Wednesday, November 27, 2013

roz barhta hon jahan se aage

roz barhta hon jahan se aage
phir wahin laut ke aa jata hon
baar ha tor chuka hon jin ko
inhi deewaron se takrata hon
roz baste hain kai shehr naye
roz dharti mein sama jate hain
zal-zalon mein thi zara si girah
wo bhi ab roz hi aa jate hain

jism se rooh talak rait hi rait
na kahin dhoop, na saya, na saraab
kitne arman hai kis sehara mein
kaun rakhta hai mazaaron ka hisaab
nafz bujhti bhi bharakti bhi hai
dil ka mamool hai ghabrana bhi
raat andhere ne andhere se kaha
ik aadat hai jiye janaa bhi

qaus ek rang ki hoti hai tuluu'a
ek hi chaal bhi paimana bhi
goshe goshe mein khari hai masjid
mushkil kya ho gai maykhaane ki
koi kehta tha samandar hon main
aur meri jaib mein qatra bhi nahi
Khairiyat apni likha karta hon
ab to taqdeer mein khatra bhi nahi

apne haathon ko parha karta hon
kabhi quraan kabhi geeta ki tarah
chand rekhaon mein samaon main
zindagi qaid hai seeta ki tarah
raam kab lauten ge malom nahi
kaash raavan hi koi aa jata

No comments:

Post a Comment