Friday, December 6, 2013

december ki thitharti raat laut aye

December ki thitharti aik shab woh mere paas aai
mujhe kehne lagi ke 

Aaj sab kuch chor aai hoon
tumhare piyar mein saare hi rishte tor aai hoon
woh ghabrai hui, tooti hui, bikhri hui larki
mujhe kehne lagi ke

utho
Yahan se door chaltay hain
bahot hi door chaltay hain
tumharay bin kissi soorat 

mujhay zinda nahi rehna
mujhay zinda nahi rehna, 

mujhay zinda nahin rehna
woh zaar-o-zaar ro di, 

aur phir mujh mein simat aai
woh apne aansu se bas yahi faryad karti thi

chalo jaldi karo
iss shehar se hum bhag chaltay hain
bahot hi door chaltay hian
uss aik saal mein main ne baar haa socha
k us k hukam par 

us k kahe par sar jhuka doon
yeh socha baar haa 

us ko bhaga kar door le jaoon
woh ik tooti hui larki
woh mere piyar mein mehki hui
masoom si larki
mere seenay se lag kar der tak roti rahi

uss shab
woh iss ehsaas mein gum thi
keh manzil mil gai uss ko
mere khamosh chehray ki taraf woh dekhti
bas dekhti jaati
uss ik sa'at mere andar kai toofaan barpa thay
na-janay kis tarah main ne 

kaha uss se
keh bas ab laut jao
laut jana phir nahi aana
“khuda ra phir nahi aana”
meri yeh baat sun kar
uss nay ik be yaqeeni se mujhe dekha
woh larki shidat-e-gham se tarap uthi
sulag uthi
sakoot-e-marg kay aalam mein
woh darwazay ki janib aik dam lapki
woh larki phir nahi aai
woh ik bikhri hui larki
kabhi wapis nahi aai

Bahot din baad kal dekha
ussay ik ajnabi ke sath gaari mein
aur us ki gaud mein piyara sa ik bacha
humakta tha
woh larki kis qadar khush thi
bahot chaha tha keh main uss ko bhaga kar door le jaoon
bahot chaha december ki thitharti raat laut aye

No comments:

Post a Comment