Monday, November 18, 2013

ham parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahen ge


ham parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahen ge
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahen ge

asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahen ge
weerani-e-dauraan pe karam karte rahen ge

haan talkhi-e-ayyaam abhi aur baregi
haan ahal-e-sitam mashq-e-sitam karte rahen ge

manzoor ye talkhi ye sitam ham ko gawara
dam hai to madava-e-alam karte rahen ge

maikhana salamat hai to ham surkhi-e-may se
tazzeen-e-dar-o-baam-e-haram karte rahen ge

baqi hai lahu dil mein to her ashk se paida
rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam karte rahen ge

ek tarz-e-taghaaful hai so wo un ko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so ham karte rahen ge 

Faiz Ahmad Faiz

No comments:

Post a Comment