ham per tumhari chah ka ilzam hi to hai
dushnaam to nahi hai ye ikaraam hi to hai
karte hain jis pe taa'n, koi jurm to nahi
shauq-e-fazool-o-ulfat-e-nakaam hi to hai
dil muddai ke harf-e-malamat se shaad hai
aye jaan-e-jaan ye harf tera naam hi to hai
dil na-umeed to nahi, na-kaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi to hai
dast-e-falak mein, gardish-e-taqadeer to nahi
dast-e-falak mein, gardish-e-ayyaam hi to hai
aakhir tu ek roz kare gi nazar wafa
wo yaar-e-Khush_Khasaal sar-e-baam hi to hai
bheegi hai raat 'Faiz' ghazal ibteda karo
waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
Montogomery Jail ... 9th March, 1954
No comments:
Post a Comment