Saturday, December 14, 2013

Honton pe kabhi un k mera naam hi aye - Ada Badayuni

honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye
hairan hain labbasta hain, dilgeer hain ghunche
khushbu ki zubani tera paigam hi aaye
lamhat-e-masarrat hain tasawur se gurezan
yaad aaye hain jab bhi gham-o-alam hi aaye
taaron se saja len ge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye
yaadon ke, wafaon ke, aqeedon ke, ghamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye
kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye
thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye
baqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye

Ada Badayuni

No comments:

Post a Comment