Friday, November 29, 2013

Ajal se khouf zada zeest se dare huwe loug

Ajal se khouf zada zeest se dare huwe loug
so jee rahe hain mere sheher mein mare huwe loug

yeh be dili kisi aafat ka paish e khaima na ho
ke chashm basta hain, zaanon pe sar dhare huwe loug

na koi yaad, na aansu, na phool hain, na chiragh
to kya deyaar e khamoshan se bhi pare huwe loug

hawa e hirs sabhi ko uraye phirti hai
yeh gird baad e zamana yeh bhus bhare huwe loug

yeh dil sanbhalta nahi hai vida e yaar ke baad
ke jaise so na saken khawab mein dare huwe loug

kuch aisa zulm ka mousam theher gaya hai Faraz
kisi bhi aab o hawa mein na phir hare huwe loug

No comments:

Post a Comment