Wednesday, March 6, 2013

ham nazuk nazuk dil wale

kabhi hanstay hain kabhi rootay hain
kabhi dil main khawab parootay hain...

kabhi mehfil mehfil phirtay hain
kabhi zaat main gum ho jaty hain...

kabhi chup ki mohar sajatay hain
kabhi geet laboon per laty hain...

kabhi sab ka dil behlaty hain
kabhi khud tanha ho jaty hain...

kabhi raat bhar jagtay rehtay hain
kabhi lambi taan kar sotay hain...

hum nazuk nazuk dil walay
bas apnay aap main rehtay hain...!!

No comments:

Post a Comment