat ki talash mein nikle ho tum
pagal! mohabbat khud talash karti ha jisse barbad karna ho

Dafa karo ishq ko chalo karte hain nasha

Kabhi kisi ki minnaten, kabhi kisi ka vasta
Dafa karo ishq ko chalo karte hain nasha

Aye dil tiyar ho ja december aa raha hai

Yaad-e-yaar ka mosum aur sard hawaon ka aalam
Aye dil! tiyar ho ja december aa raha hai

Fursat agar mile to parhna mujhe zaroor

Fursat agar mile to parhna mujhe zaroor
Nakaam zindagi ki mukammal kitab hon

Friday, November 29, 2013

Phira hon sare zamane mein dar ba dar kaisa

پھرا ہوں سارے زمانے میں در بدر کیسا
میں تیرے بعد بھی زندہ رہا مگر کیسا

وہ جا نتا تھا کہ کچھ روز وہ نہیں تھا تو میں
پکا رتا رہا اُس کو ادھر اُدھر کیسا

نہ اعتبار نہ آ سودگی نہ قرب تیرا
فقط تکلف دیوار و در ہے گھر کیسا

میں جس کے ہجر میں رویا ہوں پاگلوں کی طرح
وہ کل ملا تو ہنسا میرے حال پر کیسا

عزیز تر تھی جسے نیند شام وصل میں بھی
وہ تیرے ہجر میں جاگ ا ہے عمر بھر کیسا

بس ایک شخص کی خاطر بس ایک دل کے لئے
وطن کو تج دیا دیوانگی ، میں گھر کیسا

کہاں کی دوستی ، کیسا فراق ، کون فراز
میں خود کو بھول گیا تجھ کو بھول کر کیسا

Koi hazaar akela ho per nahi tanha

Koi hazaar akela ho per nahi tanha
So kyon kahen k terey sath thay hum tanha

Yah zindagi hai shaab o roz kaat hi jatay hain
Kabi kabi koi mehfil kahin kahin tanha

Her ek ne apni duniya basai hoti hai
So khalwatoon mein bhi rehta koi nahi tanha

Dil o jiger ka bhi ahwal poch lena tha
Teri nigah mein han jaib o asteen tanha

Khider giya terey kochay say phir Khuda janay
Faraz ghoom raha tha yahin kahin tanha

Chalo wo ishq nahi chahne ki adat ha

چلو وہ عشق نہیں چاہنے کی عادت ہے
پہ کیا کریں ہمیں اک دوسرے کی عادت ہے

تو اپنی شیشہ گری کا ہنر نہ کر ضائع
...میں آئینہ ہوں مجھے ٹوٹنے کی عادت ہے

میں کیا کہوں کہ مجھے صبر کیوں نہیں آتا
میں کیا کروں کہ تجھے دیکھنے کی عادت ہے

ترے نصیب میں اے دل ! سدا کی محرومی
نہ وہ سخی، نہ تجھے مانگنے کی عادت ہے

وصال میں بھی وہی ہے فراق کا عالم
کہ اسکو نیند مجھے رت جگے کی عادت ہے

یہ مشکلیں ہیں تو پھر کیسے راستے طے ہوں
میں ناصبور اسے سوچنے کی عادت ہے

یہ خود اذیتی کب تک فراز تو بھی اسے
نہ یاد کر کہ جسے بھولنے کی عادت ہے

Shola sa jal bujha hon hawaen mujhe na do

شعلہ سا جل بجھا ہوں ہوائیں مجھے نہ دو
میں کب کا جا چکا ہوں صدائیں مجھے نہ دو

جو زہر پی چکا ہوں تمہی نے مجھے دیا
اب تم تو زندگی کی دعائیں مجھے نہ دو
...
یہ بھی بڑا کرم ہے سلامت ہے جسم ابھی
اے خسروان شہر ، قبائیں مجھے نہ دو

ایسا نہ ہو کبھی کہ پلٹ کر نہ آ سکوں
ہر بار دور جا کے صدائیں مجھے نہ دو

کب مجھ کو اعتراف محبت نہ تھا فراز
کب میں نے یہ کہا تھا سزائیں مجھے نہ دو

Aashiqui mein Meer jaise khawb mat dekha karo

Aashiqui mein Meer jaise khawb mat dekha karo
baowle ho jao ge mehtab mat dekha karo

jasta jasta parh liya karna mazameen e wafa
per kitab e ishq ka har baab mat dekha karo

is tamashe mein ulat jati hain aksar kashtiyan
doobne walon ko zair e aab mat dekha karo

mayqade mein kya takalluf, maykashi mein kya hijab
bazm e saaqi mein adab adaab mat dekha karo

hum se darweshon ke ghar ao to yaaron ki tarah
har jagah khas khana o barfaab mat dekha karo

maange taange ki qabaen deir tak rehti nahi
yaar logon ke laqab alqaab mat dekha karo

tishnagi mein lab bhigo lena bhi kafi hai Faraz
jaam mein sehba hai ya zehraab mat dekha karo

Jab mulaqat be irada thi



جب ملاقات بے ارادہ تھی
اس میں آسودگی زیادہ تھی


نہ توقع نہ انتظار نہ رنج
صبحِ ہجراں نہ شامِ وعدہ تھی


نہ تکلف نہ احتیاط نہ زعم
دوستی کی زبان سادہ تھی


جب بھی چاہا کہ گنگناؤں اسے
شاعری پیش پا فتادہ تھی


لعل سے لب چراغ سی آنکھیں
ناک ستواں جبیں کشادہ تھی


حدتِ جاں سے رنگ تانبا سا
ساغر افروز موجِ بادہ تھی


زلف کو ہمسری کا دعویٰ تھا
پھر بھی خوش قامتی زیادہ تھی


کچھ تو پیکر میں* تھی بلا کی تلاش
کچھ وہ کافر تنک لبادہ تھی


اپسرا تھی نہ حور تھی نہ پری
دلبری میں مگر زیادہ تھی


جتنی بے مہر، مہرباں اتنی
جتنی دشوار ، اتنی سادہ تھی


اک زمانہ جسے کہے قاتل
میرے شانے پہ سر نہادہ تھی


یہ غزل دین اس غزال کی ہے
جس میں ہم سے وفا زیادہ تھی


وہ بھی کیا دن تھے جب فراز اس سے
عشق کم عاشقی زیادہ تھی

Ajal se khouf zada zeest se dare huwe loug

Ajal se khouf zada zeest se dare huwe loug
so jee rahe hain mere sheher mein mare huwe loug

yeh be dili kisi aafat ka paish e khaima na ho
ke chashm basta hain, zaanon pe sar dhare huwe loug

na koi yaad, na aansu, na phool hain, na chiragh
to kya deyaar e khamoshan se bhi pare huwe loug

hawa e hirs sabhi ko uraye phirti hai
yeh gird baad e zamana yeh bhus bhare huwe loug

yeh dil sanbhalta nahi hai vida e yaar ke baad
ke jaise so na saken khawab mein dare huwe loug

kuch aisa zulm ka mousam theher gaya hai Faraz
kisi bhi aab o hawa mein na phir hare huwe loug

Badan Mein Aag Si

Badan Mein Aag Si, Chehra Gulaab Jesa Hai
K Zehr-e-Gham Ka Nasha Bhi Sharab Jesa Hai

Kahan Woh Qurb Kay Abb To Yeh Haal Hai Jesay
Tere Firaq Ka Aalam Bhi Khawab Jesa Hai

Magar Kabhi Koi Dekhay Koi Parhay To Sahi
Dil Aaina Hai, Chehra Kitaab Jesa Hai

Woh Saamnay Hai Magar Tishnagi Nahi Jaati
Yeh Kya Sitam Hai Kay Darya Sarab Jesa Hai

FARAZ Sang-e-Malamat Say Zakhm Zakhm Sahi
Hamen Azeez Hai Khana Kharab Jesa Hai

Ab Ke Tajdeed -e- Wafa Ka Nahi Imkaan Janan

Ab Ke Tajdeed -e- Wafa Ka Nahi Imkaan Janan
Yaad Kia Tujh Ko Dilaye Tera Paymaan Janan

Yoon Hi Mousam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aya
Kis Qadar Badal Jatay Hain Insaan Janan

Zindagi Teri Ata Thi So Tere Naam Ki Hai
Hum Nay Jesay Bhi Basar Ki Tera Ehsaan Janan

Dil Yeh Kehta Hay Keh Shayed Ho Farsooda Tu Bhi
Dil Ki Kia Baat Karay Dil Tu Hai Nadaan Janan

Awal Awal Ki Mohabbat Ke Nashay Yaad To Kar
Be-Piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistaan Janan

Aakhir Aakhir To Ye Alam Hai Keh Ab Hosh Nahi
Rag -e- Meena Sulag Uthi Keh Rag -e- Jaan Janan

Muddaton Se Yahi Alam Na Tawaqqo Na Umeed
Dil Pukaray Hi Chala Jata Hai Janan Janan

Hum Bhi Kia Saada Thay Hum Ne Bhi Samajh Rakha Tha
Ghum Douraan Se Juda Hai Ghum -e- Janan Janan

Tum bhi khafa ho log bhi barhum hain dosto

Tum bhi khafa ho log bhi barhum hain dosto
ab ho chala yaqin ke bouray hum hain dosto

kis ko hamare haal se nisbat hai kya karen
aankhen to dushmanon ki bhi purnum hain dosto

apne siwa humaray na honay ka ghum kise
apni talaash mein to hum hi hum hain dosto

kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shehr ke chiragh bhi madhum hain dosto

iss shehr-e aarzu se bhi baher nikal chalo
ab dil ki raunaqen bhi koi dum hain dosto

sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
duniya mein aise log bahot kum hain dosto

Chirag jalana to purani rasmen hain

Chirag jalana to purani rasmen hain FARAZ

Ab to tere shehar k log insan jala dete hain

Main kab tak dosron k dukh sanbhal k rakhon

Bikher rahe hain meri zindagi k tamam warq
Na jaane kab koi andhi ura k le jaye

Main kab tak dosron k dukh sanbhal k rakhon FARAZ
Jis jis ke hain woh nishani bata k le jaye

Alvida Ahmad Faraz

Nazam dulhan thi teri , Ghazal teri mehbooba ,

Alvida AHMED FARAZ , Ja tujh ko Khuda ko sonpa

Chandni raat bari der ke baad ai

Chandni raat bari der ke baad ai
Yeh mulaqat bari der ke baad ai

Aaj aye hain woh milne ko bari der ke bad
Aaj ki raat bari der ke baad ai

Tum Itna Jo Muskra Rahe Ho

Tum Itna Jo Muskra Rahe Ho
Kya Gham Hai Jis Ko Chupa Rahe Ho

Aankhon Mein Nami Hansi Labon Par
Kya Haal Hai Kya Dikha Rahe Ho

Ban Jaen ge Zehar Peete Peete
Ye Ashk Jo Peete Ja Rahe Ho

Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyon Unhen Chere Ja Rahe Ho

Rekhaon Ka Khel Hai Muqaddar
Rekhaon Se Maat Kha Rahe Ho

yahi tohfa hai yahi nazrana

yahi tohfa hai yahi nazrana
main jo aawara nazar laya hon
rang mein tere milane ke liye
qatra-e-Khoon-e-jigar laya hon
aye gulaabon ke watan

pehle kab aya hon kuch yaad nahi
lekin aya tha qasam khata hon
phool to phool hain kanton pe tere
apne honton ke nishan pata hon
mere Khawbon ke watan

choom lene de mujhe haath apne
jin se tori hain kai zanjeeren
tu ne badla hai mashiyat ka mizaaj
tu ne likhi hain nai taqdeeren
inqalabon ke watan

phool ke baad naye phool khilen
kabhi Khali na ho daaman tera
roshani roshani teri rahen
chaandni chaandni aangan tera
mehtabon ke watan

Suna Karo Meri Jaan In Se Un Se Afsaane

Suna Karo Meri Jaan In Se Un Se Afsaane
Sab Ajnabi Hain Yahan Kaun Kis Ko Pehchaane

Yahan Se Jald Guzar Jao Qaafile Walo
Hain Meri Pyas Ke Phooke Hue Ye Weeraane

Meri Junon-E-Parastish Se Tang Aa Gaye Log
Suna Hai Band Kiye Ja Rahe Hain Butt-Khaane

Jahan Se Pichle Pehar Koi Tishna-Kaam Utha
Wahin Pe Tore Hain Yaaron Ne Aaj Paimaane

Bahaar Aye To Mera Salaam Keh Dena
Mujhe To Aaj Talab Kar Liya Hai Sehraa Ne

Sivaa Hai Huqm K "Kaifi" Ko Sang-Saar Karo
Maseeha Baithe Hain Chup Ke Kahan Khuda Jaane

Thursday, November 28, 2013

boseeda purane kisi saman mein rakh de

boseeda purane kisi saman mein rakh de
ya phir kisi toote hoe guldan mein rakh de

chahat k charaghon ko to jalna ha, jalaen ge
tu in ko utha kar bhale toofan mein rakh de

qadamon mein tere masle hoe phoon nahi hain
chahat ki chitta hai kisi shamshan mein rakh de

saansen na chuka pai hon qeemat jo wafa ki
ab jism ki matti ko bhi taawan mein rakh de

Mohsin  tere jazbat yahan kaun sune ga?
be-rabt khayalat ko deewan mein rakh de

kitni wehshat hai darmian hajoom

kitni wehshat hai darmian hajoom
jis ko dekho, gaya hoa hai kahin

wo log bahot khush qismat the

wo log bahot khush qismat the
jo ishq ko kaam samajthe the
ya kaam se aashiqui karte the
ham jeete ji masroof rahe
kuch ishq kia, kuch kaam kia
kaam ishq k aarhey ata raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aakhir tang aa kar
ham ne dono ko adhora chor dia

Faiz Ahmad Faiz

Shakh-e-gul jhoom kar gulzar mein seedhi jo hoi

Shakh-e-gul jhoom kar gulzar mein seedhi jo hoi
Khinch gaya aankh mein naqsh teri angrai ka

Meri deewangi ka kia ho ga

Meri deewangi ka kia ho ga?
Tum to aadi ho bhool jane k

Sunte ho janaan

Sunte ho janaan!
Be-wafa ab dars-e-wafa den ge

Musalsal dil ki bechaini ko kia kehte hain dil walo

Musalsal dil ki bechaini ko kia kehte hain dil walo!
Tumhen malom ho shayed mujhe to aagahi kam ha

Ye aur bat ha k taqdeer lipat k roi

Ye aur bat ha k taqdeer lipat k roi
Warna bazo to tumhen dekh k phailaye the

Ghairat-e-Ishq mein jaan dene pe tul jate hain

Ghairat-e-Ishq mein jaan dene pe tul jate hain
Ehl-e-dil youn hi ulajhte nahi shamsheer k sath

hausalon ka saboot dena tha

hausalon ka saboot dena tha
thokaren kha k muskarana para

hurriyat ko aaj phir hai ibn-e-Haider ki talash

hurriyat ko aaj phir hai ibn-e-Haider ki talash
waqt ko phir hai karoron mein behtar ki talash
zindagi ko phir ek jaan-baaz rehbar ki talash
phir jawani khone ko hai wo nishan-e-hurriyat
phir hui hai dosh-e-Abbas dilawar ki talash
phir hummiyat uthi hai phir hai izzat garm-o-kaar
phir hui hai zindagi ko josh-e-Akbar ki talash
dekhna Kaifi nishan-e-Hurriyat lahrae ga
jab jahan ko azm-e-Sher-e-Karbala mil jaye ga

Dastor kia yeh shehr-e-sitamgar ke ho gaye

Dastor kia yeh shehr-e-sitamgar ke ho gaye
Jo sar utha ke chalte thay be sar ke ho gaye

Dil main koi sanam hi bacha na Khuda raha
Is sheher per yeh zulm bhi lashker ke ho gaye

Yeh sheher to hai aap ka aawaz kis ki thi
Dekha jo mur ke hum ne to pathar ke ho gaye

Jab sar dhaka to paon khuley phir yeh sar khula
Tukre isi main karghon ki chadar ke ho gaye

Hum per bahot hanse they farishte to dekh len
Hum phir fareb gunbad-e-bedar ke ho gaye

jhuki jhuki si nazar beqarar hai k nahi

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai k nahi
daba daba sa sahi dil mein pyar hai k nahi

tu apne dil ki jawan dharkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil be-qarar hai k nahi

wo pal ke jis mein mohabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intezar hai k nahi

teri umeed pe thukara raha hon duniya ko
tujhe bhi apne pe ye aitebar hai k nahi

aaj ki raat bahot garam hawa chalti hai

aaj ki raat bahot garam hawa chalti hai
aaj ki raat na foot path pe neend aye gi
sab utho, main bhi uthon, tum bhi utho
koi khirki isi deewar mein khul jaye gi

ye zameen tab bhi nigal lene pe aamada thi
paon jab tooti shaakhon se utare ham ne
in makanon ko khabar hai na makeenon ko khabar
un dinon ki jo gufaon mein guzare ham ne

haath dhalte gaye sanche mein to thakte kaise
naqsh ke baad naye naqsh nikhare ham ne
ki ye deewar buland, aur buland, aur buland
baam-o-dar aur zara, aur sanware ham ne

aandhiyan tor liya karti thin shamon ki lauen
jar diye is liye bijli ke sitaare ham ne
ban gaya qasr to pehre pe koi baith gaya
so rahe khaak pe ham shorish-e-tameer liye

apni nas-nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan
band aankhon mein isi qasr ki tasweer liye
din phighalta hai isi tarah saron par ab tak
raat aankhon mein khatakti hai siyah teer liye

aaj ki raat bahot garam hawa chalti hai
aaj ki raat na foot path pe neend aye gi
sab utho, main bhi uthon, tum bhi utho
koi khirki isi deewar mein khul jaye gi

main dhondhta hoon jisse

main dhondhta hoon jisse wo jahan nahi milta
nai zameen naya aasman nahi milta

nai zameen naya aasman bhi mil jaye
naye bashar ka kahin kuch nishan nahi milta

wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera
kisi ke haath ka us par nishan nahi milta

wo mera gaon hai wo mere gaon ke chulhe
k jin mein shole to shole dhuan nahi milta

jo ik Khuda nahi milta to itna maatam kiyun?
yahan to koi mera hamzaban nahi milta

khara hon kab se main chehron ke ek jangal mein
tumhare chehre ka kuch bhi nishan yahan nahi milta

koi ye kaise bataye k wo tanha kiyon hain

koi ye kaise bataye k wo tanha kiyon hain
wo jo apna tha wohi aur kisi ka kiyon hain
yahi duniya hai to phir aisi ye duniya kiyon hain
yahi hota hain to aakhir yahi hota kiyon hain

ek zara haath barha de to pakar le daaman
us ke seene mein sama jaye hamari dharkan
itni qurbat hain to phir fasla itna kiyon hain

dil-e-barbad se nikla nahi ab tak koi
ek lute ghar pe diya karta hain dastak koi
aas jo toot gai phir se bandhata kiyon hain

tum musarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehte hain pyar ka rishta hain janam ka rishta
hain janam ka jo ye rishta to badalta kiyon hain

itna to zindagi mein kisi ki Khalal pare

itna to zindagi mein kisi ki Khalal pare
hansne se ho sukoon na rone se kaal pare

jis tarah hans raha hoon main pi-pi ke ashk-e-gham
youn dosra hanse to kaleja nikal pare

ek tum k tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai
ek ham k chal pare to beharhal chal pare

muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji khush to ho gaya magar aansu nikal pare

saaqi sabhi ko hai gham-e-tashna labi magar
may hai usi ke naam pe jis ke ubal pare

ab aur kya tera beemar baap de ga tujhe

ab aur kya tera beemar baap de ga tujhe
bas ek dua ki Khuda tujh ko kamyab kare
wo Taank de tere aanchal mein chaand aur taare
tu apne vaste jis ko bhi intakhab kare

On the birth of his daughter Shabana Azmi

Wednesday, November 27, 2013

Phir uss ko yaad kia aur mond li aankhen

Phir uss ko yaad kia aur mond li aankhen
k iss k baad nazar kon ane wala tha

Aa phir naye sirey se mohabbat shuro karen

Shikwe gillon ko chor k pehlu mein aa k beth
Aa phir naye sirey se mohabbat shuro karen

Teri wafa k taqaze badal gaye warna

Teri wafa k taqaze badal gaye warna
Mujhe to aaj bhi tum se azeez koi nahi

jhooti tasalliyon ki zarorat nahi mujhe

jhooti tasalliyon ki zarorat nahi mujhe
keh do k mere liye fursat nahi tujhe

ye bhi nahi k main tumhen ilzam de sakon
ye bhi nahi k tum se shikayat nahi mujhe

main bhi tumhari yaad ko dil se bhula to don
oer kia karon k be-wafai ki adat nahi mujhe

Ham toot k karte hain meri jaan mohabbat

Ham toot k karte hain meri jaan mohabbat
ye kaam hamen hasb-e-zarorat nahi ata

Jab tum laut aao to saddiyon ki umar lana

Jab tum laut aao to saddiyon ki umar lana
k tere sath mujh ko mukhtasir nahi rehna

Samne aa k na betho youn Khuda ra

Samne aa k na betho youn Khuda ra
Sabar to sabar ha her bat nahi hota

Tedey naa da pehla harf aawey

Tedey naa  da pehla harf aawey
mekon saal de sadney bhul wendin

Auron ko bicharne ki duaen nahi dete

Ye baar kahen khud hi uthana na pare kal
Auron ko bicharne ki duaen nahi dete

Bahot udaas hai dil qehqahon k beech mein

Bahot udaas hai dil qehqahon k beech mein
Meri khushi se kaho doghla pan chor de

Kis qadar ghair ho gaye ham tum

Kis qadar ghair ho gaye ham tum
Dard ka bhi wasta na raha

Khareed lon ga tujh se main tere sare gham

Khareed lon ga tujh se main tere sare gham
Sikkey mere naseeb k jis roz chal gaye

Tishnagi tu bhi meri tarah qalandar nikli

Tishnagi tu bhi meri tarah qalandar nikli
Kabhi qatre pe tasaduq, kabhi dariya se guraiz

roz barhta hon jahan se aage

roz barhta hon jahan se aage
phir wahin laut ke aa jata hon
baar ha tor chuka hon jin ko
inhi deewaron se takrata hon
roz baste hain kai shehr naye
roz dharti mein sama jate hain
zal-zalon mein thi zara si girah
wo bhi ab roz hi aa jate hain

jism se rooh talak rait hi rait
na kahin dhoop, na saya, na saraab
kitne arman hai kis sehara mein
kaun rakhta hai mazaaron ka hisaab
nafz bujhti bhi bharakti bhi hai
dil ka mamool hai ghabrana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ik aadat hai jiye janaa bhi

qaus ek rang ki hoti hai tuluu'a
ek hi chaal bhi paimana bhi
goshe goshe mein khari hai masjid
mushkil kya ho gai maykhaane ki
koi kehta tha samandar hon main
aur meri jaib mein qatra bhi nahi
Khairiyat apni likha karta hon
ab to taqdeer mein khatra bhi nahi

apne haathon ko parha karta hon
kabhi quraan kabhi geeta ki tarah
chand rekhaon mein samaon main
zindagi qaid hai seeta ki tarah
raam kab lauten ge malom nahi
kaash raavan hi koi aa jata

bas ik jhijhak hai yahi

bas ik jhijhak hai yahi haal-e-dil sunane mein
k tera zikir bhi aye ga is fasaane mein

baras pari thi jo rukh se naqaab uthane mein
wo chaandni hai abhi tak mere ghareeb-Khaane mein

isi mein ishq ki qismat badal bhi sakti thi
jo waqt beet gaya mujh ko aazmaane mein

ye keh ke toot para shaakh-e-gul se aakhri phool
ab aur dair hai kitni bahaar aane mein?

azaa mein behte the aansu yahan

azaa mein behte the aansu yahan, lahu to nahi
ye koi aur jaga hai ye lakhnau to nahi

yahan to chalti hain churriyan zuban se pehle
ye meer anees ki, aatish ki guftagu to nahi

chamak raha hai jo daman pe dono firaqon ke
baghaur dekho ye islam ka lahu to nahi

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
mujh se bikhre huye gesu nahi dekhe jate
surkh aankhon ki qasam kanpati palkon ki qasam
thar-tharate huye aansu nahi dekhe jate

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
choot jane do jo daaman-e-wafa choot gaya
kyun ye laghzeeda kharami ye pashemaan nazari
tum ne tora nahi rishta-e-dil toot gaya

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
meri aahon se ye rukhsar na kumla jaen
Dhoondti ho gi tumhen ras mein nahai hui raat
jao kaliyan na kahin sej ki murjha jaen

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
main is ujre huye pehlu mein bitha lon na kahin
lab-e-sheereen ka namak, aariz-e-namakeen ki mithaas
apne tarse huye honthon mein chura lon na kahin

ho ke majboor mujhe us ne bhulaya ho ga

rooh bechain hai ik dil ki aziyat kya hai
dil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
wo mujhe bhool gai is ki shikayat kya hai
ranj to ye hai ke ro-ro ke bhulaya ho ga

wo kahan aur kahan kaahif-e-gham sozish-e-jaan
us ki rangeen nazar aur naqoosh-e-hirmaan
us ka ehsaas-e-lateef aur shikast-e-armaan
tanzan ek zamana nazar aya ho ga

jhuk gai ho gi jawan-saal umangon ki jabeen
mitt gai ho gi lalak doob gaya ho ga yaqeen
cha gaya ho ga dhuan ghoom gai ho gi zameen
apne pehle hi gharonde ko jo dhaya ho ga

dil ne aise bhi kuch afsaane sunaye hon ge
ashk aankhon ne piye aur na bahaye hon ge
band kamre mein jo khat mere jala-aye hon ge
ek ik harf jabeen par ubhar aya ho ga

us ne gabhra ke nazar laakh bachai ho gi
mita ke ik naqsh ne sau shaql dikhai ho gi
mez se jab meri tasveer hatai ho gi
har taraf mujh ko tarapta hua paya ho ga

be-mahal cheer pe jazbat ubal aye hon ge
gham pashemaan tabassum mein dhal aye hon ge
naam par mere jab aansu nikal aye hon ge
sar na kaandhe se saheli ke uthaya ho ga

zulf zid kar ke kisi ne jo banai ho gi
rutt jalwon pe Khizaan aur bhi chhai ho gi
barq ashvon ne kai din na girai ho gi
rang chehre pe kai roz na aya ho ga

ho ke majboor mujhe us ne bhulaya ho ga
zehar chup kar ke dawa jaan ke khaya ho ga

aaj sajde wohi aawara hue jaate hain

ik yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai
dosto main kisse ye soz-e-nihan nazar karon?
koi qaatil sar-e-maqtal nazar ata hi nahi
kis ko dil nazar karon aur kisse jaan nazar karon?

tum bhi mehboob mere tum bhi ho dildaar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahi tum bhi nahi
khatam hai tum pe maseeha nafsi charagari
mehram-e-dard-e-jigar tum bhi nahi tum bhi nahi

apni laash aap uthana koi aasan nahi
dast-o-baazu mere nakara hue jaate hain
jin se har daur mein chamaki hai tumhari dehleez
aaj sajde wohi aawara hue jaate hain

door manzil thi magar aisi bhi kuch door na thi
le ke phirti rahi raste hi mein wehshat mujh ko
ek zakhm aisa na khaya ke bahar aa jati
daar tak le ke gaya shauq-e-shahaadat mujh ko

raah mein Toot gaye paaon to malom hoa
juz mere aur mera rah_numa koi nahi
ek ke baad Khuda ek chala ata tha
keh diya aqal ne tang aa ke 'Khuda koi nahi'

Tuesday, November 26, 2013

ab kisse chaahen, kisse Dhondha karen?

ab kisse chaahen, kisse Dhondha karen?
wo bhi aakhir mil gaya ab kya karen?

halki halki barishen hoti rahen
ham bhi pholon ki tarah bheega karen

aankh monde us gulaabi dhoop mein
dair tak baithe usse socha karen

dil, mohabbat, deen, duniya, shayari
har dareeche se tujhe dekha karen

ghar naya kapre naye bartan naye
in purane kaghazon ka kya karen?

aas hogi na aasra ho ga

aas hogi na, aasra ho ga
aane wale dinon mein kya ho ga?

main tujhe bhool jaon ga ik din
waqt sab kuch badal chuka ho ga

naam ham ne likha tha aankhon mein
aansuon ne mita diya ho ga

aasman bhar gaya parindon se
pairh koi hara gira ho ga

kitna dushwar tha safar us ka
wo sar-e-shaam so gaya ho ga

aansuon ki jahaan payemali rahi

aansuon ki jahaan payemali rahi
aisi basti charaghon se Khaali rahi

dushmanon ki tarah us se larte rahe
apnii chaahat bhi kitni nirali rahi

jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak be-khayali rahi

lab taraste rahe ik hansi ke liye
meri kashti musaafir se Khali rahi

chaand taare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kaali rahi

mere seene pe khushbu ne sar rakh diya
meri baanhon mein pholon ki Daali rahi

chaandni bhi meri tarah jaag rahi hai

chaandni bhi meri tarah jaag rahi hai
palkon pe sitaaron ko liye raat khari hai

ye baat k sorat ke bhale dil ke bure hon
ALLAH kare jhoot ho bahuton se soni hai

wo maathe ka matla ho k honthon ke do misare
bachpan ki Ghazal hi meri mehaboob rahi hai

Ghazalon ne wahin zulfon ke phaila diye saaye
jin raahon pe dekha hai bahut dhoop kari hai

ham dilli bhi ho aaye hain lahor bhi ghome
aye yaar magar teri galli teri galli hai

Dil mein mahek rahe hain kisi aarzoo ke phool

Dil mein mahek rahe hain kisi aarzoo ke phool
palkon mein khilne wale hain shayed lahu ke phool

ab tak hai koi baat mujhe yaad harf harf
ab tak main chun raha hun kisi guftagu ke phool

kalliyan chatak rahi thi k aawaz thi koi
ab tak sama’aton mein hai ik khush-gulu ke phool

mere lahu ka rang hai har nok-e-khaar par
sehra mein har taraf hai meri justaju ke phool

deewane kal jo log the phoolon ke ishq mein
ab un ke damanon mein bhare hain rafu ke phool

pyar mujh se jo kiya tum ne to kya pao gi?

pyar mujh se jo kiya tum ne to kya pao gi?
mere halat ki aandhi mein bikhar jao gi
ranj aur dard ki basti ka main bashinda hon
ye to bas main hon k is hal mein bhi zinda hon
khawb q dekhon wo kal jis pe main sharminda hon
main jo sharminda hua tum bhi to sharamao gi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tum ko to aasan rahe
hamsafar mujh ko banao gi to pachatao gi
ek main kya abhi aen ge deewane kitne
abhi goonje ge mohabbat ke tarane kitne
zindagi tum ko sunaye gi fasane kitne
q samajhti ho mujhe bhool nahi paogi?

main aur meri aawargi

phirte hain kab se dar ba dar ab is nagar ab us nagar
ek dosre ke hamsafar main aur meri aawargi

na aashna har rahguzar, na meharban hai ek nazar
jaen to ab jaen kidher main aur meri aawargi

hum bhi kabhi aabad the, aise kahan barbad the
be-fikr the aazad the, masror the dilshad the
wo chaal aisi chal gaya, hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar, main aur meri aawargi

wo mah-e-vash wo mah-e-ru wo mah-e-kamil hu bahu
thin jis ki baten ku ba ku us se ajab thi guftagu
phir youn hoa wo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
laen ge us ko dhond kar, main aur meri aawargi

ye dil hi tha jo seh gaya wo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kya reh gaya, ashkon ka dariya beh gaya
jab keh kar wo dilbar gaya tee liye main mar gaya
rote hain us ko raat bhar main aur meri aawargi

ab gham uthaen kis liye, ye dil jalaen kis liye?
aansu bahaen kis liye, youn jan gavaen kis liye?
pesha na ho jis ka sitam dhonden ge ab aisa sanam
hon ge kaheen to kargar main aur meri aawargi

aasar hain sab khot ke, imkan hain sab chot ke
ghar band hain sab kot ke, ab khatm hai sab totke
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise hoye hain be-asar, main aur meri aawargi

jab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz tha
ab soz hai tab saz tha, ab sharm hai tab naz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya, hai sath wo to wo bhi kya
ek be-hunar ek be-sabar, main aur meri aawargi

Kiyoun zindagi ke rah mein majbor ho gaye

Kiyoun zindagi ke rah mein majbor ho gaye
itne hoye qareeb k hum door ho gaye
aisa nahi k ham ko koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kiyon is ke faisle hamen manzor ho gaye
paya tumhen to ham ko laga tum ko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil hum pe ro diya
palkon se kawb kyon gire kyon choor ho gaye

Dukh ke jangal mein phirte hain

Dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log
jo hota hai seh lete hain kaise hain bechare log
jeevan jeevan hum ne aag mein khel yahi hote dekha
dheere dheere jeeti duniya dheere dheere hare log
sangat dene ko paate hain sanson ke ik-tare log
is nagari mein kyon milti hai roti sapnon ke badle
jin ki nagri hai wo jane hum thehare banjare log

Ye bata de mujhe zindagi

Ye bata de mujhe zindagi
 
piyar ke rah ke ham safar
kis tarah ban gaye ajnabi
ye bata de mujhe zindagi
 
phool q sare murjha gaye
kis liye bujh gai chandni
ye bata de mujhe zindagi
 
kal jo bahon mein thi
aur nigahon mein thi
ab wo garmi kahan kho gai
na wo andaz hai
na wo aawaz hai
ab wo narmi kahan kho gai
ye bata de mujhe zindagi
 
be-wafa tum nahi
be-wafa hum nahi
phir wo jazbat kyon so gaye
pyar tum ko bhi hai
pyar hum ko bhi hai
faasle phir ye kya ho gaye
ye bata de mujhe zindagi

Sach ye hai bekar hamen gham hota hai

Sach ye hai bekar hamen gham hota hai
jo chaha tha duniya mein kam hota hai

dhalta suraj phaila jungle rasta gum
hum se pocho kaisa aalam hota hai

ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hota hai koi ham-dam hota hai

zakhm to hum ne in aankhon se dekhe hain
logon se sunte hain marham hota hai

zehan ki shakhon par ashar aa jate hain
jab teri yadon ka mausam hota hai

kabhi youn bhi to ho

kabhi youn bhi to ho
darya ka sahil ho
pooray chand ki rat ho
aur tum ao

kabhi youn bhi to ho
pariyon ki koi mehfil ho
koi tumhari bat ho
aur tum ao

kabhi youn bhi to ho
yeh narm mulayem thandi hawaen
jab ghar se tumharay guzrain
tumhari khusbu churaen
mere ghar lay aen

kabhi youn bhi to ho
sooni har manzil ho
koi na mere sath ho
aur tum ao

kabhi youn bhi to ho
yeh badal aisa toot k barsay
mere dil ki tarah milnay ko
tumhara dil bhi tarsay
tum ghar say niklo

kabhi youn bhi to
tanhai ho, dil ho
boondain hon, barsaat ho
aur tum ao
kabhi youn bhi to ho!

Ab kiya sochen kiya hona hai

Ab kiya sochen kiya hona hai jo ho ga acha ho ga
Pehle socha hota pagal ab Rone se kiya ho ga


Yaar se gham keh kar to khush ho, lekin tum yeh kiya jano
Tum Dil ka rona roote the, woh Dil mein hasta ho ga


Aaj kisi ne dil tora to hum ko jaise dhiyaan aya
Jis ka Dil hum ne tora tha woh jane kaisa ho ga


Mere kuch pal mujh ko de do, baqi saare din tum le lo
Tum jaisa jaisa kehte ho, Sab waisa waisa ho ga

ghul raha hai sara manzar

ghul raha hai sara manzar, sham dhundli ho gai
chandni ki chadar orhay har pahari so gai

narm hai jitni hawa utni fiza khamosh hai
tehniyon par aus pi kar har kali be-hosh hai

mor par karwat liye ab oonghtay hain raastay
door koi ga raha hai janay kis ke waastay

yeh sakoon mein khoi waadi noor ki jageer hai
doodhiya parday k peechay surmari tasweer hai

dhul gai hai rooh lekin dil ko yeh ehsas hai
yeh sakoon bas chand lamhon ko hi mere pas hai

faslon ki gard mein yeh sadgi kho jaye gi
shehr ja kar zindagi phir shehr ki ho jaye gi!

khawb k gaon mein palay hain hum

khawb k gaon mein palay hain hum
paani chalni mein lay chalay hain hum

khud hain apne safar ki dushwari
apne pairon k aablay hain hum

tu to matt keh humen bura duniya!
tu ne dhaala hai aur dhalay hain hum

kiyoN hain? kab tak hain? kis ki khaatir hain?
baray sanjeeda maslay hain hum
 
Javed Akhtar

dard ke phool bhi khilte hain bikher jate hain

dard ke phool bhi khilte hain bikher jate hain
zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain

us dareeche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi
sir jhukaye hoye chup chaap guzar jate hain

rasta roke khari hai yahi uljhan kab se
koi poche to kahen kiya k kidhar jate hain
 
narm aawaz bhali baaten mohazzab lehje
pehli barish mein hi ye rang utar jate hain
 
Javed Akhtar

Monday, November 25, 2013

ye tasalli hai k hain nashad sab

ye tasalli hai k hain nashad sab
main akela hi nahi, hain barbaad sab

sab ki Khatir hai yahan sab ajnabi
aur kehne ko hain ghar abad sab

bhool ke sab ranjishen sab ek hain
main bataon sab ko ho ga yaad sab

sab ko dawa-e-wafa sab ko yaqeen
is adakari mein hain ustaad sab

shrhr ke hakim ka ye farmaan hai
qaid mein kehlaen ge aazad sab

chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab fursat sune fariyaad sab

talkhiyan kaise na ho ashaar mein
ham pe jo guzri hai ham ko yaad sab
 
Javed Akhtar

dard apnata hai paraye kaun?

dard apnata hai paraye kaun?
kaun sunta hai aur sunaye kaun?

kaun doharaye wo purani baat?
Gham abhi soya hai jagaye kaun?

wo jo apne hain kiya wo apne hain?
kaun dukh jhele, aazamaye kaun?

ab sakon hai to bhoolane mein hai
lekin us shakhs ko bhulaye kaun?

aaj phir dil hai kuch udaas udaas?
dekhiye aaj yaad aye kaun?
 
Javed Akhtar

Mujh ko yaqeen hai sach kehti thin

Mujh ko yaqeen hai sach kehti thin jo bhi ammi kehti thin
jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rehti thin

ik ye din jab apnon ne bhi hum se rishta tor liya
ik wo din jab pairh ki shaakhen bojh hamara sehti thin

ik ye din jab laakhon Gham aur kaal para hai aansoo ka
ik wo din jab ek zara si baat pe nadiyan behti thin

ik ye din jab saari sarken roothi roothi lagti hain
ik wo din jab 'aao khelen' saari galliyan kehti thin

ik ye din jab jaagi raaten diwaron ko takti hain
ik wo din jab shaakhon ki bhi palken bojhal rehti thin

ik ye din jab zehan mein saari ayyari ki baaten hain
ik wo din jab dil mein saari bholi baaten rehti thin

ik ye ghar jis ghar mein mera saaz-o-saamaan rehta hai
ik wo ghar jis mein meri boorhi naani rehti thin
 
Javed Akhtar

Hum to bachpan mein bhi akele the

Hum to bachpan mein bhi akele the
sirf dil ki galli mein khele the

ek taraf morche the palkon ke
ek taraf aasoon ke rele the

thin saji hasraten dukanon per
zindagi ke ajeeb mele the

aaj zehan-o-dil bhookon marte hain
un dinon faaqe bhi ham ne jhele the

Khud-kashi kiya Ghamon ka hal banti
maut ke apne bhi sau jhamele the 
 
Javed Akhtar

Jate jate wo mujhe achi nishani de gaya

Jate jate wo mujhe achi nishani de gaya
umar bhar dohraon ga aisi kahani de gaya

us se main kuch paa sakon aisi kahan umeed thi
Gham bhi wo shayed bara-e-meharbani de gaya

sab hawaen le gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko ek kashti baadbani de gaya

Khair main piyasa raha per us ne itna to kiya
meri palkon ki kataaron ko wo pani de gaya
 
Javed Akhtar

Tum ko dekha to ye Khayal aya

Tum ko dekha to ye Khayal aya
zindagi dhoop tum ghana saya

aaj phir dil ne ek tamanna ki
aaj phir dil ko ham ne samjhaya

tum chale jao ge to sochen ge
ham ne kiya khoya, ham ne kiya paya

ham jisse gun guna nahi sakte
waqt ne aisa geet kyun gaya

Javed Akhtar

Sunday, November 24, 2013

Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla
Aaj Baad Muddat k
Main Ne Usko Dekha Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Apni Aankhon Mein
So Sawal Rakhti Hay
Choti Choti Baton Pe
Ab b Khul k Hansti Hay
Ab b Uske Lehjay Mein
Vohi Khankhanahat Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Uski PalkOn k
Saye Geeley Rehtay Hain
Ab b Uski SochOn Mein
Mera Naam Rehta Hay
Ab b Meri Khatir
Uss Tarah Hi Pagal hay
Vo zara Nahi Badli!
Aaj Baad Muddat k
Main Ne UskO Dekha Hay
To Mujhe b Lagta Hay
Main b Uski Chahat Mein
Uss Tarah Hi Pagal HoOn
Baad Itni Muddat k
Aur Kuch Nahi Badla
Juzz Hamary RastOn k
Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla
Aaj Baad Muddat k
Main Ne Usko Dekha Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Apni Aankhon Mein
So Sawal Rakhti Hay
Choti Choti Baton Pe
Ab b Khul k Hansti Hay
Ab b Uske Lehjay Mein
Vohi Khankhanahat Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Uski PalkOn k
Saye Geeley Rehtay Hain
Ab b Uski SochOn Mein
Mera Naam Rehta Hay
Ab b Meri Khatir
Uss Tarah Hi Pagal hay
Vo zara Nahi Badli!
Aaj Baad Muddat k
Main Ne UskO Dekha Hay
To Mujhe b Lagta Hay
Main b Uski Chahat Mein
Uss Tarah Hi Pagal HoOn
Baad Itni Muddat k
Aur Kuch Nahi Badla
Juzz Hamary RastOn k
Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla
Aaj Baad Muddat k
Main Ne Usko Dekha Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Apni Aankhon Mein
So Sawal Rakhti Hay
Choti Choti Baton Pe
Ab b Khul k Hansti Hay
Ab b Uske Lehjay Mein
Vohi Khankhanahat Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Uski PalkOn k
Saye Geeley Rehtay Hain
Ab b Uski SochOn Mein
Mera Naam Rehta Hay
Ab b Meri Khatir
Uss Tarah Hi Pagal hay
Vo zara Nahi Badli!
Aaj Baad Muddat k
Main Ne UskO Dekha Hay
To Mujhe b Lagta Hay
Main b Uski Chahat Mein
Uss Tarah Hi Pagal HoOn
Baad Itni Muddat k
Aur Kuch Nahi Badla
Juzz Hamary RastOn k
Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla

Aur Kuch Nahi Badla
Aaj Baad Muddat k
Main Ne Usko Dekha Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Apni Aankhon Mein
So Sawal Rakhti Hay
Choti Choti Baton Pe
Ab b Khul k Hansti Hay
Ab b Uske Lehjay Mein
Vohi Khankhanahat Hay
Vo Zara Nahi Badli!
Ab b Uski PalkOn k
Saye Geeley Rehtay Hain
Ab b Uski SochOn Mein
Mera Naam Rehta Hay
Ab b Meri Khatir
Uss Tarah Hi Pagal hay
Vo zara Nahi Badli!
Aaj Baad Muddat k
Main Ne UskO Dekha Hay
To Mujhe b Lagta Hay
Main b Uski Chahat Mein
Uss Tarah Hi Pagal HoOn
Baad Itni Muddat k
Aur Kuch Nahi Badla
Juzz Hamary RastOn k
Aur Kuch Nahi Badla