Saturday, October 26, 2013

Tera banda teri tauseef-o-sana karta hai

Tera banda teri tauseef-o-sana karta hai
Mera her sans tera shukar ada karta hai

Tere agey meri jhukti hoi peshani se
Meri her subah ka aghaz hoa karta hai

Rizq pohnchata hai pathar mein chupey keerey ko
TU hi sokhi hoi shakhon ko hara karta karta hai

Geet gati hain baharen TERI takhleeq k
Seena-e-sang se jab phool khila karta hai

Bara nadan hai TUJHE door samajhne wala
TU rag-e-jaan se bhi nazdeek raha karta hai

No comments:

Post a Comment