Wednesday, November 27, 2013

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
mujh se bikhre huye gesu nahi dekhe jate
surkh aankhon ki qasam kanpati palkon ki qasam
thar-tharate huye aansu nahi dekhe jate

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
choot jane do jo daaman-e-wafa choot gaya
kyun ye laghzeeda kharami ye pashemaan nazari
tum ne tora nahi rishta-e-dil toot gaya

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
meri aahon se ye rukhsar na kumla jaen
Dhoondti ho gi tumhen ras mein nahai hui raat
jao kaliyan na kahin sej ki murjha jaen

ab tum aaghosh-e-tasawur mein bhi aya na karo
main is ujre huye pehlu mein bitha lon na kahin
lab-e-sheereen ka namak, aariz-e-namakeen ki mithaas
apne tarse huye honthon mein chura lon na kahin

No comments:

Post a Comment