Wednesday, October 30, 2013

Aadat hi bana li hai tum ne to Munir apni

Bechain bahot phirna ghabaraye hoe rehna 
ik aag sii jazabo.n kii bahakaaye hue rehna
 
Chhalakaye hoe chalna Khushbuu-e-begani ki
Ik bagh sa tha apna mehakaye hoe rehna
 
 Is husn ka sheva hai, jab ishq nazar aye
Parde men chale jana, sharmaye hoe rehna
 
Ik shaam si kar rakhna kajal k karishame se
Ik chaand sa aankhon mein chamakaye hue rehna
 
Aadat hi bana li hai tum ne to “Munir” apni
Jis shehar mein bhi rehna uktaye hoe rehna

Muneer Niazi

Aaj ki shaam to aakhri hai na

Aaj ki shaam to aakhri hai na
Aao aise batain kar lain..
Jin ki khushbo hijr safar main
Dil ki ankhain roshan rakhay

Noshi Gilani

Qatal chupate they kabi sang ki deewar k beech


Qatal chupate they kabi sang ki deewar k beech
Ab to khulne lage maqtal bharey bazar k beech
Apni poshak k chin jane pe afsoos na kar
Sir salamat nahi rehte yahan dastar k beech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalte rahe akhbar k beech
Kash iss khawab ki tabeer ki mohlat na mile 
Sholey ugtey nazar aye mujhe gulzar k beech
Dhalte soraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
Sir kasheeda mera saya saf-e-ashjar k beech
Rizq, malbos, makan, sans, marz, qarz, dawa
Munqasem ho gya insan inhe afkar k beech
Dekhe jate na they aanso mre jis se Mohsin
Aj hanste hoe dekha usse aghyar k beech

Mohsin Naqvi

Tuesday, October 29, 2013

Zamane Bhar Ki Nigahon Mein Jo Khuda Sa Lage

Zamane Bhar Ki Nigahon Mein Jo Khuda Sa Lage
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lage
Na Janey Kab Meri Duniya Mein Muskuraaye Ga
Wo Aik Shakhs Jo Khawabon Mein Bhi Khafa Sa Lage
Ajab Cheez Hai Yaaro Ye Manzilon Ki Hawas
Keh Raahzan Bhi Musafir Ko Rahnuma Sa Lage
Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya K Mujhe 
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lage
Hoi Hai Jis Se Munnawar Her Ek Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lage

Mohsin Naqvi

Pani ankh mein bhar k laya ja sakta hai

Pani ankh mein bhar k laya ja sakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
Aik mohabat aur wo bhi nakam mohabat
Lekin is se kam chalaya ja sakta hai
Dil par pani peene ati hain umeeden
Is chashme mein zeher milaya ja sakta hai
Mujh benam se pochhte hain Farhad-o-Majnu 
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai
Phatta purana khawab hai mera phir bhi Tabish
Is mein apna aap chupaya ja sakta hai

Abbas Tabish

Jane kia soch k rota raha qatil mera

Sabhi k honton pe tabassum tha mere qatal k baad

Jane kia soch k rota raha qatil mera

Bari hairat mein hai

Sitare kuch batate hain, nateeja kuch nikalta ha

Bari hairat mein hai meri hatheli dekhne wala

Kisi Roz Tanha Milo to bataen

Ye Thora Sa Jeevan
Adhora Sa Mosam
Ye Rangon Ki Chahat
Gulabon Ki Hasrat
Ye Roshan Sawairey
Ye Madham Andherey
Ksi Roz Tanha Milo
To Btaen

Khyalon Ki Rahen
Chamakti Nigahen
Wafain Nibhana
Adaen Dikhana
Ye Ek Silsila Hai
Magar Faasla Hai
Jawan Hain Umeeden
Uri Hain Jo Neenden
Ksi Roz Tanha Milo
To Btaen

Agar Jaan Jao To 
Ehsas Rakhna
Isse Raaz Rakhna
Karo Ek Wada
Bana Lo Irada
Mulaqat Kar Lo
Wohi Baat Kar Lo
Kisi Roz Tanha Milo
To Btaen
Hamari mohabbat
Tumhari wafain

Junoon Mein Shaoq Ki Gehraiyon Se Darta Raha

Junoon Mein Shaoq Ki Gehraiyon Se Darta Raha
Main Apni Zaat Ki Sachaiyon Se Darta Raha

Mohabton Se Shanasa Hoa Main Jis Din Se 
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha

Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kare 
Main Kya Kron K Main Tanhaiyon Se Darta Raha

Main Regzaar Tha Mujh Mein Base They Sanaatay 
Issi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha

Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin! 
Sakoon Se So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha

Monday, October 28, 2013

Is Qadar Musalsal Theen Shiddaten Judai Ki

Is Qadar Musalsal Theen Shiddaten Judai Ki
Aaj Pheli Baar us Se Main Ne Bewafai Ki
Warna Ab Talak Youn Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya To Toot Kar Roya Ya Ghazal Sarai Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majboran Taaza Aashnai Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apne Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zalim Meri Hamnawai Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraadan Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnai Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Pooche Ham Ne Kia Burai Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihai Ki
Dukh Howa Jab us Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay us Mein Khuu Na Thi Gadai Ki

Saturday, October 26, 2013

Nikley they iss aas pe kisi ko bana len ge apna

Nikley they iss aas pe kisi ko bana len ge apna

Aik Khawish ne umar bhar ka musafir bana dia

Sufaid kurta tha surkh q hai?

Ujar raste, ajeeb manzar, weeran galliyan
Bazar band hain, kahan ki khushian
Yeh kesi azadi, watan to mera lahu lahu hai
Woh roti maa'aen, behosh behneen
Lipat k lashon se keh rahi hain
 Aye piarey bhaiya gaye they bahir
Sufaid kurta tha surkh q hai?

Chand lamhon ka hoa karta hai khawbon ka safar

Chand lamhon ka hoa karta hai khawbon ka safar

Ankh khulti hai to saddiyon ki thakan hoti hai

Teri azmaton se hon be-khabar

Teri azmaton se hon be-khabar
Yeh meri nazar ka qasoor hai

Teri reh-guzar main qadam qadam
Kahin arsh hai kahin toor hai

Yeh baja hai Malik-e-Do jahan
Meri bandagi main qusoor hai

Yeh khata hai meri khata magar
Tera naam bhi to Ghafoor hai

Yeh bata Tujh se milon kahan
Mujhe tujh se milna zaroor hai

Kahin dil ki shart na dalna
Abhi dil gunahon se choor hai.
 
TU bakhsh de nere sa gunah
TERI zaat hi to GHAFOOR hai

Kitni cheezon pe ilzam lag jate hain

Udaas waqt, Udaas mosum, Udaad zindagi

Kitni cheezon pe ilzam lag jate hain ik uss k baat na karne se

Tera banda teri tauseef-o-sana karta hai

Tera banda teri tauseef-o-sana karta hai
Mera her sans tera shukar ada karta hai

Tere agey meri jhukti hoi peshani se
Meri her subah ka aghaz hoa karta hai

Rizq pohnchata hai pathar mein chupey keerey ko
TU hi sokhi hoi shakhon ko hara karta karta hai

Geet gati hain baharen TERI takhleeq k
Seena-e-sang se jab phool khila karta hai

Bara nadan hai TUJHE door samajhne wala
TU rag-e-jaan se bhi nazdeek raha karta hai

Jageen to khayal un k, soen to khawb un k

Milti hi nahi mujh ko gham-e-duniya k liye fursat

Jageen to khayal un k, soen to khawb un k

Adhori Baaten Jo Kar Gaye Ho

Adhori Baaten Jo Kar Gaye Ho
Mere Hi Dil Mein Utar Gaye Ho

Kis Ki Chahat Ka Yeh Asar Hai
K Raiza Raiza Bikhar Gaye Ho

Tum Hi To Ho Jo Hamare Dil Ki
Hadon Ko Choo Kar Guzar Gaye Ho

Hamara Thamo Ge Hath Kiya Tum
Abhi Se Duniya Se Dar Gaye Ho

Chaley Gaye Ho Nazar Jhuka Kar
Hamen Deewana Sa Kar Gaye Ho

Bhool Baith Ho Ehad Saare
Abhi Se Kyoun Tum Mukar Gaye Ho

Dhondti Hai Nazar Yeh Tum Ko
Aa Bhi Jao Kidhar Gaye Ho?

Jo dil ko raas hote hain zuban pe raqs

Kisi ka zikir karne ki koi waja nahi hoti

Jo dil ko raas hote hain zuban pe raqs karte hain

Sochon to sari umar mohabbat mein katt gai

Sochon to sari umar mohabbat mein katt gai

Dekhon to aik shakhs bhi mera nahi bana

Mujhe aaj bhi uss ki bepanah mohabbat

Mujhe aaj bhi uss ki be-panah mohabbat rone nahi deti

Jo kehta tha k meri jaan nikal jaye gi tere ansu girne se pehle

Her sham mujhe teri yaaden ghair leti hain

Kisi Urs-e-darwaish pe aqeedat mandon ki trah

Her sham mujhe teri yaaden ghair leti hain

Tum jab aao gi

Tum jab aao gi to khoya hoa pao gi mujhe
Meri tanhai mein Khawbon k siwa kuch bhi nahi

Mere kamre ko sajaane ki tamana hai tumhen
Mere kamre mein kitabon k siwa kuch bhi nahi

in kitabon ne bara zulm kiya hai mujh par
in mein ek ramz hai jis mein ramz ka mara hoa zehen

Muzda-e-ishrat anjaam nahi paa sakta
Zindagi mein kabhi aram nahi paa sakta

wo jo be panah chahte the

wo jo be panah chahte the

ab to sirf panah chahte hain

Tera abba ha zardari

Dedicated to Bilawal Bhuttu Zardari

Tera abba hai Zardari
Mera abba hai ik haari

Teri gari land cruiser
Meri gari hai bas laari

Teri beti ho gi leader
Meri beti ho gi kaari

Tere 100, 100 jorey lekin
Meri ha ye shirt bhi udhari

Tu chahe jis se bhi sulah kar
Main jo karon to hai ghaddari?

Hamari zindagi tum ho

Tumhari baat lambi ha

Daleelen hain, bahane hain

Hamari bat itni hai

Hamari zindagi tum  ho

izaten be-hijab phirti hain

Yahan ka alam kia bataon tujh ko

Qeemati chaadren mazaron per

aur izaten be-hijab phirti hain

Aye KHUDA

Phir naya din hai, nai subah, nai umeeden

Aye KHUDA khair ki khabron k ujale rakhna

waqt sab kuch cheen leta ha

Waqt sab kuch cheen leta ha

Meri to sirf muskarahat thi

Yeh zameen se na aasman se ha

Yeh zameen se, na aasman se ha
Dil kisi aur hi jahan se ha

Teri ankhon ka kia qasoor iss mein?
Ham ko shikwa teri zuban se ha

Phool se zakham to nahi lagta
Janey tu kaun si kaman se ha

Reh gai aik beech ki deewar
Dasht mulhik mere makan se ha

Sirf itna khayal rakhiye ga
Ikhtelaf ap ko bayaan se ha

yani hijr-o-wisal se agey
Ishq ha aur poori shaan se ha

Abbas Tabish

Kash main palat jaon

Kash main palat jaon bachpan ki wadi mein

na koi zarorat thi, na koi zaroori tha

Thursday, October 24, 2013

Parne lagi ha tum pe

Parne lagi ha tum pe zamane ki ab nazar

Jalne lage hain log mere intekhab se

Nigahon k Tasadum Se

Nigahon k Tasadum Se Ajab Takrar Karti Hai
Yaqeen Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai

Laraz Jata Hon Main Ye Soch k Kafir Na Ho Jaon
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israr Karti Hai

Use Malom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai

Main Us Se Pochta Hon Khwab Me, ‘Mujh Se Mohabat Hai?’
Phir Aankhen Khol Deta Hon Wo Jab Izhaar Karti Hai.

Meri her ghar k hamsafar

Meri her ghar k hamsafar!
Meri ulfaton ka jawab de
Mere Piyar ka
Mere Ishq ka
Sabhi chahaton ka hisab de
Main zindagi ki her ghari
Teri justaju mein guzar di
Mujhe ab to apna shumar de
Youn bewaja na azab de
Main bikhar raha hon toot kar
Teri ulfaton ki talash mein
Mere ansuon ko samait le
 Meri ankh ko koi khawb de
Muje be-khudi ki ha aarzoo
Mujhe qurbaton ka khumar de
Mere ang ang mein youn utar k
Mujhe mein khud ko hi utaar de
Tu jo rag rag mein bas gia
to phir
Dooriyon ka jawaz kia?
Meri zindagi mere pas aa
Meri be khudi ko qarar de
Hai nazar nazar teri justju
Tu meri wafa ki ha aabru
Kabhi youn b aa mere robaro
Mujhe jaan se hi guzar de
Mujhe iss trah se tu yaad aa
Teri yaad ka b gumaan na ho
Tu mere khayal mein youn sama
Mera harf harf nikhar de
Mere hamsafar!
Mere pas aa
Meri chahaton ka jawab de.