kahin to karwan-e-dard ki manzil thehar jaye
kinare aa lage umar-e-rawan ya dil thehar jaye
aman kaisi ki mauj-e-khoon abhi sar se nahi guzari
guzar jaye to shayed baazu-e-qaatil thehar jaye
koi dam baad baan-e-kashti-e-sahabaa ko tah rakho
zara thehro ghubaar-e-khatir-e-mehfil thehar jaye
hamari khamoshi bas dil se lab tak ek waqfa hai
ye tofan hai jo pal bhar bas lab-e-sahil thehar jaye
nigah-e-muntazir kab tak kare gi aina bandi
kahin to dasht-e-gham mein yaar ka mahamil thehar jaye
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment