Tuesday, April 30, 2013

So jata hay foot path py akhbar bicha k
Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khata

Aap apna Ghubaar the hum to

Aap apna Ghubaar the hum to
Yaad they,yaadgaar the hum to

Pardagi! hum se kyuN rakha parda
Tere hi pardaa-daar the hum to

Waqt ki dhoop mein tumhare liye
Shajar E saayaa daar the hum to

URte jaate hain dhool ki manind
AaNdhiyoN par sawaar the hum to

"Hum ne kyuN khud pe aetebaar kiya"
Sakht be-aetebaar the hum to

KyuN hamain kar diya gaya majboor
Khud hi be-ikhtiyaar the hum to

Tum ne kaise bhulaadiya hum ko
Tum se hi musta’aar the hum to

Khush na aaya hamain jiye jaana
Lamhe lamhe pe baar the hum to

Seh bhi lete hamaare ta’anoN ko
Jan e man, jaaN nisaar the hum to

Khud ko dauraan e haal mein apne
Be tarah naa-gawaar the hum to

Tum ne hum ko bhi kar diya barbaad
Naadir E rozgaar the hum to

Hum ko yaroN ne yaad bhi na rakha
‘Jaunn’ yaaroN ke yaar the hum to

Main jab bhi teri yaadon ka sahara thaam leta hoon

Main jab bhi teri yaadon ka sahara thaam leta hoon!  
Bhula deta hoon dard-o-gham zara aaram leta hoon!

 Na'jane kon sa jazba mujhe majboor karta hai!  
Main aksar be'khudi mai bhi tumhara naam leta hoon!

 Yaqeen karta nahi koi bhi meri be'gunahi ka!
Main khud chup chap apne sar pe har ilzam leta hoon!

 Mujhe har baat par rona kabhi acha nahi lagta!
Isi khatir main apne gham hansi mai taal deta hoon.. !!

Mujh se yeh log kehte hain

Mujh se yeh log kehte hain,
Kahan Dil Chore aiy ho,
Bhot chup chup rehti ho,
Na banty naa sanwrte ho,
Na koi bat karti ho,
Bhari mehfil me b aksar,
Hmesha khoye rehti ho,
Udasi ankhoon main lay kar,
He ek cheray ko takti ho,
Koi jab yad aata hy,
To thandi aah bhrte ho,
To khul kar qu nhi kehte,
Kisi se piyar karty ho,

Kab tak raho ge aakhir youn door door hum se

Kab tak raho ge aakhir youn door door hum se, 

Milna pare ga aakhir ek din zaroor hum se, 

daman bachane wale ye be rukhi achi nahi, 

keh do agar huwa hai koi kasoor hum se, 

Hum chor dain ge tum se yun baat cheet karna,

Tum pochte phiro ge apna kasoor hum se,

Hum cheen lein ge tum se ye shan'e'beniazi,

Tum mangte phiroge apna guroor hum se
 
 

tumhi mujh se bichar gaye

Mere zehn ko jo nahi qabool wohi log hain mere hamsafar

mujhe her tarha se tum raas they aur tumhi mujh se bichar gaye

kahan se dhoond k laon uss bichre hoe yaar ko

Dor-e-hazir mein moyassar her cheez ha lekin

kahan se dhoond k laon uss bichre hoe yaar ko?

Uss ko Chaha to mohabbat ki takleef samaj ai

Uss ko Chaha to mohabbat ki takleef samaj ai

warna iss lafz ki sirf tareef suna karte the ham

khud ko kisi k paas bhool aya hon

Na jane q adhori si reh gai ha zindagi meri

lagta hai jaise khud ko kisi k paas bhool aya hon

Na khushian sath hain, na mohabbat pas ha

Na khushian sath hain, na mohabbat pas ha
meri zindagi k her pal ko tanhai raas ha
gila karen to ham kis se karen?
wohi ham se door hai jo sab se khaas hai

Main Jeet K Haara To Kis Mor Pe Aa K

'""Main Jeet K Haara To Kis Mor Pe Aa K,,

""Toota Tera Sahara To Kis Mor Pe Aa K,

""Nishan Tak Na Rha Meri Chahton Ka,

""Mujhe Taqdeer Ne Mara To Kis Mor Pe Aa K,

""Jab Na Rahi Dil Mein Koi Pyar Ki Hasrat,

""Mujhe Tum Ne Pukara To Kis Mor Pe Aa K,

""Umar Bhar Doobte Rahy Hum Gham K Sumandr Mein,

""Ab K Mila Kinara To Kis Mor Pe Aa K,

""Guzri Hai Umar Sari Yun Awara Gardi Mein,

""Tu Ne Zindgi Ko Sanwara To Kis Mor Pe Aa K,

Zara si umer hai meri

Khawb, Khayal, Haqeeqat, Yakeen, Gham aur tanhaiyan
Zara si umer hai meri, kis kis k sath guzaron?

tere hath alag mere hath alag

Na chahat k andaz alag, na dil k the jazbat alag
Thi sari baat lakeeron ki, tere hath alag mere hath alag

Aaj khawb mein phir dil Tootta dekha

Aaj khawb mein phir dil Tootta dekha
na jane kon be-wafai ki tiyarion mein ha

Veeran Bohat Hon Vasal Se Tashkeel Kar Mujhe

Veeran Bohat Hon Vasal Se Tashkeel Kar Mujhe,
To Mujhse Pyar Kar Zara Tabdeel Kar Mujhe,
Sehra Ki Tapti Rait Se Aa Kar Mujhe Bacha,
To Thande Meethe Pani Ki Jheel Kar Mujhe,
Ho Jaye Na Kharab Kaheen Meri Aadatain,
Har Hukm Par Na Is Tarha Taameel Kar Mujhe,
Ab Is Tarha Say Mujhko Adhura Na Chorr Tu,
Main Hoon Tera Wada To Ab Takmeel Kar Mujhe,
Choh Kar Mera Wajood Tajalli Si Bakhsh De,
Main Ek Andheri Raat Hon Qandeel Kar Mujhe.

bhool gaye sawal sare, jawab sare

Na jane kitne shikayaten theen, na jane kitne gilley the un se
jo un ki awaz suni to bhool gaye sawal sare, jawab sare

tum jese bahot milen ge

Barson bad mila wo to galley se lipat kar ro dia
jate hoe jis ne kaha tha k tum jese bahot milen ge

zindagi kis ne barbad ki

Uss ne pocha zindagi kis ne barbad ki?
Ham ne ungli uthai aur apne dil pe rakh di

Koi Dhoond Aisa Ham safar

Koi Dhoond Aisa Humsafar,
Jo Tujhe Mujhse Barh Kar Chah Saky,
Tu Kahe To Raat Ho,
Aur Wo Chandni Luta Saky,
Tere Aansuon Ko Yun Samait Le,
K Koi Na Tujh Ko Rula Saky,
Teri Rah Mein Ho Jo Mushkilen,
Apni Palkon Se Hata Saky,
Tujhy Rakh Le Apney Hisaar Mein,
K Tujh Ko Na Koi Chura Saky,
Tujhy Rag-o-Jan Mein Basa Saky,
Teri Chahaton K Khumar Mein,
Apni Hasti Ko Mita Saky,
Bas Koi Dhoond Aisa Humsafar,
Jo Tujhe Mujhse Ziada Chah Saky.

ISHQ inteqal kar gia

Roz ik nayi takleef, roz ik naya dard
na jane ye kab ilan hoga k ISHQ inteqal kar gia.

Usse kehna palkon pe na taane khawab ki chaadar

Usse kehna palkon pe na taane khawab ki chaadar
Samandar k kinare ghar bana kar kuch nahi milta

Faqat tum hi se karta hon main sari raaz ki baten
Har aik ko dasntan-e-dil suna kar kuch nahi milta

Mujhe aksar sitaron se yahi awaz ati ha
Kisi k hijr mein neenden ganwa kar kuch nahi milta

Jigar ho jaye ga chalni, ye ankhen khoon roen gi
Wasi be-faiz logon se nibha kar kuch nahi milta

Sunday, April 28, 2013

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha

dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
aag sehra mein lagi aur dhuwan ghar se utha

taabish e husn bhi thii aatish e dunya bhi magar
shola jis ne mujhe phoonka mere ander se utha

kisi mausam ki faqeeron ko zaroorat na rahi
aag bhi abr bhi tufaan bhi saghar se utha

chaand se shikwa-ba'lab hoon ke sulaya kyun tha
mae ke khursheed e jahaan khwab ki thokar se utha


dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
aag sehra mein lagi aur dhuwaan ghar se utha

(Poet : Mustafa Zaidi)

Wednesday, April 24, 2013

Zindgi Mein Tera Saath Nahi

Us Ne Kaha Tum Main Pehli Si Baat Nahi
Main Ne Kaha Zindgi Mein Tera Saath Nahi

Us Ne Kaha Ab Bhi Kisi Ki Aankhon Mein Doob Jatey Ho
Main Ne Kaha Ab Kisi Aankh Mein Wo Baat Nahi

Us Ne Kaha Kyu Itna Toot Ke Chaha Mujhe
Main Ne Kaha Insaan Hoon Pathar Zaat Nahi

Us Ne Kaha Kya Main Bewafa Hoon
Main Ne Kaha Muje Ab Wafa Ki Talash Nahi

Us Ne Kaha Bhool Jao Muj Ko
Main Ne Kaha Tum Haqeeqat Ho Koi Khawab Nahi ♥

Khuda Ne Socha

Khuda Ne Socha Tha Ke Rahenge Sab Insaan Pyaar Se,
Zameen Pe Dekha To Armaan Lut’te Nazar Aate Hain
Juthe Wade Aur Rishton Se Jee Bharta Hai Insaan Ka,
Har Ek Ke Dil Me Bure Paigaam Nazar Aate Hain
Kuch To Rahaim Kiya Hota Khuda Pe Khudgarz Insaano,
Hathon Me Talwaar Liye Sare-Aam Nazar Aate Hain
Had Ho Gayi Hain Ab To Hevaaniyat Ki Duniyan Mein,
Jahaan Bhi Dekho Bas Katle-Aam Nazar Aate Hain
Jo Hath Chhute The Kabhi Maa Ke Pairo Ko Yaaron,
Un Hathon Me Aaj Sirf Bhare Jaam Nazar Aate Hain
Ehmiyat Nahi Hai Aaj Insaan Ko Khuda Ke Paigamo Ki,
Duniya Me Har Jagah Aaj Rishte Badnaam Nazar Aate Hain
Har Insaan Ko Pata Hain Ke “Sab Ka Malik Ek Hai”,
Fir Bhi Aaj Kahin “Rahim” To Kahin “Ram”Nazar Aate Hain

Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi

Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein,

Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi

Is kadar tera tassavur kabhi barh jaata hai

Is kadar tera tassavur kabhi barh jaata hai
Ke zarray zarray mein tera aks nazar aata hai
Teri mehfil mein pohanchne ko pohanch tu jaon magar
Teri ruswai ka reh reh kar khayal aata hai.

Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin

Hazaar Chehron May Uski Mushahbatain Milien Mjhko

Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin.

Bura Lagta Hai

Such Kahon Mujhko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai
Zulm Sehta Hua Insaan Bura Lagta Hai
Kis Qadar Ho Gai Masroof Yeh Duniya Apni
Aik Din Thehray To Mehmaan Bura Lagta Hai
Un Ki Khidmat To Bohat Door, Beton Betiyon Ko
Boorhay Maan Baap Ka Farmaan Bura Lagta Hai
Mere Allah Meri Naslon Ko Zillat Say Nikaal
Haath Phailaye Huay Musalmaan Bura Lagta Hai

Tum mosum mosum lagte ho

Tum..
"Mosam Mosam Lagtey Ho"....
"Jo Pal Pal Rang Badltey Ho"....
"Tum Sawan Sawan Lagtey Ho"....
"Jo Sadiyon Baad Barstey Ho"....
"Tum Sapna Sapna Lagtey Ho"....
"Jo Mujh Ko Kam Kam Dikhtey Ho"....
"Tum Pal Pal Mujh Sey Larrtey Ho"....
"Phir Bhi Achey Lagtey Ho"....
"Baat Tu Hay Sharmili si"..... ..
"Par Kehny Ko Dil Chahta Hay"....
"Lo Aaj Tumhein Yeh Keh Dala"....
"Tum Apney Apney Lagtey Ho.....!!

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana
yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana
zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana
dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana
avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana
akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana
muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jana
ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana
ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana
har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jana
jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana
ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jana
ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana
hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jana
Poet : Ahmed Faraz

kitna aasaan moHabbat meiN hai dhokaa karna

kitna aasaan moHabbat meiN hai dhokaa karna
warna yeh i'shq faqat sar ka hai saudaa karna

kis ko aata hai bhala e'hd ka eefaa karna......
werna aata hai yahaN sab ko hi da'waa karna

tum ne seekhi hai kahaN zikr yeh bejaa karna
baatooN baatooN meiN kisi baat pe uljha karna

apne kehne ka bharam rakh na sakoge tum bhi
phir kaho ge kabhi aisaa, kabi waisaa karna....

tum nah maano ge kabhi apni KhatayeN lekin!
kabhi furSat meiN meri baat peh sochaa karna

jo hoowa mujh pe gawara hai mujhi ko lekin!
phir na kabhi is-tarHa kisi aur ko ruswa karna

chand lamHoN meiN bikhar jati hai dil ki dunya
u'mr lagtee hai use joR ke yak-jaa karna.........

yeh bhi nekee hai agar jaan lo sab se baRh kar
dost or dushman ke kisee aib ka pardaa karna

kaun sikhlaye gaa hotee hai bhalahee kaise?
hai bura kaam, burahee ka bhi charcha karna

tum na reh paoge insanoN ke jangal meiN agar
phir kaheeN door pahaRooN pe baseraa karna

tum chale jao, palaT kar naheeN dekheN tumko
shart yeh
ke KhayalooN se nah guzraa karna

doob jao ge to saHel bhi na paawo ge kaheeN!
meri aaNkhoN ke samandar meiN na utra karna

Mohabbat aik dhoka hai

Muhabbat aik dhoka hai
Jo dil ko toRe deta hai
Yeh aksar khoon ki manind
Rug O JaN meiN utarta hai
Dikha kar nit naey sapney
DiloN meiN chaid karta hai
Laga kar gehn khushiyoN ko
Udaasi bakhsh deta hai
Wafa k naam pey aksar
DiloN sey khel jata hai
Yeh aesa roge hai janaN
Hansi jo cheen leta hai
Laga kar aag sapnoN ko
Muhabbat karney waloN ki
Yeh neendeN cheen leta hai
Muhabbat karney waloN ko
Yehi meri naseehat hai
Muhabbat aik dhoka hai
Jo na khaO to behtar hai
PalaT jaO to behtar hai......!!!

Muhabbat jhoot hai

CHALO CHORO
Muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka

“Talab” sookay huway patton ka baironuq jazeera hai

“Khulish” deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai

“Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe Urrtay baadlon ki raaigan bukhshish

“Ghubar-e-Hijr” sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza

CHALO CHORO

Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe

Chahut ki bina ruk kar safar karta raha tha

Mujay ihsas hi kub tha

Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogi

CHALO CHORO

Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they

Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay

Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin

Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee


CHALO CHORO

Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say

CHALO CHORO

Mera hona nu hona ik barabar hai

Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do

Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do

“meray khwabon ko murnay do”

nuyee tasweer daiko

phir naya maktoob liko

phir nuye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho

meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo

meree yaadon say kuchey raabitay torho
 
CHALO CHORO
muhabbat jhoot hai

Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka

Tuesday, April 23, 2013

Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ki

Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ki
Jin
Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Woh
Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon

Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain

Sarey Jahan Main Aise
Ankhain Nahi
Jin
Ankhoon Pey Main Marti Hoon

In
Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi

Sada Muskurate Rahain Yeh A
nkhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon

Kiya Baat Hai Un
Ankhoon Ke
Jin
Ankhoon Pey Main Marti Hoon

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain Aankhein

Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein

Ye Betiyan Kesi Hoti Hain

♥...Ye Betiyan Kesi Hoti Hain

Ye Paryon Jesi Hoti Hain

Ye Baat Baat Pe Roti Hain

Dil Hota Hai In Ka Nazuk Sa

Ye Bholi Bhali Hoti Hain

Baba Ki Ladli Hoti Hain

Mama Ki Dulari Hoti Hain

Guryon Se Khelta Bachpan Inka

Itni Jaldi Kese Beet Gaya

Aangan Soona Kar Jati Hain

Baba Ka Dard Samajhti Hain

Mama K Aansoo Pochti Hain.

Ye Betiyan Aesi Hoti Hain

Ye Betiyan Aesi Hoti Hain...♥

Nazar mila kay zara daikh

Nazar mila kay zara daikh, mat jhukaa AANKHAIN
Barrha raheen hay nigahoon ka hosla AANKHAIN

Jo dil main aks hay Aankhoon say woh bhi jhalkay ga
Dil aaina hay magar dil ka aaina AANKHAIN

Woh aik sitaara thaa jaanay kahaan gira hogaa
Khala main dhoond rahee hain na jaanay kiya AANKHAIN

Qareeb e jaan dam e khalwat magar sar e mahfil
Hain ajnabi say bhee barr kar woh Aashna AANKHAIN

Ghum e hayat nay fursat nadi tahernay kii
Pukarti hi raheen mujh ko bay sada AANKHAIN

Tabahiyoon ka kissi nay agar sabab poochaa
Zaban e haal nay baysaakhta kaha AANKHAIN

Jhatak chuka tha main gard e malal chahray say
Chupa sakeen na magar dil ka maajraa AANKHAIN

yeh uss ka tarz e takhatib bhi khoob hay MOHSIN
Ruka ruka sa tabassum,khafa khafa si AANKHAIN

Mujhe acha nahi lagta by Wafa Ali


wohi log mujh se bichar gaye

Jo khiyal they na qiyas they wohi log mujh se bichar gaye
Jo mohhbaton ki asaas they wohi log mujh se bichar gaye


Jinhey manta hi nahi ye dil wohi log mery hain hum safar
Mujhe har tarhan se jo ras they wohi log mujh se bichar gaye


Mujhe lamha bhar ki rafakaton ke sarab aur satayein gey
Meri umer bhar ki jo pyas they wohi log mujh se bichar gaye


Ye khiyal sarey hain aarzi ye gulab sarey hain kaghazi
Gul arzo ki jo bas they wohi log mujh se bichar gaye


Jinhey kar saka na kabool mein wo shareek e rah safar hoe
Jo meri talab meri as they wohi log mujh se bichar gaye


Meri dharkano ke kareeb they meri chah they mera khuwab they
Wo jo roz shab mere paas they wohi log mujh se bichar gaye

Monday, April 22, 2013

Samajh jana k wo hon main

Hatheli samny rakhna,
K sub aanso girain us mein,
Jo ruk jayega honton pr,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
kabhi jo chand ko dekho,
To tum yun muskura dena,
Jo chal jaye hawa thandi,
To aankhein bund kr lena,
Jo jhonka tez ho sub sy,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
Jo zyada yaad aaon main,
To tum ro lena g bhar k,
Agar hichki koi aye,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
Agar tum bholna chaho mujhay,
Shayed bhula do tum,
Magar jub sans lena,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..

Chupkey Chupkey Ro Lena

Chupkey Chupkey Ro Lena
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena

Phir wohi main wohi tu

Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam, wohi tanhai
Phir wohi geeet,wohi jankhar
Phir wohi baat,wohi raaz
Phir wohi din,wohi raat
Phir wohi gham,wohi aass
Phir wohi rang, wohi roop
Phir wohi agaz,wohi anjam
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi sur,wohi sangeet
Phir wohi jaan,wohi pahchan
Phir wohi log,wohi khuda
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam,wohitanhai
Phir wohi yaad,wohi naam
Phir wohi paal,wohi lamhay
Phir wohi tum,wohi main
Phir wohi ruthna,wohi manana,
Phir wohi aakar ,wohi dur jana
Phir wohi hansii, wohi rona
Phir wohi main, wohi tu,
Phir wohi sham,wohi Tanha

KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI

KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI!

Wo Teri Ankhon k khawb sary 
wo batin sari hisab sary swal sary
Jwab sary
Wo khushain sari
Azab sary
nsha tha jo wo utr giya hy,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI!

 Jo tery milny ki arzo thi
Jo tujko pany ki justju thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo teri ankhon main roshni thi jo teri baton ki rangini thi
Jo teri sanson ki tazgi thi
Jo try lehjy main chashni thi wo sra meetha pighal gya hy
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY

us simt mujh ko yaar ne jaane nahi diyaa

us simt mujh ko yaar ne jaane nahii.n diyaa
ek aur shahar-e-yaar me.n aane nahii.n diyaa

kuchh aur vaqt chaahate the ki soche.n tere liye
tuune vo vaqt ham ko zamaane nahii.n diyaa

ma.nzil hai is mahak kii kahaa.N kis chaman me.n hai
is kaa pataa safar me.n havaa ne nahii.n diyaa

rokaa anaa ne kaavish-e-besud se mujhe
us but ko apanaa haal sunaane nahii.n diyaa

hai jis ke baad ahad-e-zavaal-aashnaa "Munir"
itanaa kamaal ham ko Khudaa ne nahii.n diyaa

zinda rahen to kyaa hai

zinda rahen to kyaa hai jo mar jaayen ham to kyaa
duniyaa me.n Khaamoshii se guzar jaaye.N ham to kyaa

hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hai.n jahaa.N me.n bikhar jaaye.N ham to kyaa

ab kaun mu.ntazir hai hamaare liye vahaa.N
shaam aa ga_ii hai lauT ke ghar jaaye.N ham to kyaa

dil kii Khalish to saath rahegii tamaam umr
dariyaa-e-Gam ke paar utar jaaye.N ham to kyaa 
 
Poet: Muneer Niazi

aa gayii yaad sham Dhalte hii

aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiragh jalte hii

khul gaye shahr-e-Gham ke darwaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii

kaun thaa tu ke phir na dekha tujhe
mit gayaa Khwaab aankh malte hii

tu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diiwaar ke badalte hii

bichar gaye to phir bhi milen ge ham donon ek baar

bichar gaye to phir bhi milen ge ham donon ek baar
yaa is basti dunia mein yaa iski hadon se paar

lekin Gham hai to bas itna jab ham wahan milen ge
ek duusre ko ham kaise tab pahchaan saken ge
yahii sochte apni jagah par chup chup khare rahen ge

is se pahle bhi ham donon kahin zaror mile the
yeh pehchaan ke naye shagoofe pahle kahaan khile the

yaa is basti dunyaa mein ya iskii hadon se paar
bichhar gaye hain mil kar dono pahle bhi ek baar

(Munir Niyazi)

Saturday, April 20, 2013

Friday, April 19, 2013

Usay Kehna...

Usay kehna mukamal kuch nahi hota,
Milan bhi na mukamal hay,
Judai bhi adhori hay, Yahan ik mout puri hay,
Usay kehna!
Udasi jab rangon mein khoon ki manind utarti hay,
bohut nuqsan karti hay,
usay kehna!
paridon ki judai pe,
shajar jab biyan karty hein,
bohut bechain karty hein,
Usay kehna!
bissat-e-ishaq mein jab maat hoti hay,
dukhoon k shehar mein jab raat hoti hay,
hum us dam apni ankhun mein usay abad karty hein,
usay kehna!
usay hum yaad kartay hain,

Abhi ye ishq kam sin ha

Abhi ye ishq kam sin ha
Abhi izhar matt karna
Janoon ki aag barhne do
Abhi kuch roz jalne do
Agar ye raakh kar dale
Samajh lena k naqis ha
Samandar mein baha ana
Agar kundan bana dale
Samajh lena k khalis ha
Bahot nayab gohar ha
Isse be-kar matt karna
Kisi kam zarf k agey
Kabhi izhar matt karna

Chalo acha kia tum ne

Chalo acha kia tum ne
Hamen khawbon ki dunia se
Hamesha door hi rakha
Suna ha
Khawb k tabeer mein tehleel hone se zara pehle
Ik aisa marhala ha
Jis mein ankhen khol li jaen
to Beenai ni rehti

Khuda ha mohabbat, Mohabbat khuda ha

Ye misra nahi ha wazeefa ha mera
Khuda ha mohabbat, Mohabbat khuda ha

hamaisha dair kar deta hon main

hamaisha dair kar deta hon main har kaam karnay mein

Zarori baat kahni ho,
koi wa'da nibhana ho,
usse awaz deni ho,
usse wapas bulana ho,

hamaisha dair kar deta hon main
 
madad karni ho uss ki, 
yaar ki Dhaaras bandhaana ho,
bahut daireena raston per,
kisi se milne jana ho,
hamaisha dair kar deta hon main
 
badaltay mosamon ki sair mein dil ko lagana ho,
kisi ko yaad rakhna ho,
kisi ko bhool jana ho,

hamaisha dair kar deta hon main
 
kisi ko mout se pahle ,
kisi Gham se bachana ho,
haqeeqat aur thie kuch, us ko jaa k yeh batana ho,
 
hamaisha dair kar deta hon main

Wapas na jaa wahan k tere shahar mein 'Munir'

Gham kaa wo zor ab mere andar nahin raha
is umr mein main itna samarvar nahin raha

is ghar mein jo kashish thi gai un dinon k saath
is ghar ka saayaa ab mere sar par nahin raha

mujh mein hi kuch kami thi k behtar main un se na tha
 main shahar mein kisi k baraabar nahin raha

rahbar ko, un ko haal ki ho kis tarah Khabar
logon k daramiyaan wo aa kar nahin raha

Wapas na jaa wahan k tere shahar mein 'Munir'
jo jis jaga pe tha wo wahan nahin raha

apney zakham kisi ko dikhaya na kero

aansoo ko aankhon ki dehleez per laya na kero
apnay dil ki halat kisi ko bataya na kero
log muthi bhar namak liye ghoomtay hain
apney zakham kisi ko dikhaya na kero

dil se par is ki bekali na gai

Khalish-e-hijr-e-daayamii na gai
tere ruKh se ye be-ruKhi na gai

pochte hain k kya hua dil ko
husn walon ki saaadagi na gai

sir se sauda gia muhabbat ka
dil se par is ki bekali na gai

aur sab ki hikaayaten keh deen
baat apni kabhi kahi na gai

ham bhi ghar se 'Munir' tab nikale
baat apanon kii jab sahii na gai

Thursday, April 18, 2013

Mohabbat Is Liye Bhi Munfrid Hai

M0habbat Is Liye Bhi Munfrid Hai Sab Khel0n Se,

J0 Haara Phir Nahin Khela, Jo Jeeta Usne Tauba ki..

Mohabbat chor di hum ne

Yeh tum se keh diya kis ne
Kay tum bin reh nahi saktay

Yeh dukh, hum seh nahi saktay
Chalo, hum maan laitay hain


Kay tum bin, hum buhat roye
Ke raaton ko na soye

Magar, afsos hai jana
Kay ab kay tum jo louto gey

Humain tabdeel paao gey
Buhat mayoos hogey tum

Kay agar poochhna chaho kay,
Aisa kyon kiya hum ne

Tou sunn loo ghour se jana
Poorani eik riwaayat tang aa ker tor di hum ne
Mohabbat chor di hum ne

Wednesday, April 17, 2013

Apnay Haatoon Ki Lakeeron Mai Saja Lay Mujh Ko

Apnay Haatoon Ki Lakeeron Mai Saja Lay Mujh Ko
Mai Hon Tera Tu Naseeb Apna Bana Lay Mujh Ko

Mai Jo Kanta Hon Tu Chal Mujh Say Bacha Kar Damun
Mai Hon Gar Phool Tu Joray Mai Saja Lay Mujh Ko

Mai Khulay Dar Kay Kisi Ghar Ka Hon Samman Piyaray
Tu Dabay Pavoon Kabhi Aa Kay Chura Lay Mujh Ko

Kal Ki Baat Aur Hai Mai Ab Sa Rahon Ya Na Rahon
Jitna Jee Chahay Tera, Aaj Sata Lay Mujh Ko

Tu Nay Daikha Nahi Aaina Say Aagay Kuch Bhi
Khud Parasti Mai Kahin Tu Na Gawa Lay Mujh Ko

Mai Samundar Bhi Hon, Moti Bhi Hon, Ghota Zun Bhi
Koi Bhi Naam Mera Lay Kay Bula Lay Mujh Ko

Mujh Say Tu Pochnay Aaya Hai Wafa Kay Mainaay
Yeh Tere Sada Dili Maar Na DaaLay Mujh Ko

Khud Ko Mai Bant Na Daloon Kahin Damun Damun
Kar Diya Tu Nay Agar Meray Hawalay Mujh Ko

Bada Phir Bada Hai, Zehar Bhi Pe Jawon Qateel
Sharut Yeh Hai Koi Bahoon Mai Sumbha Lay Mujh Ko

Tuesday, April 16, 2013

Aaj Tujhse Jo Kehna Hai Kehne De

Aaj Tujhse Jo Kehna Hai Kehne De
Tera Dil Mere Paas Rehne De

Meri Aankhen Tera Chehra,Chehre Pe Dil Thehra
Meri Dhadkan Pe Har Dum,Teri Yaadon Ka Pehra

Teri Baaton Ka Jadoo Mujhpe Na Chal Jaaye
Yeh Dard-e-Mohabbat Sehne De

Mastana Aalam Hai,Mausam Hai Sindoori
Darr Lagta Hai Mujko,Rehne De Kuch Doori

Muhje Rag Rag Mein Teri Behne De
Tera Dil Mere Paas Rehne De

Ishq Nasleen ujaar deta ha

Tum ik dil ko liye baithe ho

Ishq Nasleen ujaar deta ha

Tujhe Kash Mohbbat Ho Jaye

Kuch Khwab The Meri Ankhon Mein

Tujhe Pa Lene Ki Chahat Thi

Chand Lafzoon Mein Hi Kehta Hu

Mujhe Tum Se Bahut Mohabbat Thi

Per Tum Kya Jano Chahat Ko

Tumhe Ho Jati To Poochta mai

Dil Jab Jab Toot Ke Rota Hai

Kya Dard Tumhe Bhi Hota hai

Ye Khwaab Haqeeqat Ho Jaye

Kisi Apne Jaise Sang-dil Se

Tujhe Kash Mohbbat Ho Jaye

Uski Mohabbat Per Mera Haq To Nahi Lekin

Uski Mohabbat Per Mera Haq To Nahi Lekin

Dil Karta he k Akhri Saans Tak Uska Intizar Karoon

Hath Seene Pe Jo Rakha To Dil Maujood Na Tha

Un Ko Dekha To kisi chiz ki Gumshudgi Ka Ehsaas Huwa

Hath Seene Pe Jo Rakha To Dil Maujood Na Tha,.

Jaise Wo Janta Tha Mere Dil ke Raasty

Ek Shakhs Is Tarha Mere Dil Mein Uter Gia

Jaise Wo Janta Tha Mere Dil ke Raasty

Usse keh dena Qaasid

Usse keh dena Qaasid Weham na kiya kare...

Yeh Dil koi Khilona nahi Jo har AIk ko de dain ge

Tum Meri Sans Girvi Rakh Lo Na

Aur Zamaanat Wafa Ki Kya Hogi ...!
Tum Meri Sans Girvi Rakh Lo Na ..♥

Mujh Ko Dhoond Laita Hai

Mujh Ko Dhoond Laita Hai Nitt Naye Bahanay Se,

Dard Ho Gaya Waaqif Meray Her Thikanay Se

Monday, April 15, 2013

wo hum safar tha


وہ ہمسفر تھا مگر اس سے ہمنوائی نہ تھی

کہ دھوپ چھاوں کا عالم رہا جدائی نہ تھی

نہ اپنا رنج نہ اپنا دکھ نہ اوروں کا ملال
شبِ فراق کبھی ہم نے یوں گنوائی نہ تھی

محبتوں کا سفر کچھ اس طرح بھی گزرا تھا
شکستہ دل تھے مسافر شکستہ پائی نہ تھی

عداوتیں تھیں ، تغافل تھا، رنجشیں تھیں بہت
بچھڑنے والے میں سب کچھ تھا ، بے وفائی نہ تھی

بچھڑتے وقت ان آنکھوں میں تھی ہماری غزل
غزل بھی وہ جو کسی کو ابھی سنائی نہ تھی

کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت
کبھی یہ مرحلہ جیسے کہ آشنائی نہ تھی

عجیب ہوتی ہے راہِ سخن بھی دیکھ نصیر
وہاں بھی آ گئے آخر جہاں رسائی نہ تھی

نصیر ترابی

Zara si be aitnai se hazaron ranj palte hain


Chaand taalaab mein jab raqs kia karta ha



Chaand taalaab mein jab raqs kia karta ha
Meri ankhon mein tera aks hoa karta ha

Jin dinon tujh ko moyassar nahi hoti fursat
Un dinon mujh mein bahot babs raha karta ha

Aise khilte hain nigahon mein tabasum k gulab
Jaise mandir mein koi deep jala karta ha

Ye tera husn hamesha younhi shadab rahe
Ja tere waste darwesh dua karta ha

Aye meri pehhli mohabbat, aye mere pehle janoon
Dil tumhen aaj hamesha k liye riha karta ha

Main tere chor jane pe bhi hairan nahi
dasht-e-ghurbat mein koi kitni wafa karta ha

Monday, April 8, 2013

Jab gharz hovi tab pyar kiya

Jab gharz hovi tab pyar kiya, jab waqt mila tab yaad kya
Ab or haqiqat kya likhoon is doar ke "MUKHLIS" yaaroon ki

Us ko dekha to dil ye bol utha

Us ko dekha to dil ye bol utha.

Fa-be Ayye Aala-e-Rab-e-kuma tukazzibaan

tu bhi na mil saka aur umar bhi raigan gai

tu bhi na mil saka aur umar bhi raigan gai

tujh se to khair piar tha, khud se bare gile rahe

Sikandar khush nahi ha loot kar dolat zamane ki

Sikandar khush nahi ha loot kar dolat zamane ki

qalandar dono hathon se luta kar raqs karta ha

mohabbat usse bhi thi

ye wajbat-e-ishq ham hi pe qarz q?

wo bhi to ada kare mohabbat usse bhi thi

Pachtaya bahot uss k darwaze per dastak de kar

Pachtaya bahot uss k darwaze per dastak de kar

dard ki inteha ho gai jab uss ne poocha kon ho tum

Kaash k wo lout aaye

Kaash k wo lout aaye mujh sy ye kehny


k tum kon hoty ho, mujh sy bicharny wale?

Hum Ne Kab Manga Hai Tum Se Apni Wafaon Ka Sila

Hum Ne Kab Manga Hai Tum Se Apni Wafaon Ka Sila?

Bas Dard Detey Raha Karo "MOHABBAT" Barhti Jae Gi

Meri Aakhri Khwahish Tum ho

Kehny Ko To Boht Si Baatain Hain Is Dil Mein...!

Mukhtasar Lafzon Mein Meri Aakhri Khwahish Tum ho

Boool Janay Ka Falsfa Choro

Boool Janay Ka Falsfa Choro

Yaad Karnay Ki Baat Kartay Hain

Boool Janay Ka Falsfa Choro

Boool Janay Ka Falsfa Choro

Yaad Karnay Ki Baat Kartay Hain

Mar Jana Muqaddar Hai

Kaha Us Ne, K Aakhir Tum,Bhula Do Ge Mujhe Ek Din !

Kaha MaiNe, Karoon Main kya K Mar Jana Muqaddar Hai..

Watan ka pass tumhen tha na ho sake ga


jaan ley key chhorey ga

Apna tawaan ley key chhorey ga

Ishq hai, jaan ley key chhorey ga

tumhari oqaat hi kya

Pathro! tumhari oqaat hi kya?

Us shakhs ka dil uffff ... tauba

Jisko tum bhool gaye

Jisko tum bhool gaye, yaad karay kaun usko
jisko tum yaad ho wo aur kisay yaad karay

Apne kirdar k baray mai bhi socha hota

Apne kirdar k baray mai bhi socha hota
merey kirdar pe jab waar kiya tha tumnay

bala ha mohabbat

lage jis ki jaan ko wo jaan se hi jaye

youn lagta ha jese bala ha mohabbat

Dil ka sakoon

aik wo cheez jisse Dil ka sakoon kehte hain

kahin bazar mein mil jaye to lete ana

Jahil na bik saka

Jahil na bik saka, na kabhi muflasi biki

alim bika, sha'or bika, agahi biki

Bara ajeeb ha falsafa mohabbat ka

Bara ajeeb ha falsafa mohabbat ka

k jis k hijar mein rona, usse hi dil se dua dena

ana ka masla dar pesh ha

ana ka masla dar pesh ha warna haqeeqat mein

usse meri, mujhe uss ki kami mehsos hoti ha

Arsh wale meri taoqeer salamat rakhna

Arsh wale meri taoqeer salamat rakhna

farsh k sare khudaon se ulajh betha hon

her aik chehre pe guman tumhara tha

her aik chehre pe guman tumhara tha
basa na koi dil mein ye makan tumhara tha
tamam dukh meri ankhon se beh gaye
jo na mit saka wo naam tumhara tha

Dil wo kafir ha jo mujh mein reh kar

tu wo zalim ha jo dil mein reh kar bhi mera na ban saka

aur Dil wo kafir ha jo mujh mein reh kar bhi tera ho gia

Rehti ha un k rukh pe shagufta si barhami

Rehti ha un k rukh pe shagufta si barhami
ye tarz-e-iltefat ha ya tarz-e-ijtenab ha?
hota nahi ayan kabhi un k mizaj se
niyat kharab ha k tabiat kharab ha

ye jo meri jaan gai ha

ye jo meri jaan gai ha na iss mohabbat mein

ye tera sadqa dia ha, teri nazar utari ha

Itna halka sa tabasum

Itna halka sa tabasum to na kafi ho ga

ap ne dekha nahi zakham gehra ha

zara si umar meri kis kis k sath guzar gai

Khawb, khayal, haqeeqat, yakeen, gham aur mohabbat

zara si umar meri kis kis k sath guzar gai

Sunday, April 7, 2013

Her mulakat pe waqt ka taqaza hoa

Her mulakat pe waqt ka taqaza hoa
her yaad per dil ka dard taza hoa
suni thi sirf ghazlon mein judai ki baten
ab khud per beeti to haqeeqat ka andaza hoa

Ye baat usy nagawar ho gi

Hazar unwaN-e-Guftgu thy, reh gaey ye soch soch k hum.
Ye baat usy nagawar ho gi, Ye lafz usy napsand ho ga

Aao phir se ishq karen

Aao phir se ishq karen

khud kushi to haram thehri

Wallah! kia kashish thi

Wallah! kia kashish thi, k mat pochiye janab

Mujh se ye dil bhi larr para, mujhe bahir nikal bas

Ye bhi such he k

Ye bhi such he k bina us k guzara jeevan
Ye bhi such he k bina us k Guzary na huye

wo mere dil k zakham seene bhi nahi deta

wo mere dil k zakham seene bhi nahi deta
madhosh b rakhta ha aur peene nahi deta
kia meri wafaon ki itni karri saza ha
marne se rokta ha aur jeene bhi nahi deta

Dil na mane to

mosum-e-karb-e-intezar bhi jhoot
Dil na mane to wasl-e-yar bhi jhoot
aye maot teri talab b larzish-e-lab
aye zindagi tera aitebar bhi jhoot

Chal chup kar Tu mera DIL hay ya us ka wakeel

Chal chup kar Usi ki gawahiyan, usi ki safaiyan
Tu mera DIL hay ya us ka wakeel?

Meray bachpan kay din

Meray bachpan kay din bhi kitnay khobsurat thay...

Be-nimazi bhi tha, be-gunah bhi...

Jo fursat milay to

Jo fursat milay to chand say meray dard ki kahani poch lena...

Ek wohi to tha humraaz mera teray chor janay kay bad...

Ab to in aankhun say bhi jaalan hoti hay mujhay

Ab to in aankhun say bhi jaalan hoti hay mujhay...

Khuli hoon to yaad teri, band hoon to khawab teray...

Tumhen Bhool Jaon

Tumhen Bhool Jaon,ye Koshish Kr k Daikhun ga


Wesy Dariyaon ka ulta Behna Mumkin nahi Hota

Chalo Phir Se Mukar jana

Karo phir se koi vaada,Kabhi na phir Bicharny ka


Tumhen kiya Farq Parta Hai ,Chalo Phir Se Mukar jana

Usse Vehm Ho Shayad

"Usse Vehm Ho Shayad k Mujhe Us Se Pyar Nahi"
~*~
"Main Ye Soch Kr Chup Hun k Halaat Saaz Gaar nahi"
~*~
"SAMA Gaya Hy Wo Mere "DIL" Main kch Is Trah"
~*~
"K Bin Us K Mujhe koi Saro kaar Nahi"
~*~
"Ye Duniya Chahe Jo kch B Kahayyyy"
~*~
"Ek Wo NA Keh De k Mujhe Tum Se Pyar Nahi"

Ujar gaya na

Ujar gaye na Sar se paaon tak?
karo, karo or MOHABBAT karo

Apni zindgi girvi rakh kr

Aaj door se hi koe salam kr gaya.....

Apni Yaadun ka ghulam kr gaya......

Apni zindgi girvi rakh kr kharida tha jisay....

Aj wo hi hamain nilam kr gaya.....

Laga k aag shehr ko

Laga k aag shehr ko, ye badshah ne kaha
utha hai dil mein tamache ka aaj shoq bahot

jhuka k sir koi sabhi shah parast bol uthe
hazor shoq salamat rahe shehr aur bahot

Ye kia Tujhe ko sochna

Koi aur kaam sonp do mujh ko

Ye kia Tujhe ko sochna aur sochte hi rehna

Tabiat theek hai teri ya phir se ishq taari ha

June k Garam mosum mein, December dhondte rehna

Tabiat theek hai teri ya phir se ishq taari ha?

anna ki mauj masti mein

anna ki mauj masti mein ab ham bhi badshah hain

jo ham ko tor deta hai ham us ko chor dete hain

Mayoos ho gea hoon main

Mayoos ho gea hoon main zindagi kay iss safar say

Maqsad ki MOHABBAT or matlab ki DOSTIYAN hein yahan

Un kay bharam ki khatir hovy hum darbadar

Un kay bharam ki khatir hovy hum darbadar...

Warna June ki tapti dhoop, Ye nazuk tabiyat Or awargi

zidd kay mareez hain

Kuch us ko bhi aziz hain apne sabhi Aasool,

Kuch hum bhi ittifaaq se zidd kay mareez hain.

Zabt karta hoon to her zakham lahoo deta hay

Zabt karta hoon to her zakham lahoo deta hay,

Aah karta hoon to andesha-e-ruswai hay,

Dekhata hoon to hazaroon hein meray DOST magar,

Sochata hoon to wohi aalam-e-tanhai hay...

Dil ki basti kabhi nahi Basti

To tumhain ab samjh mein aya hay...

Dil ki basti kabhi nahi Basti...

kch log pehchaany gaaey

zraa si dair mein' yaar puraany gaaey..!!!
chalo acha huaa! kch log pehchaany gaaey.

Umer bhar hoti raheen yahi khataen ham se

Sadgi, Mehr-o-Wafa, Mohabbat aur khalos

Umer bhar hoti raheen yahi khataen ham se

Sara Shehr meri dewangi se waqif raha

Sara Shehr meri dewangi se waqif raha

Magar aik shakhs ki ankhon se be-aitbari na gai

Khabar nahi mujhay apnay kal ki

Khabar nahi mujhay apnay kal ki yahi pal shayad mera akhari ho...


So raha hun k ye mere bas mn ni hy, jo jag na paon to ye salam akhari hy...

Aadatain mukhtalif hain meri

Aadatain mukhtalif hain meri duniya waloon say...!!!

Ta'alluq thora hi sahi par la-jawab rakhta hoon...!!!

Meray seenay say zara kaan laga kar sun lo

Meray seenay say zara kaan laga kar sun lo...!

Dil dharrakta hay ya zangeer zani hoti hay...?

Wo jawab talab hay mujh say

Wo jawab talab hay mujh say...!

main usay bhool to na jaon ga?

"jawab" kia main doon us ko?

"sawal" hi paida nahi hota...!