Tuesday, November 26, 2013

ghul raha hai sara manzar

ghul raha hai sara manzar, sham dhundli ho gai
chandni ki chadar orhay har pahari so gai

narm hai jitni hawa utni fiza khamosh hai
tehniyon par aus pi kar har kali be-hosh hai

mor par karwat liye ab oonghtay hain raastay
door koi ga raha hai janay kis ke waastay

yeh sakoon mein khoi waadi noor ki jageer hai
doodhiya parday k peechay surmari tasweer hai

dhul gai hai rooh lekin dil ko yeh ehsas hai
yeh sakoon bas chand lamhon ko hi mere pas hai

faslon ki gard mein yeh sadgi kho jaye gi
shehr ja kar zindagi phir shehr ki ho jaye gi!

No comments:

Post a Comment