Saturday, November 9, 2013

Mujhe duaon mein yad rakhna

Shiksta khawab o shiksta pa hon Mujhe duaon mein yad rakhna
Main akhri jang lar raha hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Hawaen pegham de gai hain k mujh ko driya bula raha hai
Main baat sari samjh gaya hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Na jane kofay ki kaya khabar ho na janay kis dasht mein basar ho
Main phir madine se ja raha hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Mujhe aziz zany man! muhabat ko koi b tajurba nahi
Main is safar main naya naya hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Mujhe ab kisi se bhalai ki koi tawaqa nahi hai Tabish
Main adat tan sub se keh raha hon mujhe duaon mein yad rakhna

 Abbas Tabish

No comments:

Post a Comment