gullon mein rang bhare, baad-e-nau bahaar chale
chale bhi aao k gulshan ka karobaar chale
qaffas udaas hai yaro, saba se kuch to kaho
kahi to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz
kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk baar chale
bara hai dard ka rishta, ye dil Ghareeb sahi
tumhare naam pe aen ge Ghamgusaar chale
jo ham pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aaqbat sanwaar chale
hazoor-e-yaar hoi daftar-e-junoon ki talab
girah mein le ke ghareebaan ka taar taar chale
maqaam 'Faiz' koi raah mein jacha hi nahi
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment