Khuda wo waqt na laye k sogwaar ho tu
sukoon ki nend tujhe bhi haraam ho jaaye
teri masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
teri hayaat tujhe talkh jaam ho jaaye
Ghamon se aaina-e-dil gudaaz ho tera
Hajoom-e-yaas se betaab ho ke reh jaaye
wafoor-e-dard se seemaab ho ke reh jaaye
tera shabaab faqat khwaab ho ke reh jaaye
Gharoor-e-husn sarapa niyaz ho tera
taweel raaton mein tu bhi qaraar ko tarse
tera shabaab faqat khwaab ho ke reh jaaye
Gharoor-e-husn sarapa niyaz ho tera
taweel raaton mein tu bhi qaraar ko tarse
teri nigaah kisi Gham gusaar ko tarse
Khizaan raseeda tamanna bahaar ko tarse
koi jabeen na tere sang-e-aastaan pe jhuke
k jins-e-ijz-o-aqeedat se tujh ko shaad kare
Khizaan raseeda tamanna bahaar ko tarse
koi jabeen na tere sang-e-aastaan pe jhuke
k jins-e-ijz-o-aqeedat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khuda wo waqt na laye k tujh ko yaad aaye
Khuda wo waqt na laye k tujh ko yaad aaye
wo dil k tere liye be-qaraar ab bhi hai
wo aankh jis ko tera intezaar ab bhi hai
wo aankh jis ko tera intezaar ab bhi hai
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment