Wednesday, March 6, 2013

agar talash karon

agar talash karon koi mil hi jayega
magar tumhari tarah kaun mujhe chahega

tumhen zarur koi chahaton se dekhega
magar wo ankhen hamari kahan se layega

na jaane kab tere dil par nai si dastak ho
makaan Khaali hua hai to koi ayega

main apani raah men deewar ban k baitha hon
agar wo aya to kis raaste se ayega

tumhare sath ye mausam farishton jaisa hai
tumhare baad ye mausam bahut satayega

No comments:

Post a Comment