ham ke thehre ajnabi itani madaaraton ke baad
phir banen ge aashna kitni mulaqaton ke baad
kab nazar mein aye gi bedagh sabze ki bahaar
Khoon ke dhabbe dhulen ge kitni barsaaton ke baad
dil to chaha, per shikast-e-dil ne mohlat hi na di
kuch gile-shikawe bhi kar lete munaajaton ke baad
the bahot bedard lamhe khatm-e-dard-e-ishq ke
theen bahot bemahar subahen meharabaan raaton ke baad
un se jo kehne gaye the "Faiz" jaan sadqa kiye
ankahi hi reh gai wo bat sab baaton ke baad
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment