Wednesday, October 30, 2013

Qatal chupate they kabi sang ki deewar k beech


Qatal chupate they kabi sang ki deewar k beech
Ab to khulne lage maqtal bharey bazar k beech
Apni poshak k chin jane pe afsoos na kar
Sir salamat nahi rehte yahan dastar k beech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalte rahe akhbar k beech
Kash iss khawab ki tabeer ki mohlat na mile 
Sholey ugtey nazar aye mujhe gulzar k beech
Dhalte soraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
Sir kasheeda mera saya saf-e-ashjar k beech
Rizq, malbos, makan, sans, marz, qarz, dawa
Munqasem ho gya insan inhe afkar k beech
Dekhe jate na they aanso mre jis se Mohsin
Aj hanste hoe dekha usse aghyar k beech

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment