Tuesday, April 23, 2013

Nazar mila kay zara daikh

Nazar mila kay zara daikh, mat jhukaa AANKHAIN
Barrha raheen hay nigahoon ka hosla AANKHAIN

Jo dil main aks hay Aankhoon say woh bhi jhalkay ga
Dil aaina hay magar dil ka aaina AANKHAIN

Woh aik sitaara thaa jaanay kahaan gira hogaa
Khala main dhoond rahee hain na jaanay kiya AANKHAIN

Qareeb e jaan dam e khalwat magar sar e mahfil
Hain ajnabi say bhee barr kar woh Aashna AANKHAIN

Ghum e hayat nay fursat nadi tahernay kii
Pukarti hi raheen mujh ko bay sada AANKHAIN

Tabahiyoon ka kissi nay agar sabab poochaa
Zaban e haal nay baysaakhta kaha AANKHAIN

Jhatak chuka tha main gard e malal chahray say
Chupa sakeen na magar dil ka maajraa AANKHAIN

yeh uss ka tarz e takhatib bhi khoob hay MOHSIN
Ruka ruka sa tabassum,khafa khafa si AANKHAIN

No comments:

Post a Comment