Saturday, December 21, 2013

Bahot hi muddat k baad kal jab

Bahot hi muddat k baad kal jab
Kitab-e-Mazi ko main ne khola
Bahot se chehre nazar mein utre
Bahut se namon pe dil paseeja
Ik aisa safah bhi us mein aya
Likha hoa tha jo aansu se
K jis ka unwaan 'HUMSAFAR' tha
Woh safah sab se motbar tha
Kuch aur aansu phir us pe tapke
Phir uss se aagey main parh na paya
Kitab-e-Mazi ko band ker k
Us ki yaadon mein kho gaya main
Agar woh milta to kaisa hota
Inhi khayalon mein so gaya main

No comments:

Post a Comment