Sunday, November 24, 2013

Tumhen Khone Se Darta Hoon

Tumhen Khone Se Darta Hoon
Me Khawab Bohat Dekhta Hoon
Aese Khuwab!
Jin Me Koi Dukh Koi Pereshani Nhi Hoti
Jin Me Wasal K Raste Hijer Ki Waadi Se Ho Kr Nhi Guzerte
Jin Me Muhabat Hamesha Adh Khule Phool Ki Terha Khubsurat
Or Bache Ki Muskaan Ki Terha Khubsurat Hoti He
Aese Khuwab!
Jaha Ek Muskurahat Ki Qeeemat Hazaar Ansoo Nahi Hote
Meri Palkoon Ki Shakhoo Per Kai Aese Khuwab Bethe Rehte Hain
In Ki Gungunahat Mujhe Jeene Pe Uqsati He
Nay Rastoon Ki Or Le Kr Chalti He
Nai Manziloon Ka Pata Batati He
Mujhe Apne Khuwab Se Muhabat He
Un Khuhwaboon Me Rehne Wale Hr Ek Shaks Se Muhabat He
Un Khuwaboo M Deikhne Wali Her Ek Shay Se Muhabat He
K Ye Sab Mera He Sirf Mera
Mere Khuwab Mere Ilawa Koi Nahi Dekh Sakta
Jab Tak K Me Na Dikhana Chahoon
Koi Inhe Meri Ankhoon Se Chura Nhi Sakta
Jab Tak Me Khud Na Kisi Ki Ankhoo Me Saja Doon
Mere Khuwabo
Aaj Me Iqraar Karta Hoon
K Me Tum Me Zinda Hoon
Ye Sach He K Mujhe Ansoon Se Dar Nahi Lagta
Mager Phir Bhi Me Shayad Is Liye Rone Se Darta Hoon
K In Akhoon Me Tum Rehte Ho
Tumhara Hona Mera Hona He
Or Me Tumhe Khone Se Darta Hoon
 
Atif Saeed

2 comments: