kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se
wo aazmaish si dil-o-nazar ki, wo qurbaten si wo faasle se
kabhi aarzu ke sehra mein aa ke rukte hain qaafle se
wo saari baaten laghaav ki si wo saare unwan wisaal ke se
nigah-o-dil ko qaraar kaisa nishaat-o-gham mein kami kahan ki
wo jab mile hain to un se har baar ki hai ulfat naye sire se
bahot giraan hai ye aish-e-tanha kahi sabuktar kahi gawara
wo dard-e-pinhaan ki saari duniya rafeeq thi jis ke vaste se
tumhi kaho rind-o-muhtasib mein ho aaj shab kaun farq aisa
ye aa ke baithe hain maikade mein wo uth ke aaye hain maikade se
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment