Wednesday, November 27, 2013

aaj sajde wohi aawara hue jaate hain

ik yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai
dosto main kisse ye soz-e-nihan nazar karon?
koi qaatil sar-e-maqtal nazar ata hi nahi
kis ko dil nazar karon aur kisse jaan nazar karon?

tum bhi mehboob mere tum bhi ho dildaar mere
aashna mujh se magar tum bhi nahi tum bhi nahi
khatam hai tum pe maseeha nafsi charagari
mehram-e-dard-e-jigar tum bhi nahi tum bhi nahi

apni laash aap uthana koi aasan nahi
dast-o-baazu mere nakara hue jaate hain
jin se har daur mein chamaki hai tumhari dehleez
aaj sajde wohi aawara hue jaate hain

door manzil thi magar aisi bhi kuch door na thi
le ke phirti rahi raste hi mein wehshat mujh ko
ek zakhm aisa na khaya ke bahar aa jati
daar tak le ke gaya shauq-e-shahaadat mujh ko

raah mein Toot gaye paaon to malom hoa
juz mere aur mera rah_numa koi nahi
ek ke baad Khuda ek chala ata tha
keh diya aqal ne tang aa ke 'Khuda koi nahi'

No comments:

Post a Comment