Saturday, January 4, 2014

bhula paon ga kia kia main milan se phir bicharne tak

teri ankhen, tabbassum lab, teri zulfen bikharne tak
bhula paon ga kia kia main milan se phir bicharne tak

mera jeewan andheron mein andhera ban gia ab to
kahin ab kho na jaon main, naya soraj ubharne tak

mujhe maloom tha kab ye, hamen aise bicharna hai
hamen to sath chalna tha, issi chahat mein marne tak

meri to zindagi mein her inayat bas ussi ki thi
mujhe abad karne se, mujhe barbad karne tak

jo bigra hon to ab aasan nahi mera sudhar jana
bahot hi waqt lagta hai bigarne se sudharne tak

for more poetry visit
www.urdujazeera.com

No comments:

Post a Comment