Friday, April 19, 2013

hamaisha dair kar deta hon main

hamaisha dair kar deta hon main har kaam karnay mein

Zarori baat kahni ho,
koi wa'da nibhana ho,
usse awaz deni ho,
usse wapas bulana ho,

hamaisha dair kar deta hon main
 
madad karni ho uss ki, 
yaar ki Dhaaras bandhaana ho,
bahut daireena raston per,
kisi se milne jana ho,
hamaisha dair kar deta hon main
 
badaltay mosamon ki sair mein dil ko lagana ho,
kisi ko yaad rakhna ho,
kisi ko bhool jana ho,

hamaisha dair kar deta hon main
 
kisi ko mout se pahle ,
kisi Gham se bachana ho,
haqeeqat aur thie kuch, us ko jaa k yeh batana ho,
 
hamaisha dair kar deta hon main

No comments:

Post a Comment