Thursday, December 5, 2013

phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

Phir December Mein Khuli, Guzray December Ki Kitaab
dil k angan mein khila phir tere chehray ka gulab

thay jaisay phool say sandal say mehektay huye haath
paish kartay huye coffe wo khanaktay huye haath
mujh ko chonay ki tamanna mein jhijhaktay huye haath
aur hathon me simatta hua wo sara hijaab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

thithartay huye wo lab hain na un ka ghaaza
kitni sardi hai yeh kis tarah say ho andaazaa
band hota hua ahista say ek darwaazaa
keh raha hai abhi utha hai sarhany say wo khawab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

yaad jab aye wo lub jaag utha sara badan
khushk maiwon ki lehek say chamak utha yeh dehen
khajl-e-shab mein wo simti hui sardi ki dulhan
barf mein lipta ho jis tarah say sholay ka shabab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

garam sanson k siwa sard sa sara kamra
teray chehray k siwa dard sa sara kamra
ab to hai dil ki tarah dard sa sara kamra
ab to aik piyas hai aur door talak aik sarab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

yeh khizan aur yeh girtay huye patton ka shor
jism shal karti hui khushk hawaon ka yeh zor
mujh ko khenchay lye jati hain ghataen tere aour
to wahan hai, yahan main, haye yeh doori ka azaab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

tum gaye jab say wahin tham gayi sardi ki yeh raat
jaisay honton pe hi reh jaye adhori koi baat
jaisay hathon mein aa kar koi nikal jaye woh haath
jaisay dekhay koi raton ko adhora koi khawab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

dhoop ki naram chamakti jaaron ki wo subh
aout say jhanktay shafaaf paharon ki wo subh
adh khilay nain dareechon ki dararon ki wo subh
nikhra nikhra sa tere tarah wo din ka shabab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

roz ankhon mein guzarti hai teray baad yeh raat
mujh say kaatay nahi katti teray baad yeh raat
munh lapaitay pari rehti hai teray baad yeh raat
raat ek baar khula phir say tere yaad ka baab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

wo teray saath december ki guzaari hui shaam
tez khanjar ki tarah dil mein utari hui shaam
laut k ai nahi phir wo pukari hui shaam
phir nahi dekha koi jagti ankhon kabhi khawab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab

phir december hai ussi tarah say tanha hai koi
adh khula darr hai ussi tarah say tanha hai koi
phir wohi ghar hai ussi tarah say tanha hai koi
phir wohi hijr wohi hai shab-e-hijran ka azaab

phir december mein khuli, guzray december ki kitaab
phir december mein khuli, guzray december ki kitaab .

No comments:

Post a Comment