Wednesday, March 13, 2013

Main Nafraton k jahan mein reh kar

Main nafraton k jahan mein reh kar, Juda karon ga to kia karon ga?
Ye theek kehte ho bewafa hon, wafa karon ga to kia karon ga?

Bas aik Tu hi to reh gia ha, jahan sara to kho chuka hon
Tujhe bhi apni ana mein aa kar khafa karon ga to kia karon ga?

Hazar sajdey to kar chuka hon, Qaza tumhari mohabbaton mein
Main ab dikhawe ka koi sajda ada karon ga to kia karon ga?

Baghair pani bhi koi machli bhala kabhi reh saki ha?
Main tujh ko kho kar, kisi ka ho kar, bata karon ga to kia karon ga?

No comments:

Post a Comment