Thursday, November 28, 2013

aaj ki raat bahot garam hawa chalti hai

aaj ki raat bahot garam hawa chalti hai
aaj ki raat na foot path pe neend aye gi
sab utho, main bhi uthon, tum bhi utho
koi khirki isi deewar mein khul jaye gi

ye zameen tab bhi nigal lene pe aamada thi
paon jab tooti shaakhon se utare ham ne
in makanon ko khabar hai na makeenon ko khabar
un dinon ki jo gufaon mein guzare ham ne

haath dhalte gaye sanche mein to thakte kaise
naqsh ke baad naye naqsh nikhare ham ne
ki ye deewar buland, aur buland, aur buland
baam-o-dar aur zara, aur sanware ham ne

aandhiyan tor liya karti thin shamon ki lauen
jar diye is liye bijli ke sitaare ham ne
ban gaya qasr to pehre pe koi baith gaya
so rahe khaak pe ham shorish-e-tameer liye

apni nas-nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan
band aankhon mein isi qasr ki tasweer liye
din phighalta hai isi tarah saron par ab tak
raat aankhon mein khatakti hai siyah teer liye

aaj ki raat bahot garam hawa chalti hai
aaj ki raat na foot path pe neend aye gi
sab utho, main bhi uthon, tum bhi utho
koi khirki isi deewar mein khul jaye gi

No comments:

Post a Comment