Wednesday, December 4, 2013

Aakhri chand din december ke

Aakhri chand din december key
har baras hi giraan guzartay hain
khahishoon kay nigaar khanay mein
kaisay kaisay gumaan guzartay hain
raftagaan kay bikhartay saalon ki
aik mehfil si dil mein sajti hai
phone ki diary key safhoon say
kitnay number pukartay hain mujhay
jin say marboot be-nawa ghanti
ab faqat meray dil mein bajti hai
kis qadar pyaray pyaray naamoon per
raingti bad numa lakeerain si
meri aankhoon mein phail jati hain
doorian daairay banati hain
her december kay aakhri din mein
her baras ki tarha say ab kay bhi
diary ik sawal kerti hay
kiya khaber is baras kay aakhir mein
meray in be-chirag safhoon say
kitnay hi naam kut gaye ho ge
her december mein sochta hoon main
aik din is tarha bhi hona hai
rang ko roshni mein khona hai

No comments:

Post a Comment