Wednesday, March 6, 2013

Chupke chupke ro lena

jab seena ghum sey bojhal ho
aur yaad kisi ki aati ho
tab kamray main bnd ho jana
AUR CHUPKAY CHUPKAY ROO LAINA

jab aankhain bheegi ho jayen
aur yaad main meri bhar aayen
phr khud ko dhoka mat daina
AUR CHUPKAY CHUPKAY ROO LAINA

jab palkain karb c mundi hun
aur sab samjhain tum soay ho
tab mun pe takiya rakh laina
AUR CHUPKAY CHUPKAU ROO LAINA

yeh duniya zalim duniya hai
yeh baat bohat he phailay ge
tum sba ka samnay chup rehna
AUR CHUPKAY CHUPKAY ROO LAINA

No comments:

Post a Comment