Saturday, January 4, 2014

dam tor jati hai her shikayat labbon pe aa kar

دم توڑ جاتی ہے ہر شکایت لبوں پہ آ کر
جب معصومیت سے وہ کہتا ہے مَیں نے کیا کیا ہے؟

.................................

dam tor jati hai her shikayat labbon pe aa kar
jab masoomiyat se wo kehta hai main ne kia kia hai?

tum ab k laot aao na guzarti shaam se pehle

tum ab k laot aao na guzarti shaam se pehle
k mere hath ko thamo nikalti jaan se pehle

tumhare laot aane ki hamen umeed hai jab se
koi shamma nahi bujhti hamari shaam se pehle

k ab tum laot aao na kahin na der ho jaye
hamari jaan chali jaye tere iqrar se pehle

tumhi ko yaad karte hain, tumhi ko piar karte hain
samajhte q nahi ho tum hamen ilzam se pehle

k ab jo ho sake to bas ye aik ehsan kar do tum
k apne naam ko likh do hamare naam se pehle


for more poetry visit
www.urdujazeera.com

kabhi iss dard se guzro to ye malom ho tum ko

کبھی اس درد سے گزروتو یہ معلوم ہو تم کو
محبت وہ بلا ہے جو دلوں کا خون پیتی ہے

...............................

kabhi iss dard se guzro to ye malom ho tum ko
mohabbat wo bala hai jo dilon ka khoon peeti hai

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

tu mera akhri zamana hai

مَیں نے صدیوں گزارنا ہے تجھے
تُو میرا آخری زمانہ ہے

..........................
main ne tujhe saddiyon guzarna hai tujhe
tu mera akhri zamana hai

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

bhool gaye the kia

کیا کہا؟؟؟ مجھے یاد کر رہے ہو
ہائے اللہ! بھول گئے تھے کیا؟

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
kia kaha? :o mujhe yaad kar rahe ho
haye ALLAH! bhool gaye the kia?

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

Main kisi na mokamal si mohabbat ki trah

مَیں کسی نا مکمل سی محبت کی طرح
ساتھ ہوں سب کے مگر یاد کسی کو نہیں

...................................

Main kisi na mokamal  si mohabbat ki trah
sath hon sab k magar yaad kisi ko bhi nah
i

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

bhula paon ga kia kia main milan se phir bicharne tak

teri ankhen, tabbassum lab, teri zulfen bikharne tak
bhula paon ga kia kia main milan se phir bicharne tak

mera jeewan andheron mein andhera ban gia ab to
kahin ab kho na jaon main, naya soraj ubharne tak

mujhe maloom tha kab ye, hamen aise bicharna hai
hamen to sath chalna tha, issi chahat mein marne tak

meri to zindagi mein her inayat bas ussi ki thi
mujhe abad karne se, mujhe barbad karne tak

jo bigra hon to ab aasan nahi mera sudhar jana
bahot hi waqt lagta hai bigarne se sudharne tak

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

geeley balon ki bhar k Khushbu

تم ایک تکئے میں
گیلے بالوں کی بھر کے خوشبو
جو آج بھیجو تو نیند آئے


۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

tum aik takiye mein
geeley balon ki bhar k Khushbu
jo aaj bhejo to nend aye

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

reza reza hoen ankhen

reza reza hoen ankhen to sar-e-aina zar
aa gaye log tera aks uthane k liye

.............................

ریزہ ریزہ ہوئیں آنکھیں تو سرِ آئینہ زر
آ گئے لوگ تیرا عکس اُٹھانے کے لئے

for more poetry
www.urdujazeera.com

wahan tak to hamare sath chaliye

wahan tak to hamare sath chaliye
jahan tak harf-e-ruswai nahi hai

.......................

وہاں تک تو ہمارے ساتھ چلئے
جہاں تک حرفِ رسوائی نہیں ہے

for more poetry
www.urdujazeera.com

zindagi aaj wo raqsan hai

zindagi aaj wo raqsan hai
jo kabhi nawab zadi thi


...........................

زندگی آج وہ رقصاں ہے
جو کبھی نواب زادی تھی

for more poetry visit

www.urdujazeera.com

ye teri ankhon pe halqe se par gaye kese

ye teri ankhon pe halqe se par gaye kese?
tu ne to kaha tha k tu bhula de ga muje
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

یہ تیری آنکھوں پہ حلقے سے پڑ گئے کیسے؟
تُو نے تو کہا تھا کہ تُو بھلا دے گا مجھے

kia issi bat ko kehte hain mohabbat ka zawal

kia issi bat ko kehte hain mohabbat ka zawal?
ab mujhe yaad nahi salgirah bhi uss ki

..........................................

کیا اسی بات کو کہتے ہیں محبت کا زوال؟
اب مجھے یاد نہیں سالگرہ بھی اُس کی

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

haan tasawur mein bhi ab tujh se juda rehta hon


Aj se mujh per mokammal ho gia deen-e-firaq
haan tasawur mein bhi ab tujh se juda rehta hon

........................................

آج سے مجھ پر مکمل ہو گیا دینِ فراق
ہاں تصور میں بھی اَب تجھ سے جُدا رہتا ہوں

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

parchaiyon k shehr ki tanhaiyan na poch

parchaiyon k shehr ki tanhaiyan na poch
apna shareek-e-gham koi apne siwa na tha

.......................................................


پرچھائیوں کے شہر کی تنہائیاں نہ پوچھ
اپنا شریکِ غم کوئی اپنے سوا نہ تھا

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

chalo iss bar bazi palat kar khelen

chalo iss bar bazi palat kar khelen

be-parwai meri, dil-e-nazuk tumhara

for more poetry visit
www.urdujazeera.com