Tuesday, April 30, 2013

Main jab bhi teri yaadon ka sahara thaam leta hoon

Main jab bhi teri yaadon ka sahara thaam leta hoon!  
Bhula deta hoon dard-o-gham zara aaram leta hoon!

 Na'jane kon sa jazba mujhe majboor karta hai!  
Main aksar be'khudi mai bhi tumhara naam leta hoon!

 Yaqeen karta nahi koi bhi meri be'gunahi ka!
Main khud chup chap apne sar pe har ilzam leta hoon!

 Mujhe har baat par rona kabhi acha nahi lagta!
Isi khatir main apne gham hansi mai taal deta hoon.. !!

No comments:

Post a Comment