Monday, November 25, 2013

ye tasalli hai k hain nashad sab

ye tasalli hai k hain nashad sab
main akela hi nahi, hain barbaad sab

sab ki Khatir hai yahan sab ajnabi
aur kehne ko hain ghar abad sab

bhool ke sab ranjishen sab ek hain
main bataon sab ko ho ga yaad sab

sab ko dawa-e-wafa sab ko yaqeen
is adakari mein hain ustaad sab

shrhr ke hakim ka ye farmaan hai
qaid mein kehlaen ge aazad sab

chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab fursat sune fariyaad sab

talkhiyan kaise na ho ashaar mein
ham pe jo guzri hai ham ko yaad sab
 
Javed Akhtar

No comments:

Post a Comment