Thursday, December 12, 2013

Mohabbat se riha hona zaroori ho geya hai

Mohabbat se riha hona zaroori ho geya hai
Mera tujh se judaa hona zaroori ho geya hai

Wafa ke tajarbey karte huye to umar guzri
Zara sa bewafa hona zaroori ho geya hai

Meri awaaz tanhaai main marti ja rahi hai
Kisi ka ham’nawaa hona zaroori ho geya hai

Azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labon par
Koi harf-e-duaa hona zaroori ho geya hai

No comments:

Post a Comment