Wednesday, November 27, 2013

ho ke majboor mujhe us ne bhulaya ho ga

rooh bechain hai ik dil ki aziyat kya hai
dil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
wo mujhe bhool gai is ki shikayat kya hai
ranj to ye hai ke ro-ro ke bhulaya ho ga

wo kahan aur kahan kaahif-e-gham sozish-e-jaan
us ki rangeen nazar aur naqoosh-e-hirmaan
us ka ehsaas-e-lateef aur shikast-e-armaan
tanzan ek zamana nazar aya ho ga

jhuk gai ho gi jawan-saal umangon ki jabeen
mitt gai ho gi lalak doob gaya ho ga yaqeen
cha gaya ho ga dhuan ghoom gai ho gi zameen
apne pehle hi gharonde ko jo dhaya ho ga

dil ne aise bhi kuch afsaane sunaye hon ge
ashk aankhon ne piye aur na bahaye hon ge
band kamre mein jo khat mere jala-aye hon ge
ek ik harf jabeen par ubhar aya ho ga

us ne gabhra ke nazar laakh bachai ho gi
mita ke ik naqsh ne sau shaql dikhai ho gi
mez se jab meri tasveer hatai ho gi
har taraf mujh ko tarapta hua paya ho ga

be-mahal cheer pe jazbat ubal aye hon ge
gham pashemaan tabassum mein dhal aye hon ge
naam par mere jab aansu nikal aye hon ge
sar na kaandhe se saheli ke uthaya ho ga

zulf zid kar ke kisi ne jo banai ho gi
rutt jalwon pe Khizaan aur bhi chhai ho gi
barq ashvon ne kai din na girai ho gi
rang chehre pe kai roz na aya ho ga

ho ke majboor mujhe us ne bhulaya ho ga
zehar chup kar ke dawa jaan ke khaya ho ga

No comments:

Post a Comment