Thursday, November 28, 2013

Dastor kia yeh shehr-e-sitamgar ke ho gaye

Dastor kia yeh shehr-e-sitamgar ke ho gaye
Jo sar utha ke chalte thay be sar ke ho gaye

Dil main koi sanam hi bacha na Khuda raha
Is sheher per yeh zulm bhi lashker ke ho gaye

Yeh sheher to hai aap ka aawaz kis ki thi
Dekha jo mur ke hum ne to pathar ke ho gaye

Jab sar dhaka to paon khuley phir yeh sar khula
Tukre isi main karghon ki chadar ke ho gaye

Hum per bahot hanse they farishte to dekh len
Hum phir fareb gunbad-e-bedar ke ho gaye

No comments:

Post a Comment