Tuesday, December 17, 2013

Ab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Mein

Ab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Mein
Her Tarah Ka Husn Dekha Uss Ke Khad-O-Khaal Mein

Chal Rahi Hai Ye Zameen Zandaan Ki Chakki Ki Tarah
Pis Rahay Hain Log Kia Kia Iss Ke Maah-O-Saal Mein

Misl-E-Maahi Waqt Ke Haathon Se Phisli To Buhat
Phans Gai Aaker Jawani Jhurrion Ke Jaal Mein

Inteha'on Per Rahay Hum Darmiaan Thehray Nahi
Aasmaan Ki Auj Per Ya Gir Gaye Pataal Mein

Ye Bhi Kia Insaaf Hai Ay Munsif-E-Wasl-O-Firaaq
Uss Ki Aadhi Bhi Jhalak Dekhi Na Pooray Saal Mein

Ibtida Se Hashr Tak Sab Teen Pinjron Main Hain Qaid
Koi Maazi, Koi Mustaqbil Main, Koi Haal Mein

Teen Sau PainsaTh (365) Dareechay Waqf Sooraj Ke Liye
Chaand Ki Khatir Bani Baara dari Her Saal Mein

Mainay Socha Tha Kisi Ko Main Dhoka Doon Adeem
Shakl Apni He Nazar Aai Sabhi Ashkaal Mein

Adeem Hashmi

No comments:

Post a Comment