Friday, March 29, 2013

Ye bhi mumkin ha

Yeh Bhi Mumkin Hai Kisi Roz Na Pehchanun Usey
Woh Jo Har Baar Naya Bhes Badal Leta Hai

Baarha Mujh Se Kaha Tha Mere Yaaron Ne WASI
Ishq Darya Hai Jo Bachon Ko Nigal Leta Hai

Tum se ha

Yeh Kamyabiyaan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhi Diya Hai Muqaam Tum Se Hai

Tumhare Dum Se Hain Mere Lahoo Mein Khilte Gulaab
Mere Wajood Ka Sara Nizaam Tum Se Hai

Kahan Bisaat-e-Jahaan Aur Mein Kamsin-o-Nadaan
Yeh Meri Jeet Ka Sub Se Ehtemam Tum Se Hai

Jahan Jahn Hai Meri Dushmani Sabab Mein Hun
Jahan Jahan Hai Mera Ehteraam Tum Se Hai

Tera ehtram karte hain

Sochte Hain Tujhe Wazu Kar K
Yun Tera Ehteraam Karte Hain

Kash main tere haseen hath ka kangan hota

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota
Tu bare piyaar se chao se barey maan k saath

Apni nazuk kalayee mein charhati mujh ko
Aur betaabi se furqat k khizaan lamhon mein

Tu kisi soch mein doobi jo ghumati mujh ko
Mein tere haath ki khushbu se mehek sa jata

Jub kabhi mood mein aa kar mujhe chooma karti
Tere honton ki mein jiddat se dehek sa jata

Raat ko jub bhi tu neendon k safar par jaati
Marmareen haath ka ik takiya banaya karti

Mein tere kaan se lag kar kayee baatein karta
Teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

Jub bhi tu Band-e-Quba kholne lagti janaa
Apni ankhon ko tere husn se kheera karta

Mujh ko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
Mein teri rooh k gulshan mein mehekta rehta

Mein tere jism k angan mein khanakta rehta
Kuchh nahin to yahi be-naam sa bandhan hota

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota

Bandh len hath pe seeney pe saja len


Sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki

Sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
K hai mazeed udasi dawa udasi ki

Amoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhal nahi
Yahan faqat teri chalti hai ya udasi ki

Bahot shareer tha main aur hansta phirta tha
Phir aik faqeer ne de di dua udasi ki

Chiragh-e-dil ko zara ehtiat se rakhna
K aaj rat chale gi hawa udasi ki

Bahot dino se mulaqat hoi nahi Mohsin
Kahin se kher khabar le k ao udasi ki

mohabbat ka bharam hota to

mohabbat ka bharam hota to phir kuch soch kar jate
wagarna zindagi ban k mere hamdam guzar jate

thake haare prindo ko jo dekha to khayal aya
koi jo muntazir hota to ham bhi apne ghar jate

iss tanhai ka ham pe bara ehsan ha Mohsin
na deti sath ye apna to jane ham kidhar jate
chalo tum raaz ho apna
tumhen afshaa nahi kertay

ye oonchay per kesay hain
kahin saya nahin kertay

jo dhun ho ker guzarnay ki
to phir socha nahin kertay

kabhi hansnay se dartay hen
kabhi roya nahi krtay

teri aankhoon ko perhtya hen
tujhe dekha nahin kertay

sahar se pooch lo mohsin
k ham soya nahi kertay

aye dost jhoot aam tha dunia mai is qadar

aye dost jhoot aam tha dunia mai is qadar
too nay bhi sach kaha to fasana laga mujhe

ab usko kho raha hun baray ishtiaaq se
wo jisko dhondnay mai zamana laga mujhe

mohsin hujoom e yaas mai marnay ka shoq bhi
jeenay ka ik haseen bahana laga mujhe

wo misl-e-khawb hi rehta to kitna acha tha

wo misl-e-khawb hi rehta to kitna acha tha
wo mere sath hi rehta to kitna acha tha

subhen haseen to shameen bahot khush gawar hoten
wo mere shehr mein hota to kitna acha tha

hawa k dosh pe pheli hoi thi uss ki mehek
hawa ka rukh na badalta to kitna acha tha

main zindagi k masail se lar bhi sakta tha
wo hosla mujhe deta to kitna acha tha

na ab milen ge na bataen ge na phir mulaqaten Mohsin
wo yahi baat na kehta to kitna acha tha

Banjarey hain Rishton ki tijarat nahi karte

Banjarey hain Rishton ki tijarat nahi karte
Ham log dikhawey ki mohabbat nahi karte

milna ha to aa jaeet le maidan mein ham ko
ham apne qabeeley se baghawat nahi karte

toofan se larne ka tareeqa ha zarori
ham doobney wale ki himayat nahi karte

palkon pe sitare hain na shabnam ha na jugnu
iss trah to dushman ko bhi rukhsat nahi karte

Her simt bare logo ki ik bheer ha Mohsin
Ham itne khudaon ki ibadat nahi karte

aur dhoop mein barish hone lagi

jab main ne uss se pocha tha
kia dhoop mein barish hoti ha?
wo hanste hanste rone lagi
aur dhoop mein barish hone lagi
wo nazuk si kalli murjha si gai
aur ro kar mujh se kehne lagi
tum chor na jana O sajan
dil tor na jana O sajan
tum kia jano dhoop ki barish
tum kia jano hijar ka gham
jab tum door the mujh se O sajan
mere hath ki choori aur kangan
jab geet tumhare gatey the
mujhe yaad bahot tum ate the
main hanste hanste roti thi
aur dhoop mein barish hone lagi

Suno Hamdam

Suno Hamdam!
bahot si degrian le kar
ikatha kar k itna ilm daman mein
hunar par dastras pa kar
Nisab-e-Chahat-e-Dil k
chalakte lafz ankhon se
agar parhne se qasir ho
to
Un parh ho.

Mohabbat Daimi sach ha

ham aksar ye samajhte hain
jisse ham piar karte hain
usse ham bhool bethey hain
magar aisa ni hota
Mohabbat daimi sach ha
mohabbat thehr jati hai
hamari baat k ander
mohabbat beth jati hai
hamari zaat k ander
magar
ye kam nahi hoti
kisi bhi dukh ki sorat mein
kabhi koi zarorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehje ki thandak mein
udaasi ki zarorat mein
kabhi barish ki sorat mein
hamari ankh k ander
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatre ki sorat mein
ba-zahir aisa lagta hai
usse ham bhool bethe hain
magar
aisa ni hota
aisa ni hota

Usse kehna

Usse kehna....
meri sochain harassan hain...
mere jazbay pereshaan hain...
pereshaan hay mera dil b....
Use kehna....
k Pahlay se kahin ziada...
kahin barh ker mujhay us ki zaroorat hay.

Kaho to laot jate hain

Kaho to laot jate hain
abhi to baat lamhon tak ha
saddion tak nahi ponchi
abhi muskan ki nobat nahi ai
abhi tak koi majbori khayalon tak nahi ai
abhi to gard pairon tak ha
balon tak nahi ai
Kaho to laot jate hain
tumhara sath agar mil jaye
to zamane se ulajhne ki bat hi kia ha
agar tum chor do mujh ko meri auqat hi kia ha
mere bare mein na socho
tum apni bat batlao
kaho to chalte rehte hain
Kaho to laot jate hain

Main kis se tera gilla karon

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔

میں کس سے تیرا گلہ کروں گا ؟
بچھڑ کے تجھ سے حبیب . . کس سے ملا کروں گا ؟
بتا کے جاؤ کہ آنکھ برسی تو کون موتی چنا کرے گی؟
اداس لمحوں میں دل کی دھڑکن سنا کرے گی ؟
بتا کے جاؤ کہ موسموں کو پیام دینے ہیں ۔ ۔ ۔ ؟ یا نہیں ؟
فلک کو ، تاروں کو ، جگنوؤں کو سلام دینے ہیں ۔ ۔ ۔؟ یا نہیں ؟

بتا کے جاؤ ۔ ۔ ۔ ۔

کہ کس پہ ہے اعتبار کرنا ؟
تو کس کی باتوں پہ بےنیازی کے سلسلے اختیار کرنا ؟
بتا کے جاؤ کہ اب رویوں کی چال کیا ہو ؟
جواب کیا ہو ؟۔ ۔ ۔ سوال کیا ہو ؟ ۔ ۔ ۔
بتا کے جاؤ کہ تم کو کتنا پکارنا ہے ؟
بچھڑ کے تجھ سے یہ وقت کیسے گزارنا ہے ؟

Chahaton k moasum mein

چاہتوں کے موسم میں
زخم جو بھی لگ جائے
عُمر بھر نہیں سِلتا
تم نے سُن لیا ہوگا
شہر کی ہواؤں سے
وہ جو اِک دیوانہ
آتے جاتے راہی کو
راستوں میں مِلتا ہے
اب کہیں نہیں مِلتا

tumhara naam hai likha by Shayan Butt

Chaand ki kirnoon k
ujle ujle jaaloon mein
tumhara naam hai likha
meri diary k sab safhon pe
mukhtalif rangoon se
mohabbat k hawalon mein

Poet : Shayan Butt

Thursday, March 28, 2013

ao eid ko rukhsat karen

ao eid ko rukhsat karen
kuch khushio ko sanbhal kar
kuch ansu ko taal kar
jo lamhe guzre chahato mein
jo pal beete rafaqton mein
kabhi waqt k sath chalt chalte
jo thak k ruke raston mein
kabhi khushio ki umeed mili
kabhi bichre hoeon ki deed mili
kabhi be panah muskara dia
kabhi hanste hanste ro dia
in sare lamho ko ab mukhtasir karen
ao k eid ko rukhsar karen

Jisse ehsas kehte hain

Jisse ehsas kehte hain
wohi to dost hota hai
Tumhara dil jo dukhta hai
hamen bhi dard hota hai
Tumhari ankh ka ansu
hamen bechain rakhta hai
Tumhen milti hain jab khushian
hamare lab bhi hain
Tumhein dar paish ho masla
dua ko hath uthte hain
RABB ko yad karte hain
yahi faryad karte hain
Tumhen abad wo rakhe
Hamesha shad wo rakhe

ik taza hikayat hai

ik taza hikayat hai
sunlo tu inayat hai
Ek shakhs ko dekha tha
taron ki tarah hm nay
Ek shakhs ko chaha tha
apnon ki tarah hm nay
Ek shakhs ko samjha tha
phoolon ki tarah hm nay
Wo shakhs qiamat tha
kia uski krain baatain
Din us k lya paida
aur us ki hi thin raatain
Kb milta kisi se tha
hum se thin mulakatain
Rang uska shahabi tha
zulfon ma thin mahkarain
Aankhain thin k jadu tha
palkain thin k talwarain
Dushman bhi agar dakhay
so jaan se dil haray
Kuch tm se wo milta tha
baton ma shabahat thi
Haan tum sa hi lagta tha
shokhi main shararat main
Lagta bhi tumhi sa tha
dastoor e muhabat main
Wo shakhs hmain ik din
apno ki tarah bhola
Taron ki tarah dooba
phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya wo
hum nay buhat dhoonda
Tum kis lya chonkay ho
tum kis lya chonkay ho
Kb zikr tumhara hai
kb tum se takaza hai
kb tum se shikayat hai
ik taza hikayat hai
sun lo tu inayat hai
ek shakhs ko dakha tha
taroon ki tarah hm nay
ek shakhs ko chaha tha
apnon ki tarha hm nay

Ham apne khuda se kia mangte hain

Raton ko uth kar,
Khyalon se ho kar,
Yadon mein kho kar,
Tumhen kia khabar ha?
Ham apne khuda se kia mangte hain?

Weeranon mein ja kar,
Daman phaila kar,
Ansu baha kar,
Tumhen kia khabar ha?
Ham apne khuda se kia mangte hain?

Tum to kaho ge
Samam mangte hain,
Jaanam mangte hain,

Tum to kaho ge
Kisi dil ruba ki,
Kisi dil nasheen ki,
Wafa mangte hain

Ye bhi ghalat ha
Wo bhi ghalat ha
Ham apne khuda se sirf
Tere milne ki dua mangte hain

suna tha hum nay logoon sey

una tha hum nay logoon sey...
muhabbat cheez aisi hai..
chupaye chup nahi sakti
yeh aankhon main chamakti hai
yeh chehroon pe damakti hai
yeh lehjhoon main jhalakti hai
diloon tak ko rulati hai
yeh ratoon ko jagatii hai
agar yeh sach hai pyaray.....

"TO PHIR AKHIR HUMAIN APNAY RAB C BHALA KAISI MUHABBAT HAI"

na aankhon sey jhalakti hai
na chehroon pe damakti hai
na dil ko aazmati hai
na badan ko kapkapati hai
na sajdoon main rulati hai
na ratoon ko jagati hai

BHALA KAISI MUHABBAT HAI.....??
HUMAIN KAISI MUHABBAT HAI...??

Bas Tum

Ek Aas Ek Ehsas Meri Pyaas
Aur
Bas TUM..!

Ek Sawaal Ek Majaal Tumhara Khayal
Aur
Bas TUM..!

Ek Baat Ek Raat Tumhra Sath
Aur
Bas TUM.!

Ek Dua Ek Faryaad Tumhri Yaad
Aur
Bas TUM..!

Mera Wajood Mera Junoon Mera Sukoon

Bas TUM.

Pyaar To Tum Bhi Karte Ho

Kyun Rulaate Ho Humien ?
Kyun Bhool Jaate Ho Humien?
Tere Hee Sahaare To Jee Rahe Hain Hum..
To Phir Kyun Akela Chorr Jaate Ho Humien?
Har Baat Ko Chupana Ataa Hai Tumhein,
Roothon Ko Manana Ataa Hai Humien.
Roothe Ho Tum Najaane Kis Baat Par …
To Phir Wo Baat Kyun Nahi Bataate Ho Humien?
Jaan Jaati Hai Hamari ,
Jab Yaad Aati Hai Tumhari.
Tum To Humien Bhula Dete Ho…
To Phir Kyun Yaad Aate Ho Humien?
Hum Jeene K Bahaane Marte Rahenge,
Pyaar Hum Tumse Karte Rahenge.
Pyaar To Tum Bhi Karte Ho..

Tum bin kia hon main

Sard Rawaiyya..
Uljha Lehja..
Khoi Aankhain..
Thande Haath..
Bey Rung Chehra..
Badd Ikhlaqi..
Dekho..
"Tum Bin Kia hun Mein" ...!

Wednesday, March 27, 2013

Jab wo Ik Shaks Dastaras men Tha,

Jab wo Ik Shaks Dastaras men Tha,

Us Se Milna Tumhary Bas men Tha..

Us Ki Aankhen Tumhari Ankhen Theen..

Us Ki Batein Tumhari Batein Theen..

Us Ka Chehra Tumhara Chehra Tha..

Us K Dil Pr Tumhara Pehra Tha..

Wo Jo Kehta Tha Be-Qarari hai..

Meri Sari Wafa Tumhari hai..

Sirf Tum Se Mujy Mohabbat hai..

Sirf Tum Se Meri Haqeeqat hai..

Tab Tum Us K Hr Aik Jumley Ko..

Tab Tum Us K Hr Aik Jazbey Ko..

Ek Hansi men Urraya Krty Thy..

Sun K Tum Bhool Jaya Krty Thy..

Apni Tanhai K Galy Lag K..

Sarey Aansu wo Ro Gya Ek Din..

Ek Pathar Se Dil Lagi Kr K..

Khud Bhi Pathar Ka Ban Gya Ek Din..

Ab wo Tum Se to Kuch Nhi Kehta..

Be-Niazi K Dukh B Nhi Sehta..

Us Ki Aankhen Ab Us Ki Ankhen hen..

Us Ki Batein Ab Us Ki Batein hen..

Bhool Jana Tumhari Aadat hai..

Ab Wo Shakhs Dastaras men Nhi..

Us Se Milna Tumhary Bas men Nhi..

KIS LIYE AB UDAAS BETHY HO..?

Tum piar kisi se na karna

Ek Ishq nagri ki wadi thi,

jahan pyar ki nadiya behti thi.

Kuch dil walay b rehtay tahy,

jo pyar ki batian kartay thay.

Jub bahar ka mosam ata tha,

or phool pyar k khilata thay.

Mast nashili shamon main,

pyar say do dil miltay thay.

Ek roz wo basti ujar gaee,

or pyar ki basti bikhar gae.

Phirr har ek dil ko sog laga,

or jeewan bhar ka rog laga.

Deewanay phirtay rehtay hain,

or har ek say ye kehtay hain.

Iqrar kisi say na karna,

Tum pyar kisi say na karna.

Chalo phir dhoond laen ham

Chalo phir dhoond laen ham
ussi masoom bachpan ko
unhi masoom khushio ko
unhi rangeen lamhon ko
jahan gham ka pata na tha
jahan dukh ki samajh na thi
jahan bas muskarahat thi
baharen hi baharen thi
k jab sawan barasta tha
to uss kaghaz ki kashti ko
banana aur dooba dena
bahot acha sa lagta tha
aur iss dunia ka her chehra
bahot sacha sa lagta tha
chalo phir dhoond lete hain
ussi masoom bachpan ko

Kaha tha yaad ha tum ne

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon chand,
Aur tum chandni meri,
Magar jab chand chup jaye,
Kaho phir chandni kesi ?

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon phool,
Aur tum phool ki khushbu,
Magar jab phool murjhaye,
Kaho khushbu bhala kesi,

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon dil,
Aur tum dharkan,
Magar dil toot jaye to,
Kaho phir dharknain kesi,

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon aas,
Aur tum zindagi meri,
Magar jab aas tootey to,
Kaho phir zindagi kesi…??

Mera her lafz rota ha

Yahi waada lia tha na
Hamesha khush hi rehna hai
Lo dekho
Dekh lo aa k
Meri ankho ko dekho tum
Ye kitni shokh lagti hain
Mere honto ko dekho tum
Hamesha muskarate hain
Koi bhi gham agar aya
Usse hans kar saha main ne
Mere chehre ko dekho tum
Hamesha pur-sakoon hoga
Kia tha main ne jo tum se
Wo waada kar dia poora
Magar ik baat hai piare
Kabhi jo waqt mil jaye
To meri shayri parhna tum
Tumhen mehsos to hoga
Kaheen talkhi bhara lehja
Kaheen pe sard sa lehja
Kaheen pe dard ki jheelen
Kaheen lehje ki karwahat
Suno!
Main khush to hon lekin
Mera her lafz rota hai

Mukammal Bas Khuda Ki Zat Hoti Hai

USEY KEHNA
Usay Kehna Mukammal Kuch Nahi Hota,
Millan Bhi Na Mukammal Hai,
Juddai Bhi Adhori Hai
Yahan Bus Maut Puri Hai
…Usey Kehna,
Udasi Jab Ragon Main Khoon Ki Mannid,
Utarti Hai Bahut Nuqsan Karti Hai,
Usay Kehna
Parindo Ki Judai Pay Shajar Jab,
Ban Kerty Hain Bhaut Bechain Kerty Hain,
Usey Kehna
Bissat-E-Ishaq Py Jab Maat Hoti Hai,
Dukhoon K Shehr Main Tab Raat Hoti Hai,
Mukammal Bas “Khuda Ki Zat Hoti Hai”

Mohabbat maar jati ha

Mohabbat khof hoti hai
Kabhi nadan karti hai
Kabhi hairan karti hai
Mujhe malom hai shayed
Bahot nuqsan karti hai
Ye ghar weran karti hai
Jahan hon ronaqen zinda
Wo dil sunsan karti hai

Magar ab sun mere hamdam
Mujhe karni mohabbat hai
Mohabbat wo haqeeqat hai
Jo dil abad karti hai
Mohabbat jeet hoti hai
Magar ye haar jati hai
Kabhi dil soz lamhon se
Kabhi be-kar rasmon se
Mohabbat khud nahi marti
Mohabbat maar jati hai

Naraz na mujh se hoa karo

Tum beshak le lo jaan meri
Be-chain rakho din raat mujhe
Tarsaya karo, tarpaya karo
Chahe milne bhi na aya karo
Aur wa'ade bhi na nibhaya karo
Chahe qaid rakho tum khawbon mein
Din rat rakho aazabon mein
Meri aankhon ko purnum kar do
Aur zindagi prkar-e-gham kar do
Lekin meri dukhti rag na chua karo
Naraz na mujh se hoa karo
Naraz na mujh se hoa karo

Ye rah guzar ishq ha by Wafa Ali


Dil di dunia by Wafa Ali


Assan rahi aan uss raste de by Wafa Ali


jab b chunna piar chunna by Wafa Ali


Hamen to hukum e mojawari ha


Tumheen kitna ye bola tha


تمہیں کتنا یہ بولا تھا
کہ میری زندگی میں اس طرح شامل نہیں ہونا
جب آنکھیں صبح کو کھولوں
پکاروں نام میں تیرا
کبھی جب آئینہ دیکھوں
تمہارا عکس میری آنکھ کی پتلی میں جم جائے
خوشی مجھ کو ملے کوئی،
تمہارا ساتھ میں ڈھونڈوں
دکھوں میں بھی یہی چاہوں
کہ میرے پاس ہو بس تم
تمہیں کتنا یہ بولا تھا
مجھے بادل سے، بارش سے،
محبت ہے ہمیشہ سے
مگر تم نے محبت کو جنوں میں کیوں بدل ڈالا
میں اب بارش کے موسم میں
تمہی کو ڈھونڈتا کیوں ہوں؟
انہی سوچوں میں بھیگا ہوں
میں تنہا بھیگتا کیوں ہوں
تمہیں کتنا یہ بولا تھا
مری عادت نہیں بدلو
مری خاطر نہیں بدلو
مگر تم نے بدل ڈالا
مرا سب کچھ بدل ڈالا
میں اب جو خود کو تکتا ہوں
مجھے تم یاد آتی ہو
تمہیں کتنا یہ بولا تھا
مجھے تم یاد مت آنا
کہ تم کو بھولنا ویسے ہی
میرے بس سے باہر ہے
مجھے جب یاد آتی ہو
تو یہ محسوس ہوتا ہے
مجھے تم یاد کرتی ہو
تمہیں کتنا یہ بولا تھا
مجھے تم یاد مت کرنا
مجھے تم یاد مت آنا
مری اس زندگی میں
اس طرح شامل نہیں ہونا
تمہیں کتنا یہ بولا تھا

عاطف سعید

issi faqeeri mein main hon ameer


میرا دل میری رزم گاہِ حیات

گمانوں کے لشکر یقیں کا ثبات

یہی کچھ ہے ساقی متاعِ فقیر

اسی سے فقیری میں ہوں میں امیر

In jheel si gehri ankhon mein


ان جھیل سی گہری آنکھوں میں اک شام کہیں آباد تو ہو
اس جھیل کنارے پل دو پل
اک خواب کا نیلا پھول کھلے
وہ پھول بہا دیں لہروں میں
اک روز کبھی ہم شام ڈھلے
اس پھول کے بہتے رنگوں میں
جس وقت لرزتا چاند چلے
اس وقت کہیں ان آنکھوں میں اس بسرے پل کی یاد تو ہو
ان جھیل سی گہری آنکھوں میں اک شام کہیں آباد تو ہو
پھر چاہے عمر سمندر کی
ہر موج پریشاں ہو جائے
پھر چاہے آنکھ دریچے سے
ہر خواب گریزاں ہو جائے
پھر چاہے پھول کے چہرے کا
ہر درد نمایاں ہو جائے
اس جھیل کنارے پل دو پل وہ روپ نگر ایجاد تو ہو
دن رات کے اس آئینے سے وہ عکس کبھی آزاد تو ہو
ان جھیل سی گہری آنکھوں میں اک شام کہیں آباد تو ہو

Kaha tha na k youn sote hoe mat chor k jana

KAHA THA NA KE YUN SOTE HOYE MAT CHOR KE JANA
MUJHE BESHAK JAGA DENA BATA DENA
TUMHE RASTA BADALNA HAI MERI HAD SE NIKALNA HAI

TUMHE KIS BAAT KA DAR THA
MAIN TUMHE JANE NAHI DETA
KAHIN PE QAID KER LETA

ARE PAGAL MUHABBAT KI TABIYAT ME ZABARDASTI NAHI HOTI

JISE RASTA BADAL NA HO OSE RASTA BADALNE SE
JISE HAD SE NKALNA HO OSE HAD SE NIKALNE SE

NA KOI ROOK PAYA HAI
NA KOI ROOK PAYE GA

TU TUMHE KIS BAAT KA DAR THA

MUJHE BESHAK JAGA DETE
MAIN TUM KO DEKH HI LETA
TUMHE KOI DUA DETA
KAM-AZ-KAM YUN TU NA HOTA

MERE SAATHI YE HAQIQAT HAI

TUMHARE BAAD KHONE K LIYE KUCH BHI NAHI BAQI
MAGAR MAIN KHONE SE DARTA HUN

MAIN AB SONE SE DARTA HUN
KAHA THA NA YUN CHOR KE NA JANA

Khuda ra Maan jao na

Mohabat mein kaho janan.

Ye kaisi be'niazi hai.

Meri sochein.

Mery jazbat.

Mery pal pal k Ehsasat.

Meri Neendein.

Mery sapny.

Ya meri chandni raatein.

Sabhi kuch to tumhara hai.

Qasam lye lo tumhara hai.

Mera lehja.

Meri baatein.

Meri dharkan.

Meri saansein.

Ye Aankhon mein basi yaadein.

Ye Armaanon ki baaratien.

Sabhi kuch to tumhara hai.

Qasam lye lo tumhara hai.

Kabhi jo tum ijazt do.

Main apni shokhiyan muskan.

Apni jaan tumhary Naam kar jaon.

Tumhein main dekh ke Zinda rahon.

Tum pe hi mar jaon.

Magr janan !

Tumhari es ajab si be'rukhi se be'niazi se.

Mera Dil doob jata hai.

Faqat ik chota sa ehsan.

Meri zaat pe kar do.

Meri ankhon se apni jheel si aankhein mila kar tum.

Zara sa muskurao na.


"KHUDA'RA"
"MUSKURAO
"NA"

Mohabbat iss trah jaise

Mohabbat Es Tarah Jese Gulabi Titliyun K Pr
Mohabbt Zindgani Ki Jabeen E Naz Ka Jhumar

Mohabbt Aarzu K Seep Ka Anmol Sa Gohar
Mohabbt Aarzu Ki Dhoop Mn Umeed Ki Chadar

Mohabbt Hai Tery Gaisu, Teri Palken, Teri Aankhen
Mohabbt Teri Khamoshi, Mohabbt Hen Teri Baaten

Mohabbt Hai Tumhary Hijar Ki Or Wasl Ki Raaten
Mohabbt Hai Teri Dharkan Mohabbt Hai Teri Saansen

Mohabbt Teri Khamoshi Tumhari Baat Jesi Hai
Mohabbat Ko Agar Samjho To Teri Zaat Jesi Hai

Saturday, March 23, 2013

Mujhe tum yaad ate ho

March laot aya ha
kaho ab kia kahun tum se?
batao kia likhon tum ko?
mujhe tamheed do koi
mujhe umeed do koi
naya ik lafz ho koi
jahan se baat chal nikley
meri mushkil ka hal nikley
batao lehja kesa ho?
k tum se baat karni ha
kaho ab kia irada ha?
mujhe izhar karna ha
k tum ko ye batana ha
k aksar yaad atey ho
bahar k iss mosum mein
Mujhe tum yaad ate ho

Friday, March 22, 2013

Fasle itne barhe hijr mein


فاصلے اتنے بڑھے ہِجر میں، آزار کے ساتھ
اب تو وہ بات بھی کرتے نہیں غمخوار کے ساتھ


اب تو ہم گھر سے نِکلتے ہیں تو رکھ دیتے ہیں
طاق پہ عزتِ سادات بھی، دستار کے ساتھ


اِک تو تم خواب لیے پِھرتے ہو گلیوں گلیوں
اس پہ تکرار بھی کرتے ہو خریدار کے ساتھ


ہم کو اس شہر میں جینے کا سودا ہے جہاں
لوگ معمار کو چُن دیتے ہیں دیوار کے ساتھ


خوف اِتنا ہے تیرے شہر کی گلیوں میں فرازؔ
چاپ سُنتے ہیں تو لگ جاتے ہیں دیوار کے ساتھ

Thursday, March 21, 2013

Wafa Hai Zaat Aurat Ki

Vo aksar mujhse kehti thi,
Wafa Hai Zaat Aurat Ki..

Magar jo mard hotay hain,
Bohot be dard hotay hain,
Kisi bhanvry ki surat gul ki khushboo loot lete hain,
Suno!
Tum ko qasam meri,
Riwayat tor dena tum,
Na tanha chor dena tum,
Na ye dil tor ke jana,

Magar phir kuch yun huwa hamdam,
Mujhy anjaan raste par,
Akela chor kar usne,
Mera dil tor kar usne,
Mohabbat chor di usne,

Wafa Hai Zaat Aurat Ki!
Riwayat tor di usnay!

Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?

Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?

Wohi donon, jo bheegi rait par.

Aik dusre ka hath thame door tak.

Kabhi hanste, kabhi kuch gun gunate.

Ya kabhi chup chap bethe door ufaq ki godh min.

Roposh hone wala suraj dekhte.

Ansoo bahate loat jate.

Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?

Jo ate the to apne sath kitne khwab late the.

Kabhi sahil se dheron sipiyan chunte the.

Nange paon pani min chale ate the.

Bheegi rait se nanhe gharonde bhi banate the.

Aur un min sipiyan, rangeen se kuch sangreeze yon sajate the.

K jese aj k jugnu se lamhe.

Anay wale kal ki muthi min chupate the.

Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?

Magr samandr ne khizan ki siskiyan leti hoi.

Aik sham ko wo no-jawanon ko nhi dekha.

Jo der tak tanha sare sahil raha betha.

Phir us ne dher sare khat.

Bht se phool sukhe aur taswiren.

Aur apne akhri ansu.

Samandr k hawale kar diye.

HUM TUM BIN ADHURSY HEIN

"Tumhein ik baat kehni hay"

Magar naraz mat hona,

Keh tum jo har ghari mujh ko,

Itna yaad aatay ho,

Hamein itna satatay ho,

Keh hum tum dor hein dono,

Bohat majboor hein dono,

Na itna yaad aao tum,

Na youn itna satao tum,

Keh itna yaad aa kar youn,

Hamein pagal bana k tum,

Faqat itna bata do keh,

Hamari JAAN loo gay kia???

Magar yeh bhi haqeeqat hay,

Tumhari YAAD hi to hay,

Jo har pal saath rehti hay,

Khushi mein bhi ghamoo mein bhi,

Udaasi kay paloon mein bhi,

Tumhari YAAD hi to hay,

Jo har pai ye batati hay,

Mujhay ehsaas dilati hay,

Keh

(("HUM TUM BIN ADHURSY HEIN" Undecided

bara dushwar hota ha

bara dushwar hota ha

zara sa faisla karna

k jeevan ki kahani, biyan be zabani ko

kahan se yad rakhna ha

kahan se bhool jana ha

isse kitna btana ha

isse kitna chupana ha

kahan ro ro k hansna ha

kahan hans hans k rona ha

iss anchal k kone ko kitna bigona ha

kahan awaz deni ha

kahan khamosh rehna ha

kisi dukh ko kahan per

kon si shiddat se kehna ha

kahan se rasta badalna ha

kahan se laot ana ha

zara sa faisla karna

bara dushwar hota ha.

Tumhare waste jitni duaen soch rakhi hain

Tumhare waste jitni duaen soch rakhi hain

agar likhna unheen chahon

bari hi mukhtasar mata-e-zindagi mehsos hoti ha

so do misron mein mere ye haseen jazbey samaj lena

teri her rat panio k shor jesi ho

tera her din tumhare bachpan ki eid jesa ho. ameen

Rabaton ki dunia ha

Rabaton ki dunia ha
Rabaton se rishte hain
chahaton k ye sangam
khushion k ye aangan
dosti k ye bandhan
ham ko yad aen ge
ane wale salon mein
kis k sung hansna ha
kis k sung rona ha
kab ye apne bas mein ha
aasman ki janib
phaile hath kehte hain
dil se dil ka her rishta
moatber dua se ha
duaon mein basse logo
jahan raho khush raho.ameen

Kehne ko mohabbat ha lekin

Kehne ko mohabbat ha lekin

ab aisi mohabbat kia karni?

jo neend chura le ankhon se

jo khawb dikha kar pholon k

tabeer mein kante de jaye

jo gham ki kali raton se

her aas ka jugnu le jaye

jo khawb sajati ankhon ko

ansu hi ansu de jaye

jo mushkil kar de jeene ko

jo marne ko asan kare

wo dil jo piar ka mandir ho

wo yadon ko mehman kare

ab aisi mohabbat kia karni>

jo umar ki naqdi le jaye

aur phir bhi jhooli khali ho

wo sorat dil ka rog bane

jo sorat dekhi bhali ho

jo Qais bana de insan ko

jo ranjha aur farhad kare

ab aisi mohabbat kia karni

jo nend chura le ankhon se

Kia tum bhi?

kia tum bhi?
sham ki dehleez pe aas ka deep jalate ho?
aur kisi awara patte ki ahat per
darwaze ki taraf bhag jate ho?

kia tum bhi?
dard chupane ki koshish karte karte
aksar thak se jate ho?
aur bila waja muskarate ho?

kia tum bhi?
nend se pehle palkon per dheron khawb sajate ho?
ya phir bister per lait kar
rote rote so jate ho?

Kia tum bhi?

jo chale to jaan se guzar gaye

Tujhe kia khabar mere haal ki
Mere dard, mere malal ki
ye mere khayal ka silsila
kisi yaad se ha mila hoa
usse dekhna
usse sochna
meri zindagi ka ha fesla
ye uski palkon k saye hain
meri rooh mein jo utar gaye
ye janoon-e-manzil-e-ishq ha
jo chale to jaan se guzar gaye
mujhe is maqam pe chorna
ha ye bwafai ki inteha
ye qafas ho jese khuli fiza
yahi sukh ka sans main lon sada
jinhen teri deed ki pias thi
wo katoret neno se bhar gaye
ye janoon-e-manzil-e-ishq ha
jo chale to jaan se guzar gaye.

teri zaat mein meri zaat ho

Tera husn ho mera ishq ho
to Phir Husn-o-Ishq ki bat ho
kabhi main milon
kabhi tu mile
kabhi ham milen
mulakat ho
kabhi tu ho chup
kabhi main hon chup
kabhi dono ham chup chap hon
kabhi guftagu
kbhi tazkare
koi zikar ho
koi bat ho
kabhi visal ho to din ko ho
kabhi hijar ho to wo rat ho
kabhi ulfaten
kabhi nafraten
kabhi jeet ho
kabhi maat ho
kabhi phool ho
kabhi dhool ho
kabhi yad ho
kabhi bhool ho
rahen muskarate piar mein
khilen phool ban k bahar mein
na zameen koi
na falak koi
na wajood ho
na hi zaat ho
sirf
Tera husn ho
mera ishq ho
teri zaat mein meri zaat ho.

Na wo din rahe

Na wo din rahe

Na wo mehfileen rahen

Na wo Jan se azeez log

Waqt cheen k le gia

Mujh se mere apne kahan kahan

Fakhar karte the ham jin par


فخر کرتے تھے ہم جن پہ وہ سارے کہاں ہیں؟
وہ وعدے،وہ سب خیر خواہ ہمارے کہاں ہیں؟

جس نے بھی وعدہ کیا،بس اسی کے ہو لئے
اب بتاؤ وہ سب مضبوط سہارے کہاں ہیں؟

سب کچھ کریں گے ہم صرف تمہارے لئے
جن جن کا تھا یہ قول، وہ پیارے کہاں ہیں؟

جو کہتے تھے،دیں گے تمہارا ساتھ ہر دم
امیدوں کے وہی روشن ستارے کہاں ہیں؟

آتے ہی بدل دیں گے ہم تونقشہ وطن کا إ
جو جو دکھانا چاہتے تھے نظارے کہاں ہیں؟

اب حال یہ ہے کہ وہ بیٹھے ہیں سب اُدھرإ
انہیں کیا خبر؟غربت کے مارے کہاں ہیں؟

تم اپنی بات کرتے ہو کہ وعدے کیا ہوئے؟
ان کو تو اپنی نہیں خبر،بے چارے کہاں ہیں
 
 مقصود بیگ جی

Tere honton ki hansi

Tere Honto ki Hansi, Teri ankho ki Chamak
Tere lafzo ki khushbo, Tere lehje ki Dhanak

Tu jo soche tujhe mil jaye
Tu jo chahe wo ho jaye

Teri rahon mein jugnu hon
Her qadam pe tujhe bahar mile

Tu shad rahe abad rahe
Tujhe zindagi se itna piar mile

mera sir jhuke mere lab hile
mere dil se yeh dua uthi

jab mehfil mein tera zikar chale
Her lab pe dua aye

Tujhe her khushi raas aye
Koi Gham na tere pas aye

Main ne iss tor se chaha tujhe aksar jana


Ab kia likhen ham kaghaz par


اب کیا لکھیں ہم کاغذ پر
اب لکھنے کو کیا باقی ہے
اِک دل تھا وہ بھی ٹوٹ گیا
اَب ٹوٹنے کو کیا باقی ہے
اِک شخص کو ہم نے چاہا تھا
اِک ریت پہ نقش بنایا تھا
وہ ریت تو کب کی بکھر گئی
وہ نقش کہاں اَب باقی ہے
ہم جن کو اپنی نظموں کا
عنوان کہا کرتے تھے
لفظوں کا بنا کے تاج محل
کاغز پہ سجایا کرتے تھے
وہ ہم کو اکیلا چھوڑ گیا
سب رشتوں سے منہ موڑ گیا
اَب رستے سارے سُونے ہیں
وہ پیار کہاں اَب باقی ہے
اب کیا لکھیں ہم کاغذ پر
اب کیا لکھیں ہم کاغذ پر

Tumhen bhi mujh se mohabbat ha?


بہت مُدت سے ایسا ہے
کہ تم خاموش رہتے ہو
کوئی گہرا ہے غم شاید
جسے چُپ چاپ سہتے ہو
یونہی چلتے ہوئےتنہا
کوئی غمگین سا نغمہ
تم اکثر گُنگناتے ہو
دورانِ گفتگو یونہی
ملیں نظروں سے جب نظریں
تو باتیں بھول جاتے ہو
کسی گُم سُم سی حالت میں
یا پھر بارش کے موسم میں
فقط اتنا ہی کہتے ہو
اُداسی بے وجہ سی ہے
بہت بوجھل طبیعت ہے
بھلا سچ کیوں نہیں کہتے؟
تمہیں بھی مجھ سے محبت ہے

Aye Chaand usse kehna


اَئے چاند اُسے کہنا
وہ جو دُور بہت دُور بستا ہے
اُسے کوئی یاد کرتا ہے
اور بے حساب کرتا ہے
اُسے کہنا
جب وہ کسی اور کے سنگ ہنستا ہے
تو پھر دُور بہت دُور
کسی کا دل دھڑکتاہے
اور جب وہ اُداس ہوتا ہے
پاس اُس کے نہ کوئی غم شناس ہوتا ہے
تو پھر دُور بہت دُور
کسی کی آنکھوں سے لہو برستا ہے
اَئے چاند اُسے کہنا
جسے وہ چھوڑ آیا ہے
جسے وہ توڑ آیا ہے
وہ آج بھی تیرے آس پاس بستا ہے
تیرے پاس پاس بستا ہے
اَئے چاند اُسے کہنا

Bazahir aam lehje mein

Baazahir aam lehjay main
Kaha tha main nay jab us se
“Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se
Kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hain
To phir kyon dil ki manain hum
Shuru main manti hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar de ga”
Meray is aam say lehjay pay wo
Ik pal ko chonka tha
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
“Yeh sab jo keh rahi ho khud ko yeh samjha bhi pao gi?”
Bohat hi jee kara kar ke
Main us dam muskuraii thi
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh payi thi
“Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon gi main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon gi
Bhula kar sari batoon ko
Akaili bhi main jee loon gi”
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai
Ke jaisay meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karta hai
“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO?”

Yahan uljhe uljhe roop bahot


یہاں اُلجھے اُلجھے رُوپ بہت
پر اصلی کم، بہرُوپ بہت
اس پیڑ کے نیچے کیا رُکنا
جہاں سایہ کم ہو، دُھوپ بہت
چل انشاء اپنے گاؤں میں
بیٹھیں گے سُکھ کی چھاؤں میں
کیوں تیری آنکھ سوالی ہے؟
یہاں ہر اِک بات نرالی ہے
اِس دیس بسیرا مت کرنا
یہاں مُفلس ہونا گالی ہے
چل انشاء اپنے گاؤں میں
بیٹھیں گے سُکھ کی چھاؤں میں
جہاں سچے رشتے یاریوں کے
جہاں گُھونگھٹ زیور ناریوں کے
جہاں جھرنے کومل سُکھ والے
جہاں ساز بجیں بِن تاروں کے
چل انشاء اپنے گاؤں میں
بیٹھیں گے سُکھ کی چھاؤں میں

yaad to unheen kia jata ha

Us nay aik baar mujh say poocha
kay batao mujhay kitna yaad kartay ho
main nay kaha bohat ziada
us nay dubara sawal kiya
kay phir bhi batao tu sahih aakhir kitna
main nay kaha bohat bohat ziada




mera jawab sun kar woh zair-e-lab
dheeray say muskurai aur kaha
aab mujh say bhi tu poocho

tu us ki muskurahat aur bhi gehri hoti chali gayee
halka sa gulabi rang chehray pay aakar phail gaya
doobi doobi nazron say mujhay dekha

aur

palkain jhuka kar boli

Pagal!

Yaad tu unhain kiya jata hay
jinhain insaan bhool jaye !!!!!!!!!

ab tum lot aao

KAHIN WO MILY 
TO USY KEHNA K LOT AAO
 

LOT AAO KY KOI SHIDAT SY,
BARI MUDDAT SY 
TUMHARA INTAZAR KR RAHA HY
 

LOT AAO KY KISI KI BATAIN 
KISI KI YADEIN 
TUM BIN ADHURI HaiN
 

LOT AAO KY TUM BIN PAL PAL, 
HR PAL, 
HR AAJ HR KAL TANHA HY
 

LOT AAO KY TUMHARY DOoR HONY SaY 
KISI KI AANKHON MaiN
NAMI AUR ZINDAGI Main KAMI BHUT ZYADA Ha
 

 KAHIN MILY TO USaY KEHNA 
LOT AAO
bus ab tum lot aao..

Meri ankhon k jo atraf mein haley hoe hain

Meri ankhon k jo atraf mein haley hoe hain
ye tere bakhshe hoe khawb sanbhale hoe hain

main ne to kab se tah-e-khak utar jana tha
tere wa'ade hi meri maut ko taley hoe hain

ye teri yad ka sadqa hai jo mere ander
shaam hote hi rag-o-pae mein ujale hoe hain

apne chehron pe nidamat jo liye phirte hain
mujh ko lagta ha ye jannat se nikale hoe hain

ham ko ruswai se q khof dilate ho mian
ham to pehle hi yahan khak uchale hoe hain

dast-e-qudrat ne tere naam pe likh chora hai
khush naseebi ha k ham tere hawale hoe hain

kesa dushwar hoa ha yahan jeena marna
aise lagta ha ham aag mein daley hoe hain

Phir aik Cigret, phir aik teeli

Phir aik Cigret, phir aik teeli
jala raha hon, bujha raha hon
teri nazar mein ye mashghala ha
main uss ka wada bhula raha hon
Phir aik Cigret, phir aik teeli
jala raha hon, bujha raha hon
samajhna mat iss ko meri adat
ye jo dhuwan main ura raha hon
ye uss ki yadon k silsile hain
main uss ki yaden jala raha hon
Phir aik Cigret, phir aik teeli
jala raha hon, bujha raha hon
suna ha lohe ko loha hi katta ha
mere dil mein jo aag hai, main uss aag ko iss aag se bujha raha hon
Phir aik Cigret, phir aik teeli
jala raha hon, bujha raha hon

Koi Gazal Suna Kr Kya Karna

Koi Gazal Suna Kr Kya Karna
Yun baat barrha Kr Kya Krna

Tum Mere Thay, Tum Mere ho
Dunya Ko bata Kr Kya Krna

Tum Ehad Nibhao Chaahat Say
Koi Rasm Nibha Kr Kya Krna

Tum Khafa b Achay Lgtay ho
Phir TumKo Mana Kr Kya Krna

Tere Dar Pe Aa K Bethay hain
Ab Ghar b Ja Kr Kya Krna

Din Yad Se Acha Guzray Ga
Phir Tum Ko Bhula Kr Kya Krna

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!

Pardes ki eid


Nend ankhon mein musalat nahi hone deta

Nend ankhon mein musalat nahi hone deta
wo mera khawb mukammal nahi hone deta

ankh k sheesh mehal se wo kisi bhi lamhe
apni tasveer ko ojhal nahi hone deta

rabta bhi nahi rakhta hai sar-e-wasl koi
aur ta'aluk bhi muatal nahi hone deta

wo jo aik shehr hai pani k kinare yaaro
apne atraf mein daldal nahi hone deta

dil to kehta hai usse lout k ana hai yahin
ye dilasa mujhe pagal nahi hone deta

Tumhen farq nahi parta

Main tum se rooth jaon to
Tumhare pas na aon to

Phir tum se door ja kar main
Kabhi wapas na aon to

Tumhari yaad mein gum sum
Kabhi ansu bahaon to

Tumhare piar mein aksar
Khud ko bhol jaon to

Main teri deed mein tanha
Kabhi khud ko mitaon to

Main tum se dur reh kar phir
Akeley mar bhi jaon to

Tumhen farq nahi parta

Sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki

Sakoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
K hai mazeed udasi dawa udasi ki

Amoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhal nahi
Yahan faqat teri chalti hai ya udasi ki

Bahot shareer tha main aur hansta phirta tha
Phir aik faqeer ne de di dua udasi ki

Chiragh-e-dil ko zara ehtiat se rakhna
K aaj rat chale gi hawa udasi ki

Bahot dino se mulaqat hoi nahi Mohsin
Kahin se kher khabar le k ao udasi ki

Mohabbat khushbu aur wafa thi

Mohabbat khushbu aur wafa thi, Kia waja thi?
Kabhi ye zindagi dast-e-hina thi, Kia waja thi?

Ye khawhish thi k uss ki mang mein bharta sitare
Magar hathon mein zanjeer-e-ana thi, Kia waja thi?

Mere dushman ki baton ka sahara dhondti thi
Mujh hi se zindagi meri khafa thi, Kia waja thi?

Uss k khad-o-khal bhi aam se, lehja bhi sada
Bhari mehfil se magar wo juda thi, Kia waja thi?

Q mujh ko dar pe laya gia tha soch aye dil
Teri ghalti thi ya meri khata thi, Kia waja thi?

Kuch khud bhi the afsurda se

Kuch khud bhi the afsurda se
Kuch log bhi ham se rooth gaye

Kuch khud hi zakham k aadi the
Kuch sheeshe hath se toot gaye

Kuch khud bhi itne mihtat na the
Kuch log bhi ham ko loot gaye

Kuch talk hakeekaten theen itni
K khawb hi sare toot gaye

lab-e-dariya teri zulfen bikhar jane ka mosum ha

lab-e-dariya teri zulfen bikhar jane ka mosum ha
khumar-o-kaif se ankhon mein bhar jane ka mosum ha

darakhto per salamat ha abhi malboos patton ka
abhi gulshan mein pholon k nikhar jane ka mosum ha

barish, hawa aur samne ye jheel ka manzar
bhala ye bhi meri jaan chor k jane ka mosum ha?

aisi hasrat mein tere labon se phool jharte hain
ye sawan teri baton pe mar jane ka mosum ha

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,
Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,
Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,
Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,
Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,
Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,
Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Jo Darmiya Tha Mitaya Na Jaa Saka..

Saza pe chor dia kuch jaza pe chor dia

Saza pe chor dia kuch jaza pe chor dia
Her aik kaam ko main ne Khuda pe chor dia

Wo mujh ko yaad rakhe ga ya phir bhula dega
Ussi ka kaam tha uss ki raza pe chor dia

Ab uss ki marzi bujha de ya phir jala rakhe
Chiragh ham ne jala kar hawa pe chor dia

Ab uss se baat bhi karte to kis trah karte
Ye masla ana ka tha, ana pe chor dia

Issi liye to wo kehte hain bewafa mujh ko
K main ne sara zamana wafa pe chor dia

Safar-e-wafa ki raah mein manzil jafa ki thi

Safar-e-wafa ki raah mein manzil jafa ki thi
Kahhaz ka ghar bana k bhi khawhish hawa ki thi

Thi jugnuon k shehr mein taaron se dushmani
Ma'ashooq chaand tha aur tamana subha ki thi

Tum ne to ibadat ka tamasha bana dia
Chahat namaz ki thi per adat qaza ki thi

Main ne to Zindagi ki tere naam likha tha
Shayed kuch aur hi marzi Khuda ki thi

Dara hi dena tha to pehle bata dete
Ham ko bhi azal se hi tamana saza ki thi

Mana k aaj hum Akely reh gye

Mana k aaj hum Akely reh gye

judai k Aansu Aankho se beh gye

Roye to kon chup krwaye ga humain

jo chup krwaty thy wo he roney ko keh gye.

Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thein

Kuch Raat Ki Aankhain Bhegi Thein,

Aur Chand Bhi Rootha Rootha Tha,

Khuch Yaadain Uski Baqi Thein,

Aur Dil Bhi Toota Toota Tha,

Kis Mor Pe Bichre Yaad Nahi,

Honton Pe Koi Faryaad Nahi

Us Wade Ki Bhi Khabar Nahi

Wo Sacha Tha Ya Jhota Tha,

Har Lamha Aahain Bharte Hain

Na Jeete Hain

Na Marte Hain,

Bus Aik Dua Ye Karte Hain

Ab Loat K Wapas Aa Jao..!

Ab Loat K Wapas Aa Jao.. .

Chaira jo Main kankar se thehre pani ko

Chaira jo Main kankar se thehre pani ko
To dagh daar kar dia uss ne meri kahani ko

Sab geet aur khushian na khatam kar le bahar mein
Khizan mein roti phiro gi keh do bulbul dewani ko

Kabhi mil jao hamrah yar k kisi mor per mujhe
Nigahen phair lena, mujh se bhula kar dosti purani ko

Hamrah raqeeban mujhe pojne aye wo meri turbat pe
Kar hi lia kharab uss ne apni shaam suhani ko

Her roz nishter sahe nahi jate jab uss ki yadon k
Phir sochte hain bhool jaen iss ik anjani ko

Kabhi k urr jate jo aseer na hote ulfat-e-sayyad k
Magar Yahi chahen ge qa'im rakhen uss ki bad gumani ko

Chaira jo main ne kankar se thehre pani ko
To dagh dar kar dia uss ne meri kahani ko

Tu ne phir thukra dia

Tu ne phir thukra dia, To kia hoa?
Zakham phir taza hoa, To kia hoa?

Apne milan mein aik haan ki dair thi
Tujh se wo bhi na joa, To kia hoa?

Aik mera dil tumhare ishq mein
Be-waja ruswa hoa, To kia hoa?

Tere jane se hoa kuch to nahi
Dard agar ziada hoa, To kia hoa?

Jis ko chaha ham ne sari zindagi
Wo hamara na hoa, To kia hoa?

Aur bhi hon ge hazaron ahl-e-dil
Main agar tanha hoa, To kia hoa?

Kabhi mere liye tere deedar bahot the

Kabhi mere liye tere deedar bahot the
Hamen iss dil per tabhi akhtiar bahot the

Dil-o-jaan kia her cheez hi ganwa li
Bas kisi per hamen aitebar bahot the

Tumhara khayal bhi na bheega barshon se
Panah gah k shajar saya dar bahot the

Jhank kar lab-e-bam se peeche hat gaye
Log kehte hain tum milansar bahot the

Bazam-e-aitebar mein tujhe dekha, dil ro para
Iss nadan per hamen akhtiar bahot the

Maat dete tujhe apni haar se bhi
Hamari saffon mein magar ghaddar bahot the

Ham aa to jate teri bazm mein
Per iss mein madoo aitebar bahot the

Auron ki be-rukhi mat ginwao mujhe
Khud tum bhi kabhi wafadar bahot the

Hairat hai mehfil mein tanha hai aj wo
Kabhi dasht mein jis k yaar bahot the

Kiyon dhondon qatil ko shehr dar shehr
Bas tum hi mere razdar bahot the

Poet: Muhammad Fayyaz Mahi

Suno! Tum meri jaan ho

Suno! Tum meri jaan ho
Iss dil k mehman ho
Aankhon ki zuban parh kar bhi
Kiyoun chahat se anjan ho?
Suno! Tum meri jaan ho
Iss dil k mehman ho
Pooja se bara koi darja nahi
Na poojne ki koi waja nahi
Shayed kisi ne tum se kaha nahi
Tum zameen nahi mera aasman ho
Suno! Tum meri jaan ho
Main sangeet hon tum geet ho
Sab adv mere mere tum meet ho
Tujhe gaon, tujhe likhon esi reet ho
Tera sath ho dunia hairan ho
Suno! Tum meri jaan ho
Iss dil dil k mehman ho

Poet: Muhammad Fayyaz Mahi

Kia yaad karo ge tum ko bhula dete hain

Kia yaad karo ge tum ko bhula dete hain
December ki sard raton mein wada nibha dete hain

Jis ka bhi hath thamo, tumhen tum sa hi mile
Ham hain moj mein, tumhen dua dete hain

Matti na girne paye mere kafan per khayal rahe
Naye kapron ki laaj rakhna, sada dete hain

Ik sang trash poojta hai tujhe to takabur kesa?
Ye log to pathron ko bhi khuda bana dete hain

Tere janaze ka ahteram kesa tum to gum nam ho?
Jo namwar hain un ko bhi khamshi se dafna dete hain

Mana k maye kash hain magar itne bhi madhosh nahi
Koi bhi tera naan le to sir apna jhuka dete hain

Sodagari k zo'om mein cheezen to paidar becho
Toote hoe dil to ham bhi baka dete hain

Mere khattaon ko sanbhal rakhna

Mere khattaon ko sanbhal rakhna
Her aik mushkil ko taal rakhna

Ham maan len khuda tujh ko agar
Hamrah aroj k tum na ziwal rakhna

Chalao seene pe tanz k nishter lekin
Koi dil mein na chubhe khayal rakhna

Bhula dena sab ki trah lamhon mein
Yaad na ham ko mah-o-saal rakhna

Achi hi guzar gai tumhare sath zindagi
Dil mein na ab koi malal rakhna

Koi salwat na pare kafan per Mahi
Bas dafnate hoe ye khayal rakhna

Poet: Muhammad Fayyaz Mahi

Kisi maathe ka jhoomer banana hai

Kisi maathe ka jhoomer banana hai, Mujhe chaand churane do
Kisi anchal ko karna sohana hai, Mujhe chaand churane do

Kuttia mein andhera char su, aandhion se diya bujhne per
Ashkon ko larrion mein sajana hai, Mujhe chaand churane do

Gehn zada hai aaj ye keh kar mat behlao mujhe
Aaj hi to saman sohana hai, Mujhe chaand churane do

Mera geet suno aur so jao, rato ko jagne walo
Phir taaron ko bhi sulana hai, Mujhe chaand churane do

Suna hai sab alam hi motrif hai uss ki farhat ka
Mujhe bhi chandni mein nahana hai, Mujhe chaand churane do

Udas ji na behle ga ab kisi mutarrib geet se
Shab-o-roz yahi mera tarana hai, Mujhe chaand churane do

Unhon ne kaha mehfil mein tum bhi ana tohfa nayab le kar
Ab un ka maan barhana hai, Mujhe chaand churane do

Khafa hai mujh se

Khafa hai mujh se, mujhe preshan karta hai
Ajeeb shakhs hai khud se bad-guman karta hai

Na meri parwa hai, na mere hal ki kuch khabar
Salook wo karne laga hai jese anjan karta hai

Wo mere zikir pe uktana, mujh se katra k guzar jana
Aisa lagta hai jese wo doori ks saman karta hai

Pehle to mujh se milna hi ahm tha jis k liye
Ab milta bhi hai to jese ehsan karta hai

Ta'aluk torna hai to aa k keh de mujh se
Wo esi baten gheron se q bian karta hai

Zamane k hawadis ne kia se kia bana dia

Zamane k hawadis ne kia se kia bana dia
Poojne walon ne patharon ko khuda bana dia

Meri be-kasi pe rona tujhe aye taqdeer q ata hai?
Teri hi anayaton ne mujhe sab se juda bana dia

Zoq-e-khuld mein kho betha main dozakh bhi
Muztrib tha itna keh dua ko bhi shikwa bana dia

Meri zaat-e-tashheer mein shamil tha boseeda pairhen bhi
Jin galion mein raaj tha kabhi inhen ka gada bana dia

Safar mein sham hone tak

Safar mein sham hone tak mere sath reh jao
Naya manzar ubharne tak mere sath reh jao

Laho roti hoi ankhen tere qadmon se lipti hain
Mere ansu thehrne tak mere sath reh jao

Tumhen malom hai mujh ko khizan se khof ata hai
So ye mosum guzarne tak mere sath reh jao

Phir uss k bad jab chaho, jahan chaho chale jana
Meri saansen bikharne tak mere sath reh jao

younhi bay sabab na phira karo

younhi bay sabab na phira karo , koi sham gar ma bee raha karo ,,
wo gazal ki sachi kitab ha usy chupkay chupkay parha karo ......

koi hath bee na milaye ga jo galy milo gay tapak sa ,,
ya naye mizaj ka shehar ha zra faslay sa mila karo ......

abi rah ma kai moor ha koi aye ga koi jaye ga ,,
tumy jis na dill sa bhula dia usy bohlny ki dua karo ......

mujy ishtihar c lagti ha ya muhabatoon ki kahaniyaan ,,
jo kaha nai wo suna karo , jo suna nai wo kaha karo ......

kabhi husan_e_parda nasheen bee ho zra aashiqana libass ma,,
jo ma bin sanwar k kai chalo mery sath tm bee chala karo ........

nai bay'hijab wo chand sa k nazar ka koi assar na ho ,,
k usy itni garm_i_shoq sa bari dair tak NA taka karo ......

ya khizaan ki zard c shal ma jo udass pair(tree) k pas ha ,,
ya tumhary gar ki bahar ha usy aansuoo'n sa hara karo .......

Mujhe aisa dard ata kia

Mujhe aisa dard ata kia jo na hijar tha na visal tha
mere mosumon k mizaj daan tujhe kitna mera khayal tha

khon-e-dil se likha to tha tere saal-e-hijar ka saniha
jo bahot adhora sa reh gia, wo na jane kon sa saal tha

kisi aur chehre ko dekh kar teri shakal zehn mein aa gai
tera naam le k mila usse mere hafze ka ye haal tha

kabhi qurbaton k diyar mein, kabhi chahaton k ghubar mein
wahan umer main ne guzar di jahan saan lena mohaal tha

kuch apne lab-o-lehje ko tabdeel wo karta

kuch apne lab-o-lehje ko tabdeel wo karta
phir ham se biyan ranj ki tafseel wo karta

yak tarfa taqaze to nibhaye nahi jate
kuch apne faraiz ki bhi ta'ameel wo karta

ilzam lagata wo bare shoq se lekin
kuch apne kiye wa'adon ki takmeel wo karta

kuch uss ko bhi ehsas-e-tanhai to hota
kuch khawb mere khawbon se tabdeel wo karta

Usse apne farda ki fikir thi

Use apne farda ki fikar thi
wo jo mera waqif-e-haal tha

Wo jo uski subha urooj thi
wahi mera waqt-e-zawal tha

Mera dard kese wo jaanta
meri baat kese wo maanta

wo to khud fana k safar me tha
use rokna bhi mohal tha

Wo jo is k samne agaya
wahi roshni me naha gaya

Ajab iski hebat thi
ajab iska rang-e-jamaal tha

Dame wapsi are kiya hua
na wo roshni na wo tazgi

Wo sitara kese bikhar gaya
wo to aap apni misaal tha
Kahan jao gay mujhe chor kar
me ye puch puch k thakh gaya

Wo jawab mujhko na de saka
wo to khud sarapa sawal tha

Wo mila to sadyon k baad bhi
mere lab pe koi gila na tha

Use meri chup ne rula diya
jise guftagu me kamaal tha

Wo jo mujh se mil k ro diya
faqat itna hi mujhe keh saka

jise janta tha me zindagi
wo to sirf wehm-o-khayal tha..

Tuesday, March 19, 2013

mera khamosh reh kar b unhe sab kuch suna dena

mera khamosh reh kar b unhe sab kuch suna dena
zaban se kuch na kehna aankh se aansu bha dena

nasheman ho na ho ye falak ka mashghala thehra
k do tinke jahan par dekhna bijli gir dena

ijazat ho to kehddon qissae ulfat sare mehfil
mujhe kuch to fasana yaad he kuch tum suna dena

me mujrim hoon mujhe iqrar he jurme mohabat ka
magar pehle khata par gor kar lo phir saza dena

me uss halat me pohncha hashr wale khud pukar utthay
koi faryad karne aa raha he raasta dena

kahii sunii pe bahut aitbaar karne lage

kahii sunii pe bahut aitbaar karne lage
mire hii log mujhe saNgsaar karne lage

puraane logoN ke dil bhii haiN KhushbuoN kii tarah
zaraa kisii se mile aitbaar karne lage

naye zamaane se aaNkheN nahiiN milaa paaye
to log guzare zamaane se pyaar karne lage

hamaarii saada_mizaajii kii daad de ki tujhe
baGhair parkhe tiraa aitbar karne lage

nazar meN chaRhta nahiiN phir nazar se girta hai
jo had se baRh ke ko_ii iNkisaar karne lage

ko_ii ishaara, dilaasa, na ko_ii vaada magar
jab aa_ii shaam, tiraa iNtizaar karne lage

tujhe hii DhooNDhne nikle the tere diivaane
to ye huaa tirii duniya se pyaar karne lage

Jor daitay hain jo haalaat ko taqdeer k sath

Jor daitay hain jo haalaat ko taqdeer k sath
aql se kaam nahee'n laitay jo tadbeer k sath

dil hai kya cheez falak ko bhi hila sakti hai
lab pe aajaye agar aah, jo taaseer k sath

apnay haq mai kabhi haalat bhi kaisay hotay
be-zari jeenay nahee'n daiti hai tauqeer k sath

ab to kutch aisa zamane ka chalan badla hai
jis taraf daikhiye takhreeb hai taameer k sath

khud-numai ka jinhain zauq hai, aise saahab
apni taarifain kya karte hain taqreer k sath

itne naada'n to nazar aatay nahee'n hamko SHAMEEM
jin se daman na sila, soozan e tadbeer k sath

Samandar kia karen ge

samandar kya karengay qatra e shabnam chura layain
agar mumkin ho, zakhm e hijr ka marham chura layain

baharo'n k chalay janay, khiza'n aanay ka darr naa.. ho
koi aisa mohabbat ka naya mausam chura layain

khabar ho nind ki paryo'n ko, naa khwabo'n ki devi ko
tumhain palko'n ki doli mai bittha kar ham chura layain

hamain jazbaat k sehra ko bhi sairaab karna hai
kisi tutay huwey insaa'n ki, chashm e namm chura layain

tumhara sath ho to aik bas apna hi jeewan kyu'n
jaha'n walo ki saari umr aawo hamm chura layain

sada ki muskurahat unkay honto'n par sajanay ko
chalo "SHAHI" zara chupkay say unkay gham chura layain

Tu hi bata dil e betab ham ko

Tu hi bata dil-e-betab ham ko
Khush rehne k adaab kahan ate hain?

Main to yak musht usse soonp don sab kuch lekin
Aik muthi mein mere khawb kahan ate hain?

Muddaton bad usse dekh k dil bhar aya
Warna sehraon mein sailab kahan ate hain?

Meri be dard nigahon mein agar bhoole se
Nend aye bhi to ab khawb kahan ate hain?

Tanha rehta hon main din bhar bhari dunia mein Wasi
Haalaat bure hon to phir yar kahan ate hain?

Zulm seh kar bhi samjhta hoon k tu mera hai

Zulm seh kar bhi samjhta hoon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai

Mere hathon main chhupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai

Ghir gaya hoon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu mera hai

Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab joo mera hai

Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai

Wafa Ruswa nahi karna

wafa rusva nahi karna....
suno aisa nahi karna....!!

main pehlay he akaili hun...
mjhe tanha nahi karna....!!

judai bhi jo aa jaye...
to dil chota nahi karna....!!

bohat masroof ho jana...
mjhe socha nahi karna...

bharosa bhi zaroori hai...
magar sab ka nahi karna...!!

mukadar phir mukadar hai...
kabhi gila nahi karna....!!

jo likha hai zaroor ho ga...
magar shikwa nahi karna....!!

Jamal e yaar ko tasveer karne wale the


Rait bhari hai in aankho'n mai aansoo se tum dho lena

Rait bhari hai in aankho'n mai aansoo se tum dho lena
Koi sookha pairh mile to uss se lipat ker ro lena

Uss ke baad boht tanha ho jaisey jungal ka rusta
Jo bhi tum se pyar se boley saath usi ke ho lena

Kuchh to rait ki pyas bujhao janam janam ki pyasi hai
Sahil per chalne se pehle apne paao'n bhigo lena

Maine dariya se seekhi hai paani ki parda daari
Ooper ooper hanste rehna gehrai mai ro lena

Rote kyu'n ho dil walon ki qismat aisi hoti hai
Sari raat yun hi jagoge din nikle to so lena

thehri thehri si tabeeyat mai rawani aayee

thehri thehri si tabeeyat mai rawani aayee
aaj phir yaad mohabbat ki kahani aayee

aaj phir neend ko aankho'n se bitcharhtay daiklha
aaj phir yaad koi chaut purani aayee

muddato'n baad chala unpay hamara jaadoo
muddato'n baad hamain baat batani aayee

meddato'n baad pasheemaa'n huwa darya hamsay
muddato'n baad hamain pyaas chhupani aayee

muddato'n baad khuli wuss'atay sehra ham par
muddato'n baad hamain khaak urhani aayee

muddato'n baad mayassar huwa maa'n ka aanchal
muddato'n baad hamain neend suhani aayee

itni aasani say milti nahee'n fann ki daulat
dhal gayee umr to ghazlo'n pe jawani aayee

Maqrooz k bigray huye halaat ki manind

Maqrooz k bigray huye halaat ki manind,
Majboor k honton pe sawalaat ki manind

Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hay,
selaab mein barbad makanaat ki manind,

mein un mein bhatakte huye jugnu ki tarha hun,
us shakhs ki aankhain hain kisi raat ki manind,

Dil roz sajata hun mein Dulhan ki tarhan se,
Gham roz chalay atay hain Baraat ki manind,

Ab ye bhi nahi yaad k kia naam tha us ka,
jis shakhs ko maanga tha manajaat ki manind,

kis darja muqaddas hay tere qurb ki khawhish,
Masoom se bachay k khayalaat ki manind,

us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hay,
mein pyas ka sehra hun, wo barsat ki manind.

Mujh ko dhoond leta ha

mujhko dhoondh laita hai nitt-naye bahanay say
dard ho gaya waqif meray harr thhikanay say

chal dya maseeha bhi dard sonp kar apnay
baaz wo nahi aata mujhko aazmanay say

kutch kahain tau ruswai, chup rahain tau saudayee
dil nikal nahee'n pata aisay tanay banay say

ab nazar nahee'n utth'ti uss ki bazm mai ham par
ham qadar ganva'n baithay rauz aanay janay say

gham ghusar saa diya sath kab talak daita
ho gai hai khamoshi uss kay doob janay say

aik do ki baat nahee'n ann-ginat samaitay hain
kab ye dil sambhalta hai aik gham bhulanay say

sar jhukaye maazi say khud ko khojta hai tu.....
aur kya milayga ab iss gharib khanay say

bolo kya maza paya zindagi say ai KHALISH
ajnabi rahay khud say ajnabi zamanay se

Ranj kitna bhi karen

ranj kitna bhi karen inka zamanay walay
janay walay to nahi loatt k anay walay

kesi be faiz i reh jati hay dil ki bati
kesay chup chaap chalay jatay hen janay walay

aik pal chheen k inan ko lai jata hay
peechay reh jatay hain sb saath nibhanay walay

log kehtay hen k too door ufaq paar gya
kia kahoon ay meray dil mai utar anay walay

janay walay teray marqad pa khara ochta hun
khaab hi ho gaye tabeer btanay walay

her nya zkhm kii or k inay ka saood
chair jata hay meray zkhm puranay walay

tum aisa karna koi jugnu koi sitara sanbhal rakhna


jab bhii dekha mere kirdaar pe dhabba koi

jab bhii dekha mere kirdaar pe dhabba koi
der tak baiTh ke tanhaaii meN royaa koi

log maazii ka bhii aNdaaza lagaa lete haiN
mujhko to yaad nahiiN kal ka bhii qissa koi

be_sabab aaNkh meN aaNsoo nahiiN aaya karte
aap se hogaa yaqeenan meraa rishtaa koi

yaad aane lagaa ek dost ka bartaav muje
TooT kar gir paRha jab shaaKh se patta koi

baad meN saath nibhaane kii qasam khaa lena
dekh lo jaltaa huaa pahale pataNgaa koi

usko kuchh der sunaa leta hooN roodaad-e-safar
raah meN jab kabhii mil jaata hai apnaa koi

kaise samajhega bichhaRhna vo kisii ka ''Raana''
TooT'te dekhaa nahiiN jisne sitaara koi

Munavvar ''Raana''

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai
magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hai
Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hai
Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hain
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hai
Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage
Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta
Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama
Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hai
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hai
Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hai
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai
mohobbat ek ehsason ki paawan si kahaani hai
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe to paani hai
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya
Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama
Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama
Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai
Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain
Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage
Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Shaam k saye jo soraj ko chupane nikle

Shaam k saye jo soraj ko chupane nikle
ham diye le k andheron ko jalane nikle

aur to koi na tha jo jurm-e-baghawat karta
aik ham hi the jo ye rasm nibhane nikle

shehr mein, dasht mein, sehra mein bhi tujh ko paya
aye gham-e-yar tere kitne thikane nikle

chand nikla to main logoon ko lipat kar roya
gham k ansu the jo khushio k bahane nikle

Adhora khatt

"Adhoora khat"

Use main ne hi likha tha,

Keh lehjay barf ho jain,

To phir pighla nahi kartay,

Parinday dar kay urr jain,

To phir laot nahi kartay,

Use main ne hi likha tha,

Yaqeen uth jaye to phir shayad.!

Kabhi wapis nahi aata,

Hawaon ka koi tofan,

Kabhi barish nahi lata,

Use main ne hi likha tha,

Keh mukamal khat deewanay,

Kabhi likha nahi kartay.!!

Suno...!

Adhoora khat osay main ne hi likha tha...!!!

chalo ab dekh letay hain manata kon hay kis ko?

Tumhain jo be-sabab mujh se khafa honay ki aadat hay

ye aaghaz-e-judai hay? keh andaz-e-mohabbat hay?

wafa key rang mein dekho, jafa achi nahi hoti

kisi se dosti mein itni Anaa achi nahi hoti

chalo ab maan bhi jaao, bohut ab ho chuki "Ranjish"

kisi din or kar lena, ye puri apni tum khawish

faqat kenay ki baatain hain, nibhata kon hay kis ko?

chalo ab dekh letay hain manata kon hay kis ko?

Chalo tum ko milata hon

Chalo tum ko milata hoon main us mehman say pehlay

jo mere jism mein rehta tha meri JAAN se pehlay

koe khamosh ho jaye to us ki khamoshi se drr

samandar chup hi rehta hay kisi tufan se pehlay

mujhay ji bhar kay apni moat ko to dekh lenay do

nikal jaye na meri JAAN is arman se pehlay

meri aankhoon se behtay motiyon ka silsala dekho

ye mala toot jati hay teri muskan se pehlay

purana dost hoon tera, mera ye farz hay

tujhay hosheyaar kar doon main tere nuqsan se pehlay.

Maqrooz k bigre hoe halat ki trah

Maqrooz k bigray huye halaat ki manind,
Majboor k honton pe sawalaat ki manind

Dil ka teri chahat mein ajab haal hua hay,
selaab mein barbad makanaat ki manind,

mein un mein bhatakte huye jugnu ki tarha hun,
us shakhs ki aankhain hain kisi raat ki manind,

Dil roz sajata hun mein Dulhan ki tarhan se,
Gham roz chalay atay hain Baraat ki manind,

Ab ye bhi nahi yaad k kia naam tha us ka,
jis shakhs ko maanga tha manajaat ki manind,

kis darja muqaddas hay tere qurb ki khawhish,
Masoom se bachay k khayalaat ki manind,

us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hay,
mein pyas ka sehra hun, wo barsat ki manind.

Tukre tukre Umaron ki muskan pari thi


ٹکڑے ٹکڑے عمروں کی مسکان پڑی تھی
جان بدن سے دور کہیں انجان پڑی تھی
کسی کی آنکھوں میں پتھرائی حیرانی تھی
کہیں کہیں کوئی آنکھ بہت سنسان پڑی تھی
ایک طرف اک پرس پڑا تھا گڑیا کا
ایک طرف اک گڈے کی بنیان پڑی تھی
پتی پتی پھول ہوا میں بکھر گئے تھے
اور زمیں پہ جھلسی ہوئی پہچان پڑی تھی
کس چوڑی میں کس کے ہاتھوں کا ریشم تھا
کس جوتے میں کن پیروں کی شان پڑی تھی
کوئی جگر تھا، کوئی کلیجہ اپنی ماں کا
کس تابوت میں جانے کس کی جان پڑی تھی
(فاضل جمیلی)