Wednesday, March 6, 2013

bahot dinon ki baat ha

bohat dino ki baat hai
yeh baat aaj ki nahi
fiza ko bhi yaad nahi
yeh bohat dino ki baat ha

shabab per bahar the
hawa bhi khush-gavar the

main apnay ghar sey chal para
najany kyun main chal para
kisi nay mjh ko rok kar
bari ada c toak kar

kaha ka loat aaiye
meri kasam na jaeye
per mjhe khabar na the
mahool per nazar na the

main shehar sey chala gaya
khayal tha ka paa gaya
per woh jo mjh c dour the
magar meri zaroor the

ek haseen shaam ko
main chal para salaam ko
gali ka rang dekh kar
naye tarang dekh kar

mjhe bari khushi hue
main kuch isi khushi main tha
kisi nay jhank kar kaha

paraye ghar c jaeye
meri kasam na aaiye

wohe haseen sham hai
bahar jis ka naam hai

main ja raha hun choor kar
na jany jaon ga kisher

koi nahi jo rook kar
koi nahi jo toak kar
kahay ka load aaiye
meri kasam na jaeye

koi nahi................!!
koi nahi.............!!!

No comments:

Post a Comment