Tuesday, November 19, 2013

gar jeet gaye to kia kehna, haare bhi to baazi maat nahi


kab yaad mein tera saath nahi kab haath mein tera haath nahi
sad shukar ke apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahi

mushkil hain agar haalaat wahan dil bech aen jaen de aen
dil walo koocha-e-jaanaan mein kia aise bhi haalaat nahi

jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shaan salaamat rehti hai
ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahi

maidaan-e-wafa darbaar nahi yahan naam-o-nasab ki pooch kahan
aashiq to kisi ka naam nahi kuch ishq kisi ki zaat nahi

gar baazi ishq ki baazi hai jo chaaho laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kia kehna, haare bhi to baazi maat nahi 

Faiz Ahmad Faiz

2 comments: