is waqt to youn lagta hai ab kuch bhi nahi hai
mehtaab na soraj na andheaa na sawera
aankhon ke dareeche mein kisi husn ki jhalakan
aur dil ki panahon mein kisi dard ka Dera
mumkin hai koi wehm ho mumkin hai suna ho
galliyon mein kisi chaap kaa ek aakhri phera
shaakhon mein khayaalon ke ghane pair ki shaayed
ab aa ke kare ga na koi Khwaab basera
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishta
tera koi apna na paraya koi mera
mana k ye sun-saan ghari sakht bari hai
lekin mere dil ye to faqat ek ghari hai
himmat karo jeene ko abhi umar pari hai
Faiz Ahmad Faiz
very sad poetry
ReplyDeletethanx for liking Ghulam Murtaza.
Deletefor more poetry plz visit
www.urdujazeera.com