Wednesday, March 13, 2013

Juda hone k mosum mein

Juda hone k mosum mein, Juda hona bhi parta ha
jisse mushkil se paya ho, usse khona bhi parta ha

khudi pe maan itna ha, kabhi mur kar nahi dekha
jisse keh don k mera ha usse hona bhi parta ha

Mujhe nend nahi ati uss ki yad ane k bad
magar aik khawb k lalich mein phir sona bhi parta ha

Hamesha hansta rehta hon chupa k gham mohabbat k
magar jab us ka naam aye to phir rona bhi parta ha

No comments:

Post a Comment