Saturday, December 21, 2013

apna hi ghar ho to kon poch k ata hai

arey kiyoun lagate ho meri yaad pe gustakhi ka ilzam?
apna hi ghar ho to kon poch k ata hai?

Bari gustakh hai teri yaad isse tameez sikha do

Bari gustakh hai teri yaad isse tameez sikha do
dastak bhi nahi deti aur dil mein utar jati hai

Bahot hi muddat k baad kal jab

Bahot hi muddat k baad kal jab
Kitab-e-Mazi ko main ne khola
Bahot se chehre nazar mein utre
Bahut se namon pe dil paseeja
Ik aisa safah bhi us mein aya
Likha hoa tha jo aansu se
K jis ka unwaan 'HUMSAFAR' tha
Woh safah sab se motbar tha
Kuch aur aansu phir us pe tapke
Phir uss se aagey main parh na paya
Kitab-e-Mazi ko band ker k
Us ki yaadon mein kho gaya main
Agar woh milta to kaisa hota
Inhi khayalon mein so gaya main

Friday, December 20, 2013

assan sijh nai roz ubhar soon paye

اقبال جے مرسوں تے مر پوسوں
اساں سِجھ نئی روز اُبھر سوں پئے

................................

Iqbal jey marsoon te mar posoon
assan sijh nai roz ubhar soon paye

mujhe tum yad aate ho

Nigah meri tarasti hai mujhe tum yad aate ho

Mohabat Jab tarapti hai mujhe tum yad aate ho

Sama Jata hai aankhon mein tere Jazbon ka bheega pan

Kahen baarish barasti hai mujhe tum yad aate ho

Zamane k sawaalon ko main hans ker taal doon Lekin

Nami aankhon ki kehti hai mujhe tum yad aate ho

Utha K Haath Khuda Se Bas Mangi Yehi Dua

 Utha K Haath Khuda Se Bas Mangi Yehi Dua
Naseeb Hon Khushiyan Tumhen Tum Khush Raho Sada

Tumhen Rahat Mile Tumhen Chahat Mile
Tumhen Sare Jahan Ki Mohabbat Mile

Jahan Mein Sab Se Hon Ache Tumhare Naseeb
Koi Dukh Kabhi Bhi Na Aaye Kareeb

Tumhare Dil Ki Har Arzoo Pori Khuda Kare
Tumhare Chahne Walon Ko Kabhi Juda Na Kare

Mill Jain Tum Ko Mere Bhi Naseeb Ki Khushiyan
Dua Hai Bas Tumhen Kabhi Gham Na Mile Yahan

assan shakir chichre thi gaye hain

تَئیں آونڑاں ہا تُوں نئی آیا، اَساں وقت گزارے مر مر کے
تیڈی بھال بھلیندیں اَکھ ترم پئی، ڈینہں لہہ گئے ڈُسکیاں بھر بھر کے
ہالے شک ہئی ساڈی اُلفت تے، ہتھ ڈیندیں ساکوں ڈر ڈر کے
اَساں شاکر چچرے تھی گئے ہیں، تیکوں جی سئیں جی سئیں کر کر کے

.................................................................

taen aawanran haa toon nai aya, assan waqt guzarey mar mar k
taidi bhaal bhalainden akh trim pai, dehen leh gaye duskian bhar bhar k
haaley shak hivi sadi ulfat te, hath denden saakon dar dar k
assan shakir chichre thi gaye hain, taikon ji sain ji sain kar kar k

main kitna bad naseeb hon masjid na ja saka

shaoq-e-kalaam le gia Moosa ko koh-e-toor per
main kitna bad naseeb hon masjid na ja saka

Tum piyar kisi se na karna

Ek Ishq nagri ki wadi thi
jahan piyar ki nadiya behti thi
Kuch dil wale bhi rehte they
jo piyar ki baten karte they
Jab bahar ka mosam ata tha
aur phool piyar k khilte they
Mast nasheeli shamon mein
piyar se do dil milte they
Ek roz wo basti ujar gai
aur piyar ki basti bikhar gai
Phir har ek dil ko sog laga
aur jeewan bhar ka rog laga
Deewane phirte rehte hain
aur har ek se ye kehte hain
Iqrar kisi se na karna
Tum piyar kisi se na karna

Chaand se thori si matti lana

suno!
Ek kam karna
Chaand se thori si matti lana
Us se tum piyarey se 2 dost bnana
Ik tum jaisa
Ik mujh jaisa
Phir un ko tum tor dena
phir un se 2 aur banana
Ik tum jaisa
Ik mujh jaisa
Ta k tum mein kuch " MAIN" reh jaon
Aur
Mujh mein kuch "TUM" reh jao

Suno jana Palat ana

Suno jana! 
Palat ana
K koi yad karta hai

Tumhen awaz deta hai
Tumhe khush dekhne k vaste 

Apne dil-e-muztir ko jo na shad karta hai

Tumhari ik jhalak k vaste
Galiyon mein

Raston mein
Subha se sham
Din se rat karta hai

Jinhen tum se aqeedat hai
Teri be laos chahat hai

Tumhen takne ki hasrat hai
Jinhen tum se mohabbat hai
Unhen kuch waqt dete hain

So gar mumkin ho kuch aisa

To un ki chah ki khatir

Suno Jaanan!
Palat aa na

k koi yaad karta hai

kab bhulaye jate hain apne juda ho kar bhi

kab bhulaye jate hain apne juda  ho kar bhi???
dil toot to jata hai magar rehta phir bhi seene mein hai

Gharor e Jaan Ko Mere Yaar Baich Dete Hain

Gharor-e-Jaan Ko Mere Yaar Baich Dete Hain
Qabaa Ki Hirs Mein Dastaar Baich Dete Hain
 
Ye Log Kia Hain K Do Chaar Khawahishon K Liye
Tamam Umar Ka Pindaar Baich Dete Hain
 
Janoon-e-Zeenat-o-Aaraish-e-Makaan K Liye
Kai Makeen Dar-o-Dewaar Baich Dete Hain

Zara Bhi Nirkh Ho Baala To Taajran-e-Harm
Qalm-o-Jubba-o-Dastaar Baich Dete Hain
 
Bus Itna Farq Hai YOUSAF Mein Or Mujh Mein Faraz
K Us Ko Bhai aur Mujh Ko Yaar Baich Dete Hain

aye kash k wo mujh se milne ki dua mange

Bahot asar rakhta hai her lafz uss ki zuban ka
aye kash k wo mujh se milne ki dua mange

Aahh kuch bhi keh dete ho

kia kaha? ham tumhen bhula bethe?
Aahh kuch bhi keh dete ho.

Tuesday, December 17, 2013

Darya Se, Kohsaar Se Pehle Ki Baat Hai


Darya Se, Kohsaar Se Pehle Ki Baat Hai
Insaan Her Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai

Nafrat Se Aur Pyar Se Pehle Ki Baat Hai
Ye Tujh Pe Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai

Jumbish Thi Aankh Mein Bhi Badan Mein Bhi Rooh Thi
Ye Baat Intezaar Se Pehle Ki Baat Hai

Dil Meray Ikhtiaar Mein Hota To Tha Magar
Ye Teray Ikhtiaar Se Pehle Ki Baat Hai

Jab Dil Pe n Eel Ban Ke Dikhi Theen Na Khuahishain
Ye Tujh Sitam Shuaar Se Pehle Ki Baat Hai

Kuch Saar'baan Thay Aur Jaras Ki Sadaa Bhi Thi
Ye Baad-e-Reigzaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Kaarwaan Aur Aik Tha Mehmil Bhi Darmiaan
Ye Raah Ke Ghubaar Se Pehle Ki Baat Hai

Wo Aah-E-Dil'shagaaf Adeem Aur Wo Tarap
Ye Dard Ke Khumaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Dard Tha Kisi Ki Nishani Dia Hua
Lekin Ye Teray Pyaar Se Pehle Ki Baat Hai

Ek Aashiaan Tha Uss Mein Parinday Bhi Thay Adeem
Ye Mausam-e-Bahaar Se Pehle Ki Baat Hai

Adeem Hashmi

Ab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Mein

Ab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Mein
Her Tarah Ka Husn Dekha Uss Ke Khad-O-Khaal Mein

Chal Rahi Hai Ye Zameen Zandaan Ki Chakki Ki Tarah
Pis Rahay Hain Log Kia Kia Iss Ke Maah-O-Saal Mein

Misl-E-Maahi Waqt Ke Haathon Se Phisli To Buhat
Phans Gai Aaker Jawani Jhurrion Ke Jaal Mein

Inteha'on Per Rahay Hum Darmiaan Thehray Nahi
Aasmaan Ki Auj Per Ya Gir Gaye Pataal Mein

Ye Bhi Kia Insaaf Hai Ay Munsif-E-Wasl-O-Firaaq
Uss Ki Aadhi Bhi Jhalak Dekhi Na Pooray Saal Mein

Ibtida Se Hashr Tak Sab Teen Pinjron Main Hain Qaid
Koi Maazi, Koi Mustaqbil Main, Koi Haal Mein

Teen Sau PainsaTh (365) Dareechay Waqf Sooraj Ke Liye
Chaand Ki Khatir Bani Baara dari Her Saal Mein

Mainay Socha Tha Kisi Ko Main Dhoka Doon Adeem
Shakl Apni He Nazar Aai Sabhi Ashkaal Mein

Adeem Hashmi

Saturday, December 14, 2013

Her shakhs preshan sa hairan sa lage hai


ہرشخص پریشان سا حیراں سا لگے ہے
سائے کو بھی دیکھوں تو گریزاں سا لگے ہے

کیا آس تھی دل کو کہ ابھی تک نہیں ٹوٹی
جھونکا بھی ہوا کا ہمیں مہماں سا لگے ہے

خوشبو کا یہ انداز بہاروں میں نہیں تھا
پردے میں صبا کے کوئی ارماں سا لگے ہے

سونپی گئی ہر دولتِ بیدار اسی کو
یہ دل جو ہمیں آج بھی ناداں سا لگے ہے

آنچل کا جو تھا رنگ وہ پلکوں پہ رچا ہے
صحرا میری آنکھوں کو گلستاں سا لگے ہے

پندار نے ہر بار نیا دیپ جلایا
جو چوٹ بھی کھائی ہے وہ احساں سا لگے ہے

ہر عہد نے لکھی ہے میرے غم کی کہانی
ہر شہر میرے خواب کا عنواں سا لگے ہے

تجھ کو بھی ادا جرأتِ گفتار ملی ہے
تو بھی تو مجھے حرفِ پریشاں سا لگے ہے

zikir un ka abhi ho bhi paya hai zuban se


ذکراُن کا ا بھی ہو بھی نہ پایا ہے زباں سے
دل میں یہ اُجالے اُتر آئے ہیں کہاں سے

لوں سانس بھی آہستہ کہ یہ جائے ادب ہے
تحریر کروں اسمِ نبی ہدیہء جاں سے

کرنیں سی چھٹک جائیں اسی حجرہء دل میں
تُم ان کو پکارو تو حضور دل و جاں سے

ہر دور کی اُمید ہیں ہر عہد کا پیغام
پہجان ہے ان کی نہ زمیں سے نہ زماں سے

ye fakhar to hasil hai k bure hain k bhale hain

ye fakhar to hasil hai k bure hain k bhale hain
do chaar qadam ham bhi tere sath chale hain

jalna to chiraghoon ka muqaddar hai azal se
ye dill k kanwal hain k bujhe hain na jale hain

they kitne sitare k sar-e-shaam hi dobe
hangam-e-seher kitne hi khursheed dhale hain

jo jhail gaye hans k kari dhoop k tewar
taroon ki khunk chaaon mein wo log jale hain

aik shama bujhai to kai or jala len
ham gardidsh-e-doran se bari chaal chale hain


Na ghubar mein, na gulab mein mujhe dekhna

Na ghubar mein, na gulab mein mujhe dekhna
Mere dard ki aab-o-taab mein mujhe dekhna

Kisi waqt sham malal mein mujhe sochna
Kabhi apne dil ki kitab mein mujhe dekhna

Kisi dhun mein tum bhi jo bastiyon ko tiyag do
Isi rah-e-khana kharab mein mujhe dekhna


Har Ek Harf-e-Aarzu Ko Dastan Kiye hue


Har Ek Harf-e-Aarzu Ko Dastan Kiye hue
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehman Kiye Hue

Surur-e-Aish Talkhi-E-Hayat Ne Bhula Diya
Dil-e-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-e-Jan Kiye Hue

Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue wo Aen ge
wo Aen ge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue


Shayed abhi hai raakh mein koi sharaar bhi

Shayed abhi hai raakh mein koi sharaar bhi
kyon warna intazaar bhi hai iztiraar bhi

dheyan aa gaya hai marg-e-dil-e-naa-muraad ka
milne ko mil gaya hai sukon bhi qaraar bhi

ab Dhondhane chale ho musaafir ko dosto
hadd-e-nigaah tak na raha jab Ghubaar bhi

har aastaan pe naasiyaa farsaa hain aaj wo
jo kal na kar sake the tera intazaar bhi

ik raah ruk gai to Thithak kyon gai 'Ada',
aabaad bastiyaan hain paharon ke paar bhi


akhiri Tees azamane ko

akhiri Tees azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko

yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko

sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko

zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko

jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko

kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko

khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko

reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko

hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko

hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko

as ki bat ho ki sans ‘Ada'
ye Khilaune hain tuT jane ko

Ada Jafri

Honton pe kabhi un k mera naam hi aye - Ada Badayuni

honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye
hairan hain labbasta hain, dilgeer hain ghunche
khushbu ki zubani tera paigam hi aaye
lamhat-e-masarrat hain tasawur se gurezan
yaad aaye hain jab bhi gham-o-alam hi aaye
taaron se saja len ge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye
yaadon ke, wafaon ke, aqeedon ke, ghamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye
kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye
thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye
baqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye

Ada Badayuni

Thursday, December 12, 2013

Mohabbat se riha hona zaroori ho geya hai

Mohabbat se riha hona zaroori ho geya hai
Mera tujh se judaa hona zaroori ho geya hai

Wafa ke tajarbey karte huye to umar guzri
Zara sa bewafa hona zaroori ho geya hai

Meri awaaz tanhaai main marti ja rahi hai
Kisi ka ham’nawaa hona zaroori ho geya hai

Azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labon par
Koi harf-e-duaa hona zaroori ho geya hai

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay
To Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay

Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha
Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay

Kubhi Toh rait Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay
Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay

Hamaray Naam Pe Koi Charaagh To Jalta
Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay

Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay
Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay

Tujh se ab aur mohabbat nahi ki ja sakti

Tujh se ab aur mohabbat nahi ki ja sakti
Khud ko itni bhi aziyat nahi di ja sakti

Jaante hain ke yaqeen toot raha hai dil par
Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahi ja sakti

Habs ka sheher hai aur is mein kisi bhi sorat
Saans lene ki sahulat nahi di ja sakti

Roshni ke liye darwaza khula rakhna hai
Shab se ab koi ijazat nahi li ja sakti
 
Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai
Is se barh kar to reyat nahi di ja sakti

Dur jana parta hai

Aalim-e-mohabbat mein
Ik kamaal wehshat mein
Be-sabab rafaaqat ka
Dukh uthaana parta hai
Titliyaan pakarney ko
Dur jana parta hai

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam

Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam

Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam

Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam

Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam

Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Aye Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam

Hai Mohabbat Azaab Barbaadi

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?

Be-Wafai Ne Khaak Kar Dali
Chahaton Ki Hari Bhari Dali

Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Us Ne Tasveer Apni Bhijwa di

Tere Gham Ki Jazeera-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi

Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi

Waqt Zaalim Tha Meri Har Khawhish
Us Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di

Lahu Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai

Lahu Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai
Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai

Azab-e-Hijr Ab Wapas Palat Jaa
Bohat Din Sath Mere Reh Lia

Nami Aankhon Se Jaati Hi Nahi Hai
Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai

Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hi Keh Lia Hai

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se

Kuch To Qaayim Rahay Ana Ka Bharam
Dekhna Hai usse Qareenay Se

Youn Tamasha To us ko Hona Tha
Jo Giri Aarzoo Ke Zeenay Se

Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf us Safeenay Se

Dil Ka Ab Talkhiyon Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se

jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai

Umer Raaigaan Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hi Kahani Hai

Khail Jo Bhi Tha Jaanan Ab Hisaab Kia Karna
Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai

Vasl Per Bhi Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah
Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai

Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai

Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai

Wednesday, December 11, 2013

Jaane Kaise Sambhaal Kar Rakhe

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay

Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay

Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay

Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay

Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay

Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Hum Ne Pat’ty Sambhaal Kar Rakhay

Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay

Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay

Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay

Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay

Meri Aankhon Ko Soojhta Hi Nahi

Meri Aankhon Ko Soojhta Hi Nahi
Ye Muqaddar Mein Raasta Hi Nahi

Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hi Nahi

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hi Nahi

Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hi Nahi

Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hi Nahi

Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hi Nahi

Wo Be-irada Hi Sahi, Titliyon Mein Rehta Hai

Wo Be-irada Hi Sahi, Titliyon Mein Rehta Hai
K Mera Dil To Meri Muthiyon Mein Rehta Hai

Mein Apne Hath Se Dil Ka Gala Daba Doon Gi
Mere Khilaaf Yahi Shazishoon Mein Rehta Hai

Bacha K Khud Ko Ghuzrna Mohaal Lagta Hai
Tamam Shehar Mere Raston Mein Rehta Hai

Meri Kitaab-e-Mohabbat Mein Us ka Ziker Nahi
Wo Khush Khayal Ghalat Fehmiyon Mein Rehta Ha

Dair Kitni Lagti Hai?


Kuch Bhi Kar Guzarne Mein Dair Kitni Lagti Hai?
Barf K Pighalny Mein Dair Kitni Lagti Hai?

Uss Ne Hans Kar Dekha To Muskura Diye Hum Bhi
Zaat Se Nikalne Mein Dair Kitni Lagti Hai?

Hijar Ki Tamazat Se Wasl K Alaao Tak
Larkiyon K Jalny Mein Dair Kitni Lagti Hai?

Baat Jaisi Be-Ma'ani Baat Aur Kia Ho Gi?
Baat K Mukarne Mein Dair Kitni Lagti Hai?

Zo'am Kitna Karty Ho Ik Charagh Per Apne
Aur Hawa K Chalne Mein Dair Kitni Lagti Hai?

Jab Yaqeen Ki Banhon Per Shak K Paon Parr Jaen
Choriyan Bikharne Mein Dair Kitni Lagti Hai?

titliyan pakarne ko door jana parta hai




Kitna sehel jana tha
Khushbo'on ko chu lena
Barish k mosam mein Shaam ka har ik manzar
Ghar mein qaid kar lena
Roshni sitaroon ki Muthiyoon mein bhar lena

Kitna sehel jana tha
Khushbo'on ko choo layna
Jugno'on ki batoon say Phool jaysay aangan main
Roshni si kar layan
Us ki yaad ka chehra Khawabnak aankhoon ki
Jheel k gulaboon per dair tak saja rakhna
Kitna sehel jana tha

Aey nazar ki khus-fehmi ! is tarha nahi hota
"Titliyan pakarnay ko door jana parta hay"

Saturday, December 7, 2013

agar wo meri ankhon mein

agar wo meri ankhon mein
mujassam dekh le khud ko
mujhe poora yaqeen hai k
usse meri mohabbat se
bala ka ishq ho jaye

rahe ga tere gird meri duaon ka daira

rahe ga tere gird meri duaon ka daira
zindagi k her qadam pe hifazat teri KHUDA kare

main barson se hal raha hon

arrey wah
wo ek raat jala
to usse keh chiragh dia
main barson se hal raha hon
koi khitab to do

sarey wehm tere apne hain

sarey wehm tere apne hain, ham kahan tujh ko bhool paen ge
aaj tafseel nahi bas itna suno, qasam se bahot yaad ate ho

khushiyan tere naseeb ki tera naseeb hon

dast-e-dua buland ha tere liye aye dost
khushiyan tere naseeb ki tera naseeb hon

mere apne sada khush rahen

mehfil thi duaon ki, main ne bhi ik dua ki
mere apne sada khush rahen mere sath bhi mere bad bhi

aye to youn k jese hamesha the mehrban

aye to youn k jese hamesha the mehrban
bhoole to youn k goya kabhi aashna na the

tere gaalon ka aks lagta ha

ye jo chaand hai na
tere gaalon ka aks lagta ha

meri un-ginnat kkhawhishen to dekho

sach ha k insan ki khawhishon ki koi hadd nahi hoti
meri un-ginnat kkhawhishen to dekho, Tum, TUm ur bas TUM

himmat nahi hai k dastan-e-zindagi ham apni suna saken

himmat nahi hai k dastan-e-zindagi ham apni suna saken
mukhtasar suno, jis ne bhi dil tora jee bhar k tora

Friday, December 6, 2013

Halki Halki Baarish Hai

Halki Halki Baarish Hai
Aasman Pe Baadal Hain
Badalon Ki Chilman Se
Chaandni Chanakti Hai,
Mujh Se Baat Karti Hai
Yaad Wo Dilaati Hai
Pichley Saal Ka Mosam
Sardiayan December Ki
Pore Chaand Ki Raatain
Or
Wo Pyar Ki Baatain

Surmayi Shaamon Mein Bikhri

Surmayi Shaamon Mein Bikhri..
Maljagge Dhundhlakon Mein Lipti..
Tumhari Kai Yaadein,
December Ke Saath Phir Laut Aai Hain..
Ye Sard Mausam !
Tumhare Waadon Aur Iraadon Ki Tarha,
Labon Par Ek Jamad Chup Laye,
Khushk Patton Ki Tarha,
Meri Dehleez Par Bikhar Gaya Hai..
Aur Jaane Kyon ?
Iss ki Sarsarahat Se,
Jab Bhi Ek Manoos si Aahat Ubhar Rahi Hai,
Ye Mehsoos Hota Hai..
Tum Saare Waade Eefa Karne,
Saare Bhoole Ehad Nibhane,
Phir Laut Aaoge

Wohi Ratt jaggi Puraani, Wohi Dukh Bhari Kahani

Wohi Ratt jaggi Puraani, Wohi Dukh Bhari Kahani
Mere Aansoon Mein Shamil Meri Daastan Puraani

Meri Inkasariyon Par, Tera Tund-O-Tezz Lehja
Wohi Meri Jee-Hazoori, Wohi Teri Hukamarani

Teri Be-Niyazian Hain, Meri Zindagi Ka Haasil
Meri Shayari Mein Shamil Mere Zabt Ki Kahani

Wohi Hijar Ka Samundar, Wohi Aankh Mein Udasi
Wohi Sardiyon Ki Shaamen, Wohi Dard Ki Nishani

Tere Husn Ki Nazar Se, Ab Main Utar Gaya Hoon
Mujhe Khud Bhi Chubh Raha Hai Mere Aansuon Ka Pani

Tumhen sub yaad kerte hain

Suno!
December ki thitharti hui shaamen
Kohar mein lipti dhundli si subhen
Darakhton se girte huye
Khushk zard patte
Wo gaaon ke tamaam raste
Mohabbaton ke tamaam rishte
Khayal abad kerte hain
Tumhen sub yaad kerte hain

december ki thitharti raat laut aye

December ki thitharti aik shab woh mere paas aai
mujhe kehne lagi ke 

Aaj sab kuch chor aai hoon
tumhare piyar mein saare hi rishte tor aai hoon
woh ghabrai hui, tooti hui, bikhri hui larki
mujhe kehne lagi ke

utho
Yahan se door chaltay hain
bahot hi door chaltay hain
tumharay bin kissi soorat 

mujhay zinda nahi rehna
mujhay zinda nahi rehna, 

mujhay zinda nahin rehna
woh zaar-o-zaar ro di, 

aur phir mujh mein simat aai
woh apne aansu se bas yahi faryad karti thi

chalo jaldi karo
iss shehar se hum bhag chaltay hain
bahot hi door chaltay hian
uss aik saal mein main ne baar haa socha
k us k hukam par 

us k kahe par sar jhuka doon
yeh socha baar haa 

us ko bhaga kar door le jaoon
woh ik tooti hui larki
woh mere piyar mein mehki hui
masoom si larki
mere seenay se lag kar der tak roti rahi

uss shab
woh iss ehsaas mein gum thi
keh manzil mil gai uss ko
mere khamosh chehray ki taraf woh dekhti
bas dekhti jaati
uss ik sa'at mere andar kai toofaan barpa thay
na-janay kis tarah main ne 

kaha uss se
keh bas ab laut jao
laut jana phir nahi aana
“khuda ra phir nahi aana”
meri yeh baat sun kar
uss nay ik be yaqeeni se mujhe dekha
woh larki shidat-e-gham se tarap uthi
sulag uthi
sakoot-e-marg kay aalam mein
woh darwazay ki janib aik dam lapki
woh larki phir nahi aai
woh ik bikhri hui larki
kabhi wapis nahi aai

Bahot din baad kal dekha
ussay ik ajnabi ke sath gaari mein
aur us ki gaud mein piyara sa ik bacha
humakta tha
woh larki kis qadar khush thi
bahot chaha tha keh main uss ko bhaga kar door le jaoon
bahot chaha december ki thitharti raat laut aye

Tu hi pehlo mein nahi warna

Tu hi pehlo mein nahi warna December mein wahin
Dhoop mein baith k akhbaar parha kartay hain

Khatm Aik Din Mein December nahi honay wala

Tees Din Isi Dewar Pe Latkay Ga Ye Aks
Khatm Aik Din Mein December nahi honay wala

Phir Se Ishq Taari Hai

Garm Martob Mausam Mein December Dhondte Rehna
Tabiyat Theek Hai Teri, Ya Phir Se Ishq Taari Hai??

Wo kab Bichhra Nahi Ab Yaad Lekin

Wo kab Bichhra Nahi Ab Yaad Lekin
Bus itna Yaad Hai K tha December

Uth jao furston mein soye huye logo

Uth jao furston mein soye huye logo!
Dekho December ki pehli subha kitni haseen hai

Yaadon ki shaal oarh kar awaara gardiyan

Yaadon ki shaal oarh kar awaara gardiyan
Kati hain youn bhi hum ne december ki sardiyan

Kitni sardi hai paas kuch bhi nahi

Kitni sardi hai paas kuch bhi nahi
Aao aik dosre ko aourh lain ham

Thursday, December 5, 2013

December beet hi jaye ga

Kaha tha ye December mein
Hamen tum Milne aao ge
December kitne guzre hain
Tumhari raahon ko taktay
Na-janay kis December mein
Tumhen Milne ko aana hai

Hamari to December ne
Bahot ummeeden tori hain
Baray sapne bakhaire hain
Hamari raah takti muntazir
Pur-num nigahon mein
Sawan ke jo deray hain
December ke hi tohfay hain

December phir se aya hai
Jo tum ab bhi na aye to
Phir tum dekhna khud hi
Tumhari yaad mein ab ke
Akele hum na roen ge
Hamara saath dene ko
Sawan ke bharay baadal
Galay mil mil ke roen ge
Phir itna paani barse ga
Samandar seh na paye ga

Karo na zid chale aao
Rakha hai kia December mein?
Dilon mein piyar ho to phir
Maheenay saaray achay hain
Kisi bhi piyaray mausam mein
Chupkay se chale aao
Sajan ab maan bhi jao
December to December hai
December ka bharosa kia
December beet hi jaye ga

december ab k ao to

تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا
کہ جس میں جگنوؤں کی کہکشائیں جھلملاتی ہیں
جہاں تتلی کے رنگوں سے فضائیں مسکراتی ہیں
وہاں چاروں طرف خوشبو وفا کی ہے
اور اُس کو جو بھی پوروں سے
نظر سے چھو گیا پل بھر
مہک اُٹھا
دسمبر اب کے آؤ تو
تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا
جہاں پر ریت کے ذرے ستارے ہیں
گُل و بلبل ، مہ و انجم ، وفا کے استعارے ہیں
جہاں دل وہ سمندر ہے، کئی جس کے کنارے ہیں
جہاں قسمت کی دیوی مٹھیوں میں جگمگاتی ہے
جہاں دھڑکن کی لے پر بے خودی نغمے سُناتی ہے
دسمبر! ہم سے نہ پوچھو ہمارے شہر کی بابت
یہاں آنکھوں میں گزرے کارواں کی گرد ٹہری ہے
لبوں پر العطش ہے، بطن میں فاقے پنپتے ہیں
محبّت برف جیسی ہے یہاں
اور دھوپ کے کھیتوں میں اُگتی ہے
یہاں جب صبح آتی ہے تو
شب کےسارے سپنے
راکھہ کے اک ڈھیر کی صورت میں ڈھلتے ہیں
یہاں جذبوں کی ٹوٹی کرچیاں آنکھوں میں چُبھتی ہیں
یہاں دل کے لہو میں اپنی پلکوں کو
ڈبو کر ہم سُنہرے خواب بُنتے ہیں
پھر اُن خوابوں میں جیتے ہیں
اُنہی خوابوں میں مرتے ہیں
دریدہ روح کو لفظوں سے سینا گو نہیں ممکن
مگر پھر بھی
دسمبر! اب کے آؤ تو
تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا

December tum matt aya karo

December tum matt aya karo

Suno k

Jab bhi tum ate ho

Udasiyon ki un dekhi

BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DETE HO

Tum ate ho to

Barfeeli si tanhaiyon ki

Sard hawa kanton ki tarah

Rag-e-jaan mein chubhne lagti hai

Aur akele pan mein

Dukh jaag kar

Neendon ko nigal jate hain

Aur jo apne

Judaai ki dhund mein Kho gaye hain

Hum se bahot door ho gaye hain

Unki yaad phir se aane lagti hai

"Suno December" Tum mattaaya karo

phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

Phir December Mein Khuli, Guzray December Ki Kitaab
dil k angan mein khila phir tere chehray ka gulab

thay jaisay phool say sandal say mehektay huye haath
paish kartay huye coffe wo khanaktay huye haath
mujh ko chonay ki tamanna mein jhijhaktay huye haath
aur hathon me simatta hua wo sara hijaab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

thithartay huye wo lab hain na un ka ghaaza
kitni sardi hai yeh kis tarah say ho andaazaa
band hota hua ahista say ek darwaazaa
keh raha hai abhi utha hai sarhany say wo khawab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

yaad jab aye wo lub jaag utha sara badan
khushk maiwon ki lehek say chamak utha yeh dehen
khajl-e-shab mein wo simti hui sardi ki dulhan
barf mein lipta ho jis tarah say sholay ka shabab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

garam sanson k siwa sard sa sara kamra
teray chehray k siwa dard sa sara kamra
ab to hai dil ki tarah dard sa sara kamra
ab to aik piyas hai aur door talak aik sarab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

yeh khizan aur yeh girtay huye patton ka shor
jism shal karti hui khushk hawaon ka yeh zor
mujh ko khenchay lye jati hain ghataen tere aour
to wahan hai, yahan main, haye yeh doori ka azaab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

tum gaye jab say wahin tham gayi sardi ki yeh raat
jaisay honton pe hi reh jaye adhori koi baat
jaisay hathon mein aa kar koi nikal jaye woh haath
jaisay dekhay koi raton ko adhora koi khawab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

dhoop ki naram chamakti jaaron ki wo subh
aout say jhanktay shafaaf paharon ki wo subh
adh khilay nain dareechon ki dararon ki wo subh
nikhra nikhra sa tere tarah wo din ka shabab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

roz ankhon mein guzarti hai teray baad yeh raat
mujh say kaatay nahi katti teray baad yeh raat
munh lapaitay pari rehti hai teray baad yeh raat
raat ek baar khula phir say tere yaad ka baab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

wo teray saath december ki guzaari hui shaam
tez khanjar ki tarah dil mein utari hui shaam
laut k ai nahi phir wo pukari hui shaam
phir nahi dekha koi jagti ankhon kabhi khawab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

phir december hai ussi tarah say tanha hai koi
adh khula darr hai ussi tarah say tanha hai koi
phir wohi ghar hai ussi tarah say tanha hai koi
phir wohi hijr wohi hai shab-e-hijran ka azaab

phir december mein khuli, guzray december ki kitaab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab .

Kai December Guzar Jaen

December Ki Bheegi Shamon Mein, Kali Lambi Raaton Mein
Teri Yaad Hamare Sath Ho To Shamen Yunhi Guzar Jaen

Raaten Mukhtaser Ho Jaen, Hum Teri Yaadon Mein Kho Jaen
To Ye December Kya, Kai December Guzar Jaen

Ye Zindagi Bi Tamam ker Do

Suno December! Ussay Pukaro
Suno December! Ussay Mila Do
Ab Is Se Pehley K Saal Guzre
Ab Is Se Pehley K Jaan Nikle
Wohi Sitara Meri Lakeeron Mein Qaid Ker Do
Is Akhri Shab K Aakhri Pal Koi Bara Ikhtitam Ker Do
Ye Zindagi Bi Tamam ker Do
Suno December! Ussay Bula Do

DECEMBER maar dale ga

Ye shaam, ye sard hawa or ye Hijr ka aalam
Gumaan hota hai is baar DECEMBER maar dale ga

Ab to barishon mein bhi

Ab to barishon mein bhi us ko meri yad nahi ati
Woh jo badal ke garajne se lipat jata tha mujh se

Teri yaaden December ki shabon jaisi

Teri yaaden December ki shabon jaisi
Jo aati hain to jana bhool jaati hain

december bahot yaad karta hai

khizan k zard patton ka wo manzar yaad karta hai
ussay kehna ussay december bahot yaad karta hai

December Laut Aaya Hai

December Mein Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge
Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai

Yeh Saal Bhi Udaas Raha Rooth Ker Gaya

Yeh Saal Bhi Udaas Raha Rooth Ker Gaya
Tujhe Dekhe Baghair Jaanan December Guzar Gaya

Teri yadon ki rawani or ye december

Teri yadon ki rawani or ye december
Meri batein, teri kahani or ye december
Mera hath tera sath, lambi sarak or ye December
Gum sum shaamen, sunehri raaten or ye December
Bheegey din, madham suraj, halky badal or ye December
Behti nadiya, gaatey panchi, urti dhund or yeDecember
Tanha main, tanha chaand, mera kamra or yeh December
Meri ankhen, mere aansu, meri neend, tere khawab or ye December

Boht barasta tha na ye December bhi

Boht barasta tha na ye December bhi
Lagta hai ab isey bhi pyar ho gaya

Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi

Aye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua
Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi

December jane wala hai

Ek baar to milne chale aao December jane wala hai
Kesa guzra hai ye saal batao December jane wala hai
Khush ho jao k milne ka saal aa raha hai phir
Wasi youn na ansu bahao December jane wala hai
Shayed ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanha youn abi chor k na jao December jane wala hai
Ye kia k raat din us ki yaad mein doobe rehna
Na Gham ki barish mein nahao December jane wala hai
Aye mere Dukhon k sathio khush ho jao
Apne apne Gharon ko sajao December jane wala hai
Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tum loat ao December jane wala hai

Ajeeb December Ki Ye Raat Hai

Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur Tanha Meri Zaat Hai
Phir Toot K Wo Yaad Aya, Ajeeb December Ki Ye Raat Hai

tu mere hath mein aye tu hawa ho jaon

Teri khusbu ka ta'aqub karon mosam mosam
tu mere hath mein aye tu hawa ho jaon

Khud apne aap ko bhi

Is Qeht-e-Dosti mein koi mujh se kya miley
Khud apne aap ko bhi muyassar nahi hoon main

Koi jazba adhora reh gaya hai

Koi jazba adhora reh gaya hai
December aansu’on mein beh gaya hai
Yeh dil khamosh ho kar reh gaya hai
Na-jane aaj woh kya keh gaya hai
Yeh aannkhen hain hamari kitni gehri
Samandar mein samundar beh gaya hai
Tumhare sath wabasta tha sab kuch
Siwaye yaad ke kya reh gaya hai
Palat kar dekhne per hum ne jana
Dil-e-nadaan kya kya seh gaya hai
Bahot bheerr hai bazaron mein lekin
Tera Arshad akela reh gaya hai

Yeh fursten hamen shayed na agle saal milen

Zara si dair december ki dhoop mein bethen
Yeh fursten hamen shayed na agle saal milen

December phir se aya hai

Phir iss sard mausam mein, zara na chain se soen ge
December phir se aya hai, phir se mil ke roen ge

December ki yeh pehli shaam

December ki yeh pehli shaam hi kitni zalim hai
Aghaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye

Kiya december ne kaha tha mohabbat karo

Kiyoun har baat pe koste hain log december ko?
Kiya december ne kaha tha mohabbat karo

Meri tanhai aur Mera December

Kabhi jo toot ke barsa December
Laga apna, Bahot apna December
Guzar jata hai sara saal youn to
Nahi kat’ta magar tanha december
Bhala barish say kia sairaab hoga
Tumharay wasl ka piyasa december
Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin
Bus itna yaad hai ke tha December
Jama poonji yehi hai umar bhar ki
Meri tanhai aur Mera December

Yaad dilata hai sard mausam

Yaad dilata hai sard mausam
Kisi ke lehjey ka sard hona

December aa gaya jaanan

December aa gaya jaanan
Ke phir ek saal
Teri yaad ke samandar mein
Utar kar jane wala hai
Yeh dil phir roney wala hai
Tumhen kuch yaad hai jaanan?
Isi pichle december mein
Tumhi ne mujh ko likha tha
Ke naya jo saal aye ga
Us mein mil ke rehna hai
Bahot se piyar ke waadey
Bohat si an kahi baten
Hamen tehreer karni hain
Mohabbat ki nayi nazmen
Hamen is baar likhni hain
Magar janaan
Wohi raten
Wohi shaamen
Wohi khushbu
Wohi nazmen
Mujhe har waqt kehti hain
December loat aya hai
Magar, tera sathi nahi aya
December aa gaya jaanan
December aa gaya jaanan

hijar ke maaron pe qayamat hai december



Thitharti hui shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar
Mohsin yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december

Tumhari yaad aur baraf-bari ka mausam

Tumhari yaad aur baraf-bari ka mausam
sulagta raha dil ke andar akeley
Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke
Magar guzarta nahi ab December akeley

Wednesday, December 4, 2013

December aan poncha hai

ابھی ہجر کا قیام ہے اور دسمبر آن پہنچا ہے
یہ خبر شہر میں عام ہے دسمبر آن پہنچا ہے


آنگن میں اُتر آئی ہے مانوس سی خوشبو
یادوں کا اژدہام ہے,  دسمبر آن پہنچا ہے


خاموشیوں کا راج ہے,  خزاں تاک میں ہے
اداسی بھی بہت عام ہے ،دسمبر آن پہنچا ہے


تیرے آنے کی امید بھی ہو چکی معدوم
نئے برس کا اہتمام ہے ،دسمبر آن پہنچا ہے


خُنک رت میں تنہائی بھی چوکھٹ پہ کھڑی ہے
جاڑے کی اداس شام ہے ،دسمبر آن پہنچا ہے


تم آؤ تو مرے موسموں کی بھی تکمیل ہو جائے
نئے رُت تو سرِ بام ہے , دسمبر آن پہنچا ہے

ye december ka maheena, ye hawa ki thandak

یہ دسمبر کا مہینہ، یہ ہوا کی ٹھنڈک


دل کے جذبات میں محفوظ وفا کی ٹھنڈک


پار سینے کے اُترتا یہ ہواؤں کا لمس


ذرد پتوں کے مسل جانے کی آواز کا شور


شام ڈھلتے ہی وہ کہرائے ہوئے سے منظر،


یادِ ماضی میں کسی بھولے ہوئے راز کا شور


دل سے اٹھتی ہوئی گمنام ندا کی ٹھنڈک


یہ دسمبر کا مہینہ، یہ ہوا کی ٹھنڈک

یہ مہینہ ہے دسمبر کا ستمگر ایسا


کھول دے بھوُلی ہوئی یادوں کے کھاتے پچھلے


وہ جو موجود تھے آباد تھے پچھلے ہی برس


وقت کی دھند میں گُم ہو گئے ہیں سب چہرے


پھر جو تڑپاتی ہے بِچھڑوں کی قباء کی ٹھنڈک

یہ دسمبر کا مہینہ، یہ ہوا کی ٹھنڈک

میں نے سوچا تھا کہ میں خود سے شناسا ہوں گا


مجھ کو اپنے ہی ارادوں سے محبت ہوگی


میں نکل آؤں گا قسمت کی اُلٹ پھیر سے اب


مجھ پہ احباب کی بے لوث عنایت ہوگی


میں نے جَھیلی وہی نفرت کی، انا کی ٹھنڈک


یہ دسمبر کا مہینہ، یہ ہوا کی ٹھنڈک


اب جو تم سوچنے بیٹھے ہو نئی گھڑیوں کو


یہ خیالوں کا تسلسل تو ٹھہر جائے گا


وقت کے آگے بھلا کِس کی یہاں چلتی ہے


زندگی کا یہ سفر یونہی گزر جائے گا


وہی دن رات وہی سحر و صبا کی ٹھنڈک


یہ دسمبر کا مہینہ، یہ ہوا کی ٹھنڈک

yeh fursatein hamen shayad naa aglay saal milen

Kisi ko dekhoon to mathay pey mah-o-saal milen
kahin bikharti hoi dhoop mein sawaal milen
aao khuch der December ki dhoop mein bethen
yeh fursatein hamen shayad naa aglay saal milen

December laut aya hai

December laut aya hai
tumhaaray laut anay ki
na'ee ummeed jaagi hai

abhi pichlay baras tum ne
mere seenay pay sar rakh kar
haya say munh chupaya tha

Magar april anay tak
Tumhaari jheel aankhoon mein
Naya sapna samaya tha

Mere chote se aangan mein
Tumhen weh'shat si hoti thi
Mujhe tum ne bataya tha

"Kisi ki qaid mein rehna
Mujhe acha nahi lagta
Main ik aazaad panchhi hoon"

Suna hai phir se tanha ho
September k maheenay se
Bahot khaamosh rehti ho

K jis ko tum ne chaha tha
Wafa k naam se us ko
Bahot weh'shat si hoti thi

"Wo ik aazaad panchhi tha
Kisi ki qaid mein rehna
Usay acha na lagta tha"

Suna hai mere aangan ki
Tumhen ab yaad aati hai
Suna hai tum pa'shaymaan ho

Chalo phir aisa kartay hain
December ka maheena hai
Naya aaghaaz kartay hain

December laut aaya hai
Suno ab laut aao tum

Haan Yehi DECEMBER Hai

Sunehri Shamein,
Thitharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushbu,
Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulagta,
Main Aur Teri Yaadon Ki Khushbu

Haan Yehi DECEMBER Hai.

meray khawab pighel na jaen

Manoos Ajnabi
Ab k December mein
Main ne bhi kuch khawab sjaye hain
apni sard aankho'n mein 
per darr lagta hai
kahin yeh meray khawab
pighel na jaen
Dhoop parne per

Aakhri chand din december ke

Aakhri chand din december key
har baras hi giraan guzartay hain
khahishoon kay nigaar khanay mein
kaisay kaisay gumaan guzartay hain
raftagaan kay bikhartay saalon ki
aik mehfil si dil mein sajti hai
phone ki diary key safhoon say
kitnay number pukartay hain mujhay
jin say marboot be-nawa ghanti
ab faqat meray dil mein bajti hai
kis qadar pyaray pyaray naamoon per
raingti bad numa lakeerain si
meri aankhoon mein phail jati hain
doorian daairay banati hain
her december kay aakhri din mein
her baras ki tarha say ab kay bhi
diary ik sawal kerti hay
kiya khaber is baras kay aakhir mein
meray in be-chirag safhoon say
kitnay hi naam kut gaye ho ge
her december mein sochta hoon main
aik din is tarha bhi hona hai
rang ko roshni mein khona hai

Yeh kesa Alwidai geet gaya december ne

Yeh kesa Alwidai geet gaya december ne?
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
kahin pe lala zaar banya
gulab motia chambeli se
tulip ki larion se goond ke
pyar ke rangoon se sainch ke
pariyon si khawishon ke jhurmat mein
hamrieen laboon pe
duaon ke alwidai kalmaat
tum hamesh raho mere sath
marmareen hatehliyon pe nai
umeedon ke roshan chiragh
sadiyon se chand ki devi
kaat rahi hai charkha
narm narm galoon se
prem ki dhank se dhunak rahi hai
hur ane wali subha ko
RAB ne dia hai sub ko ye hi pegham
ajj jati december ki sham
insaanyat ke naam
mohabbat azaadi shanti amaan hai
sub ki jaan
nafratoon ko kar do tammam
choti se hasti hai ye
pyar se basti hai
hamesha se hai
hamesha rahen ge
Main or Neela Asman

Dekh December! Ab mat ana

Dekh December!
Ab mat ana
Dekh December!
Mere andar kitnay sehra phail chukay hain
Tanhai ki rait ne mere
Saaray dariya paat diye hain
Ab main hoon
Aur mere banjar pan ki bojhalta hai
Dekh December!
Teri baraf shabo'n mein
Teri be-khawb shabo'n mein
Khuwab sweater kon bunay ga?
Rooh k andar girti barfain kon chunay ga?
Dekh december!
Apnay dukh ki baraf pehn kar
Dhoop Diyaro'n tak mat jana
Mere piyaro'n tak mat jana
Dekh december!
Ab mat ana
Ab mat ana

Tujh se judai ka dukh

Tujh se judai ka dukh
Tere hijer ka karb
Dekh phir say aa gai hain
December key sard ratain
Azab ratein
Tere karb mein dobi
Khawb nak ratain
Teri wo pur noor ratain

Tujhey kiya khaber
December ki sard ratoon mein
Tere sung beeti sardion ke
Khosh gawar khobsorat shamoon ko yaad kerta hoon
Is mohoom si tamana ke sahray
Teri talash mein
Sarkoon per awara phirta hoon

Aatay jatay chehroon mein tujhe khoja karta hoon
Shayad k wo tum ho

Aur thak haar kar jo lautta hoon
To khud per khob hasta hoon
Phir
Phoot phoot ker rota hoon

December k haseen din the

December k haseen din thay


Murree ki yakh fizaon mein


Humhare chaar haathon nain


Mujasma ek banaya tha


Kaha tha ek dooje ko


Nishani pyar ki apni


Bari he khoobsoorat hai


Mujhe ab yaad aata hai


Mujasma barf ka tha wo


Usse aakhir pighalna tha


Usse to mitt he jana tha

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Main waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka
Phir aa gaya aik naya sal dosto
Is bar bi kisi say december nahin ruka
Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka
Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka
Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka

Usey kehna December aa gia hai

Usey kehna December aa gia hai
December ke guzarty hi
Bars aik aur mazi ki chaao'n me doob jaye ga
Osey kehna December Laot aye ga
mgr jo khoon so jaye ga jismo'n mein Na jagey ga
Osey kehna Hawaie'n sard hen, aur zindagi ke Kuhrey
Dewaro'n me Larzaa'n hain
Osey kehna shagofey Tehnio'n me so rahy hain
Aur un pe barrf ki chaadr bichi hi
Osey kehna agr suraj na nikley ga
to kaisy barrf piglay ge
Osey kehna Laot aye
Osey kehna Laot aye
Usey kehna December aa gia hai

ab bhi her december uss ki yaad ati hai



مجھ سے پوچھتے ہیں لوگ


کس لئیے دسمبر میں


یوں اداس رہتا ہوں


کوئی دکھ چھپاتا ہوں


یا کسی کے جانے کا


سوگ میں مناتا ہوں


آپ میرے البم کا


صفحہ صفحہ دیکھیں گے


آئیے دکھاتا ہوں


ضبط آزماتا ہوں

سردیوں کے موسم میں


گرم گرم کافی کے


چھوٹے چھوٹے سپ لے کر


کوئی مجھ سے کہتا تھا


ہائے اس دسمبر میں

کس بلا کی سردی ہے


کتنا ٹھنڈا موسم ہے

کتنی یخ ہوائیں ہیں

آپ بھی عجب شے ہیں


اتنی سخت سردی میں


ہو کے اتنے بے پروا


جینز اور ٹی شرٹ میں


کس مزے سے پھرتے ہیں




شال بھی مجھے دے دی


کوٹ بھی اڑھا ڈالا




پھر بھی کانپتی ہوں میں




چلئیے اب شرافت سے


پہن لیجئے سویٹر


آپ کے لئیے میں* نے


بن لیا تھا دو دن میں




کتنا مان تھا اس کو


میری اپنی چاہت پر

اب بھی ہر دسمبر میں

اسکی یاد آتی ہے

گرم گرم کافی کے

چھوٹے چھوٹے سپ لے کر

ہاتھ گال پر رکھے

حیرت و تعجب سے

مجھ کو دیکھتی رہتی

اور مسکرا دیتی

شوخ و سرد لہجے میں

مجھ سے پھر وہ کہتی تھی

اتنے سرد موسم میں

آدھی سلیوز کی ٹی شرٹ!ٓ

اس قدر نہ اترائیں

سیدھے سیدھے گھر جائیں

اب کی بار جب آئیں

براؤن ٹراؤزر کے ساتھ

بلیک ہائی نیک پہنیں

کوٹ کوئی ڈھنگ سا لے لیں

ورنہ میں قسم سے پھر ایسے روٹھ جاؤں گی

سامنے نہ آؤں گی

ڈھونٹتے ہی رہئیے گا

پاس بیٹھے ابّو کے

پالٹیکس پر کیجئے گرم گرم ڈسکشن

کافی لے کے کمرے مِیں مَیں تو پھر نہ آؤں گی

خالی خالی نظروں سے آپ ان خلاؤں میں

یوں ہی تکتے رہئیے گا

اور بے خیالی پر ڈانٹ کھاتے رہئیے گا

کتنی مختلف تھی وہ
سب سے منفرد تھی وہ
اپنی ایک لغزش سے
میں نے کھو دیا اسکو
اب بھی ہر دسمبر میں
اسکی یاد آتی ہے