Thursday, March 21, 2013

Nend ankhon mein musalat nahi hone deta

Nend ankhon mein musalat nahi hone deta
wo mera khawb mukammal nahi hone deta

ankh k sheesh mehal se wo kisi bhi lamhe
apni tasveer ko ojhal nahi hone deta

rabta bhi nahi rakhta hai sar-e-wasl koi
aur ta'aluk bhi muatal nahi hone deta

wo jo aik shehr hai pani k kinare yaaro
apne atraf mein daldal nahi hone deta

dil to kehta hai usse lout k ana hai yahin
ye dilasa mujhe pagal nahi hone deta

No comments:

Post a Comment