dard e dil bhi gham e dauraan ke barabar se utha
aag sehra mein lagi aur dhuwan ghar se utha
taabish e husn bhi thii aatish e dunya bhi magar
shola jis ne mujhe phoonka mere ander se utha
kisi mausam ki faqeeron ko zaroorat na rahi
aag bhi abr bhi tufaan bhi saghar se utha
chaand se shikwa-ba'lab hoon ke sulaya kyun tha
mae ke khursheed e jahaan khwab ki thokar se utha

aag sehra mein lagi aur dhuwaan ghar se utha
(Poet : Mustafa Zaidi)

i like this ghazal very much. It reminds me of a sher of Faraz: Gahme dunya bhi ghame yaar mein shamil kar lo….
ReplyDeletethanx dear
Deletei like this ghazal very much. It reminds me of a sher of Faraz: Gahme dunya bhi ghame yaar mein shamil kar lo….
ReplyDelete