Sunday, November 24, 2013

tumhen jane ki jaldi thi

mere hamdam mere sathi
tumhen to yad hi ho ga
jab din kya khas tha jab
bani thi tum zindagi meri
meri be rang duniya ko
tumhari muskurahat ne hazaro rang bakhshy the 
ise kessy sajaya tha
tumhen to yad hi ho ga
tumhen main ne btaya tha
k main khwaboo main rehta hun
magar tum ik haqeeqat ho
muhabbat hi muhabbat ho
phir us k bad sb manzar sab mosam
tumhari ankh se dekhay
tumhary sath jo guzray wohi pal
zindagi thy mere
tumhen to yad hi hoga
mujhe kab yad rehta tha
mujhe kya kaam krny hain
mujhe kis kis se milna hai
khafa koi hai q mujh se
kise ja kr manana hai
mera mahool to tum thi
tumhin sb yad rkhti thi
main apny dil ki batain
faqat tum se kehta tha
tumhari b yeh adat thi
tumhen to yad hoga
main akser tum se kehta tha
abhi to zindagi k sath kitny rog lipty hain
mujhe tum se muhabbat ki zara fursat nahi miltii 
zara waqt any doo.....
zara fursat milny do
samny bitha kr
jee bhar k dekhon ga
btaon ga tumhe mujhe tum se
muhabbat hi muhabbat hai
mujhe us dam mili fursat
k jab ye bat sunnay ko tum nahi samny
tum wahan pr ho
jahan se lout kr wapis
kabhi koi nahi aya
tumhen kyun itni jaldi thi
mera izhar sun leti
mear iqrar sun leti
k ab futsat hi fursay hai
k mamol main mere faqat tum se muhabbat hai
magar ye b haqeeqat hai
k main takheer se pohncha
tumhen jane ki jaldi thi

No comments:

Post a Comment