Thursday, May 23, 2013

Saying goodbye

Saying goodbye
Was the hardest thing to do
I never thought I would
Especially not to you.

You always listened
And knew what to say
Knew when to give a hug
When I was having a bad day.

No one will ever take your place
I can always promise you this
It’s hard to find someone like you
So know you’ll always be missed

Dari sehmi , chup chaap c larki

Dari sehmi , chup chaap c larki
Apney angan main baseera tha jis'ka
Maan ki aagosh se bicher ker
Duniya k roz o shab main Tan'Tanha
Kuch Jani kuch pehchani , masoom c larki
Apney aapse Baygani
Dari sehmi chup chaap c larki

Bahir ki ''Duniya'' se anjani
Dhoop ki tapash se be'khabar
Kabhi khuwabon ''khayalon main basne wali
Ek din hoi ''Duniya'' se ash'na
Bharam toota , dar choota
Ash'kaar howa sab jhoal jhamayla
Nikli thi app'ney app'ko Talashney
Kho Gayi Gardash'e safar main Kahin

Mazboot howey Qadam , chaal dhaal b badli
Badla us'ka Rung roop sara
Pinjarey se nikal ker Urna Seekha
Pehchaney Rawiaye Aash'kaar howa Jeeney Ka ''Raaz'' Us per

Dari sehmi chup chaap c Larki
Kho Gayi kahin Gardash'e safar main

Milti hai Kabhi Tanhai main
Roti , bilakti khamosh labon o khushk ashkon sey
Kahne , sunn'ney ko kuch raha nahi Baqi
Qaid Hoi apni zaat ki Tanhai main
Woh dari sehmi chup chaap c larki ..........!!!

Wednesday, May 22, 2013

Kab tak dil ki khair mana'en

Kab tak dil ki khair mana'en, Kab tak rah dikhlao gay?
Kab tak chain ki mohlat do gay, Kab tak yaad na aao gay?

Beeta deed umeed ka mosam, Khaak urrti hai aankho'n mein
Kab bhejo gay dard ka baadal, Kab barkha barsao gay?

Ehd-e-wafa ya tark-e-muhabbat, Jo chaho so aap karo
Apny bus ki baat hi kia hai, hum se kia manwao gay. .

Kis ne wasl ka suraj dekha, Kis per hijr ki raat dhali
Gesu'on walay kon thy? kia thy? In ko kia jatlao gay?

'Faiz' Dilo'n k bhaag mein hai, Ghar bharna bhi, lut jana bhi
Tum us husn k lutf-o-karam per, kitny din itraao gay?

suno iltija hai itni

suno iltija hai itni
jab meri sansain
mera jism choor dain
jab aankhain weeran ho jain
jab main thak jaoon or gir jaoon
jab main tumhein pukaroon
or aawaz na day paoon jab mujhay jana ho
lootna hoo apnay khuda kay pass
aisay lamhay tum aajana ik
lamhay kay liye hi per dua kay liye
hath uthana meri sard
paishani pay apna hath rakhna
taasuf say sir hilana phir
mairay jinazay ko kandha daina
or apni dunia say door choor aana
bus sirf in chand lamhoon ka sakoon meri
zaindagi pay tumhara ehsan ho ga
kay tumhare hathoon ka
lams kaber main bhi mujh say juda na ho ga

Friday, May 17, 2013

KhwaabOn Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien

KhwaabOn Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
tAnhAiyOn Ki DhOop Nay Chehray jAla Diye
LafzOn Kay jOrney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena dhOondney Mein Kaii Aks KhO Gaye
Aaye Na Phir wO lOat Kay Aik Baar jO Gaye …..
wO Din, wO WaQt, wO Rut, wO mOusam, wO Sarkashi
Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah O Saal
Kya Jamma Is Zameen Pey Nahien hOngey Phir Kabhi ?
jO hUmSafar Farak Kii Daldal Mein KhO Gaye
Patay jO Girr Kay PaiR Say RastOn Kay hO Gaye
Kya Phir Kabhi Na lOat Kay Aaye Gii wO Bahaar
Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wO Dhanak
Jis Kay WafOor e Rang Say jhAlkii hOii Hawa
Kartii hAi Aaj Tak
Aik Zulf Mein Sajay hOye PhOolon Ka Intezaar
Lamhay Zamaan e HijR Kay Phailay Kuch Is Trah
Degay e Rawaan e dAsht Ki Tamsaal hO Gaye
Is dAsht e Pur Saraab Mein Bhatkay hAin Kuch Is Qadar
Naqsh e Qadam Thay Jitnay Bhi Pamaal hO Gaye
Ab tO Kahien Khatam hO Rasta gUmaan Ka
SheeShay Mein Dil Kay Sarey YaQeen Baal hO Gaye
Jis Waqe’ay Nay Aankh Say Cheenii Thii Meri Neend
Us WaQe’ay kO Ab tO Kaii Saal hO Gaye

Thursday, May 16, 2013

Wafa Kay Waday Woo Saray Bhula Gaya Chup Chap

Wafa Kay Waday Woo Saray Bhula Gaya Chup Chap Wo Meray Dil Ki Dewarein Heela Gaya Chup Chap
Gham-e-Hayaat Kay Taptay Howay Bayanban Main Wo Mujh Ko choor Kay Tanha Chala Gaya Chup Chap
Na Jannay Koun Sa Wo Badnaseeb Lamha Tha Jo Ghum Ki Aag Mai Mujh Ko Jala Gaya Chup Chap
Mai Jis Ko Chuta Hon Eshrat Wo Zakhm Dayta Hay Wo Phool Aisay Chaman Mai Khila Gaya Chup Chap

Wednesday, May 15, 2013

Suno Ae Bewafa Mery

Is Baras Bhi
Sham ki Dehleez par
Mom Batti ki jagha aankhen jalin
Is Baras bhi kya Qayamat khez Tanhai thi
Jis ki Maiz par Birthday ka cack rakhty he
Kei Barbaar Umeeden _________ Kei Be Aas Yaden
Sar Jhukaye,
Hath men kuch Motiye k phool, kuch tohfy gulabon k liye
Saf Ba Saf Deevaar e Jaan se aa lagin
Kitni baten aaj k din k hawaly se
Mery Charon taraf
Apny Maani ki ghalat tarseel par
Roti rehin
Kitny shaminda se Wady
Mery Seeny men Chupy Zakhmon ko apny
Ansuon k itar se dhoty rehy ___________ Roty rehy
Or men is kamra e dil men
Apny Birthday k Cack k Seeny se lag kar
Khud ko Happy Birthday kehta raha
Apni Ghurbat ki Qasam
Tujh ko Dua deta rha
Or tum jany kahan kis Dais men
Apni wafa ki saltanat k Shahzady ko liye
Ik Libas-e-Khushbu-e-Zartaab Zaib-e-Tan kiye
Doston or qeemti tohfon k jhurmat men
Hazaron Khahishon or sainkron khoabon ki tabeeron ki mehfil men
Tumhen Mazi ki koi sham ______ Koi Dopehar b yaad ho na yaad ho
Or tumhen ik chehra-e-Be-Khal-o-Khad bhi yaad ho na yaad ho
lekin
Suno Ae Bewafa Mery,

Mujhy kuch bhi nehin Bhoola ...
Mujhy kuch bhi nehin Bhoola ...

Mere hamsafar Mere hamsafar by Wafa Ali


Main mohabbat mein bachon ki tarah hon

Main mohabbat mein bachon ki tarah hon
Jo mera ha main kisi aur ko kiyoun don?

main teri mohabbat ka azad umeedwar hon

Khushi teri manshoor ha mera
main teri mohabbat ka azad umeedwar hon

Lakeeren jhoot hoti hain

Haathon ki lakeeron pe
Guftugo jab chal nikli
Tab udaas lehje mein
Main ne uss se ye kaha
Nazar mujh ko nahi ata
Tumhara naam bilkul bhi
In uljhi lakeeron mein
Tab palat k wo boli
Lakeeren jhoot hoti hain
Tumhare sath hon main to
Tumhare pas hon main to
Zarori to nahi hota
Muqadar ho lakeeron mein
Ye bewafa lakeeren hain
Lakeeren bas lakeeren hain
Aitebar matt karna
Bewafa lakeeron pe
Magar wo jhoot kehti thi
Nateeja ye k uss ka sath
Nahi baqi raha lekin
Lakeeren ab bhi baqi hain
Lakeeren ab bhi baqi hain

Tum to her baat pe kehte the koi baat nahi

Ishq hara ha to dil tham k kiyoun bethe ho?
Tum to her baat pe kehte the koi baat nahi

Tuesday, May 14, 2013

Is se pehly ke shaam ho jaye

Is se pehly ke dasht_e_ imkaan main.

Wasl_e_ janan ki aarzoo na rahy.

Is se pehlay ke baar_e_gham se kahin.

Tujh ko paane ki justaju na rahy.

Is se pehlay ke dasht _e_khwahish se.

Fersh _e_afsurdagi bichay sar_e_raah.

Laut aao ke muntazir hai nigah.

Is se pehlay ke loh_e_qismat par.

Baab_e_ulfat tamam ho jaye.

Is se pehly ke shaam ho jaye...

Wednesday, May 8, 2013

Sarapa ashk hoon

Sarapa ashk hoon, mai ab bikhar jaoun to behtar hai,
Jidher jatay hain ya badal, udher jaoun to behter hai,

Ye dil kehta hai, teray sheher mai kuch din theher jaoun,
Magar halaat kehtay hain, k ghar jaoun to behter hai,

Diloon mai farq aain gay, taaluq toot jayain gay,
Jo dekha jo suna, us say ab mukar jaoun to behtar hai,

Yahaan hai kon mera? Jo mujhy samjhay ga.??
Main koshish kar k ab khud he, badal jaoun to behter hai…!!!

Main shakhs hoon ik aam sa

Main shakhs hoon ik aam sa
Ik qisa-e-tamam sa
Na lehja be-misaal hai
Na baat mein kamaal hai
Hoon dekhne mein aam sa
Udasiyon ki shaam sa
Jaisay aik raaz hoon
Khud se be-niyaaz hoon
Na majboriyon se rabt hai
Na shohraton ka zabt hai
Ranjha na qais hoon
Insha na faiz hoon
Main paker-e-ikhlaas hoon
Wafa dua or aas hoon
Main shakhs khud shanaas hoon
Ab tumhi karo faisla
Main shakhs hoon ik aam sa
Ya phir bohat hi khaas hoon

Ik umar ke baad us ko dekha

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan­,
Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..

Tehreer mein aa jaye agar lafz judai

Tehreer mein aa jaye agar lafz judai
Mehsoos ye hota ha qalam toot raha ha

Bohat Dil Koe Kushada Kar Liya Kiya

Bohat Dil Koe  Kushada Kar Liya Kiya?
Zamaanein Bhar Sey Waada Kar Liya Kiya??

Toe Kiya Sach Much Judaai Mujh Sey Kar Li?
Toe Khud Apnein Koe Aadha Kar Liya Kiya???

Hunar Mandi Sey Apnein Dil Ka Safha
Meri Jaan, Tum Nein Saada Kar Liya Kiya??

Bahot Nazdeek Aati Ja Rahi Hoe.
Bicharnein Ka Irada Kar Liya Kiya

Monday, May 6, 2013

Aaj udhas hoon to

Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya

Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya

Zindagi ki masrufiat ke woh chand din jo guzar chuke hain
na hi un pe urooj aya,aur na hi aun pe zawaal aya

Bhool na chahti hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai
jitna bhi roka woh waqt utna woh mere sath chala aya

Guzra hua kal na tha mera,na hai mera aur na ho ga kabhi
yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya

woh wade teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya

ana parast the tum to khudaar thi main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi
tu thi nadan,dil tera usse na samajh paya

mujhe wo pyar karta tha

meri ankhon pe marta tha
meri baaton pe hansta tha

najane shakhs tha kaisa?
mujhe khone se darta tha

mujhe jab b wo milta tha
yehi har bar kehta tha

SUNO!

agar main bhool jaon to?
agar main rooth jaon to?

kabhi wapis na aaon to?
bhula pao gi ye sab kuch

yun hi hansti raho ki kya?
yun hi sajti raho gi kya?

yehi baatein hain bas uski
yehi yaadein hain bas uski

mujhe itna pata hai bas
mujhe wo pyar karta tha

Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna

Yaad Aaon To Bas Itni Si Anayat Karna
Apne Badlay Huey Lehjay Ki Wazahat Karna

Tum Jo Chahat Kat Shahkaar Hua Karte They,
Kis Se Seekha Hai Yeh Ulfat Me Milawat Karna?

Hm Sazaaon Ke Haqdaar Baney Hain Kab Se?
Tum Hi Keh Do Kiya Jurm Hai Mohabbat Karna?

Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain,
Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyarat Karna

Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan,
Daikh, Bhooley Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna

TUM KHAFA Q HO

“TUM KHAFA Q HO..?”

Tumhen muj se gila kya hy..?

Achanak be rukhi itni..

Batao to hua kya hy..?

Manaaun kis tarah tum ko..?

Mujhy itna to batla do..

Agar ab ho saky tum se..

To ye ahsan farma do..

Meri manzil mohabat hy..

Mujhy manzil pe pohncha do..

Tumhari aankh men aansu..

Mujhy achy nhi lagty..

Tumhary narm honton pe..

“Gily achy nhi lagty”..

Tumhary muskurany se..

Mera dil muskurata hy..

Tumhary rooth jany se..

Mera dil toot jata ha..

Huaa Hai Insaaf Se Bezaar Mera Dil

Huaa Hai Insaaf Se Bezaar Mera Dil
Bewafaa Ho Aap Gunehgaar Mera
Dil

Har Kisi Ke Saath Hay Koi ,Tanha Main
Phir Se Le Jaa Mere Yaar Mera
Dil

Ab To Kismaton Pe Chor Di Hai Baat
Thakk Chukaa Hoon ,Tumhe Pukaarey Mera
Dil

Mere Marne Ki Ab Duayen Mangiye
Jeene Ka Nahin Hai Talabgaar Mera
Dil

Waqt Ki Aandhiyon Ne Maar Daala
Tha Aik Dhuven Ka Gubaar Mera
Dil

Ki Wafaaon Ki Umeed Be_Wafaaon Se
Thi Paani Se LadaaiSharaar Mera
Dil

Ab Husn_O_Ishq Ki Baaten Na Kijiye
Mohabbat Se Hai Sharamsaar Mera
Dil

Ispe Phool Ke Jagah Aansoo Charrhaiye
Hai Haseen Khwaabon Ka Mazaar Mera
Dil

Dhadkan Ruk Jaati Hai Tere Naam Se
Choo Ke Dekhiye Tu Aik Baar Mera
Dil

Jalao Na Us Ko Abhi Mere Dosto
Kisi Ka Kar Raha Hai Intezaar Mera
Dil

Udas Shaamain,Ujaar Rastay

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulaian Tou Luat Ana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagay Kay Aazaab Aain Tou Luat Aana

Abhi Naeye Wadiyoon,Naeye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Ana

Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Koi Dasttan Sunain Tou Laut Ana

Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bayhajta Hoon
Kay Achay Moosam Agar Paharoon Par Muskurain Tou Laut Ana

Agar Andeeroon Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Gain Tumharay Sathi
Aur Apni Katir Hi Apnay Apnay Diyay Jalain Tou Laut Ana

Meri Woh Batain Tou Jin Pay Hansta Tha Kilkila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulaian Tou Laut Ana

Mujhe acha sa lagta hai

Mujhe acha sa lagta hai
Tumhare sang sang chalna
Wafa ki aag mein jalna
Tumhein naraaz kar dena
Kabhi khud bhi rooth jaana
Mujhe acha sa lagta hai
Tumhari berukhi per bhi
Tumhari aarzu karna
Mujhe acha sa lagta hai
Khud apne Dil ki dharkan se
Tumhari guftugu karna
Mujhe acha sa lagta hai
Bohat acha lagta hai
Tum hi ko dekhte rehna
Tumhi ko sochte rehna
Bohat gehre khayalon mein
Jawabon mein sawalon mein
Mohabbat ke hawalon mein
Tumhara naam aa jana
Bohat acha sa lagta hai

Saturday, May 4, 2013

Bichar kay tujh say ab mujhy marna hay

Bichar kay tujh say ab mujhy marna hay
Ye tajarba isi zindagi mein karna hay

Friday, May 3, 2013

Main cigrate ko haatheli per

Main cigrate ko haatheli per ulat kr khaali krta hon
Phir us mein daal kr yaadain Tumhari khoob malta hon
Zara sa gham milata hon
Haatheli ko ghumata hon
Basa kr Tujh ko saanson mein main phir cigrate banata hon
Laga kr apne honton sy
Mohabt sy jalata hon
TUJHY sulgha k cigrate mein main Tera kassh lagata hon
Dhuwain jab mere honton sy nikal kr raqs krta hy
Mere chaaron taraf kamray mein "TERA" aks banta hy
Main us sy baat karta hon wo muj sy baat karta hy
Yeh lamha baat karnay ka bara anmool hota hy
"TERI" yaadain "TERI" baatain bara mahool hota hy

Thursday, May 2, 2013

Ye jo doobi hain meri ungliyan apne hi khoon mein !

Ye jo doobi hain meri ungliyan apne hi khoon mein !
Yeh kaanch ke tookroon par bharoose ki saza hai :(

Jaisay dhaga ho koe tasbeh mein

Jaisay dhaga ho koe tasbeh mein

Aisay meri sansoon kay darmiyan hay tu

Ham se to Museebat me Dua bhi nahi hoti

Aa jati hai kuchh yaad to bhar aatay hain aansoo
Ham se to Museebat me Dua bhi nahi hoti

Zameen py chal Na saka or asman Sy b gya

Zameen py chal Na saka or asman Sy b gya
katwa k pr wo Parinda uraan Sy b gya 

Bhula diya to Bhulany ki Inteha kr di
Ab wo shakhs Mery wehem-o Guman sy b gya

kisi k hath sy Nikla hua wo Teer hun me
Jo Hadaf ko Choo na ska or kman sy B gya

Tabah kar gai Mujy pakky ghar ki khuwahish
Me apny gaon k kachy makaan sy B gya
 Paraai Aag me  Kooda to kya Mila mujhy
Us ko to bacha Na saka or apni JAAN sy b Gaya

wohi karwan wohi rastay wohi zindagi wohi marhalay

wohi karwan wohi rastay wohi zindagi wohi marhalay
mager apny apny muqaam pr , kbhi ham nahi kbhi tum nahi


kathin hy Rahguzar thori door saath chaloo
bhohat karaa hy safer , thori door saath chaloo


tamam umer kahan koi sath deta hy
yeh jaanta hon mager thori door saath chalo


Bohaat kara hy safer thori door sath chalo
kathan hay rah guzar thori door sath chaloo


yeah eaik shab ki mulaqaat bhi ghaneemat hy
kisy hy kal ki khaber thori door saath chalo


Bohat karaa hay safer , thori door sath chaloo
Kathin hay rahguzar thori door saath chaloo


abhi tu jaag rhay hain chiragh rahoon ky
abhi hay door sehar , thori door saath chaloo


Bohat kaa hay safer thori door cath chaloo
kathin hay rah guzar thori door sath chaloo