aaj ke din na pocho mere dosto
door kitne hain khushiyan manaane ke din
khul ke hansne ke din geet gaane ke din
piyar karne ke din, dil lagaane ke din
aaj ke din na pocho mere dosto
zakhm kitne abhi bakht-e-bismil mein hain
dasht kitne abhi raah-e-manzil mein hain
teer kitne abhi dast-e-qaatil mein hain
aaj ke din zubuun hai mere dosto
aaj ke din to youn hai mere dosto
teer kitne abhi dast-e-qaatil mein hain
aaj ke din zubuun hai mere dosto
aaj ke din to youn hai mere dosto
jaise dard-o-alam ke puraane nishan
sab chale su-e-dil kaarwaan kaarwaan
sab chale su-e-dil kaarwaan kaarwaan
haath seene pe rakho to har ustakhwaan
se uthe naalaa-e-al'amaan al'amaan
aaj ke din na pocho mere dosto
se uthe naalaa-e-al'amaan al'amaan
aaj ke din na pocho mere dosto
kab tumhare lahu ke dareedaa alam
farq-e-Khursheed-e-mahshar pe hon ge raqam
az karaan taa karaan kab tumhare qadam
az karaan taa karaan kab tumhare qadam
le ke uthe ga wo behar-e-Khoon yam-ba-yam
jis dil mein dhul jaye ga aaj ke din ka gham
jis dil mein dhul jaye ga aaj ke din ka gham
saare dard-o-alam, saare jaur-e-sitam
door kitni hai Khursheed-e-mahshar ki lau
door kitni hai Khursheed-e-mahshar ki lau
aaj ke din na pocho mere dosto
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment